Engineer Mirza ki Gustakhi.
Ye Ek chote se Room me baith ke sirf badi badi baate karta hain or Apne Andhe Followers ko Gumrah krta hain beechare iske Followers na kabhi hadees pade na usool e hadees maloom na Arbi theek se padhne ati Qur’an bhi becharo ko theek se ati nahi unke Samne ye mirza Sahab sirf Badi badi bate karta or un becharo ko lagta bhout bada Allama hain ye
Engineer Mirza Plumber Mongol ki Aulaad se kuch Sawal hain jawab to kabhi dega nahi lekin unke chlel chapato se pucho ye sawal.
1 Engineer Mirza Apne ek bayan me Rasoolullah ﷺ ke liye lafz e chokra use karta hain or baad me khudko bachane ke liye kehta hain yahhodi ne Aisa kaha ( Huzoor ﷺ ke time me 10 yahhodi bhi aise nahi the Jo Ap par imaan laye yahodi bolte the ye kal ka chokra aake hame btayega ) Maazallah استغف.
Engineer Mirza or uske chele chapato ko QAYAMAT tak ka time hain Ye baat sabit kare konsi hadees me ye baat ayi hain Jo Tune Rasoolullah ﷺ ke liye chokra lafz use Kiya Maazallah استغفراللہ ye tune kaha se padha kya Bukhari, Muslim me hain sabit kar Time tere Jahannam wasil hone tak ka hain
2 Mirza Plumber Mongol ki Aulaad Apne ek bayan me kehta hain ki ALLAH ﷻ ye farmaya h ki ye 70 saal ki Zindagi tum muje dedo me tumhe mini Khuda bana dunga Maazallah استغفراللہ
Mirza ke chele chapato se sawal hai kya ALLAH ﷻ ke alawa koi or khuda ho skta ? Or jo ye mini khuda banane wali baat bola wo konsi hadees se sabit h kya kisi Hadees me aya h ki ALLAH ﷻ tumhe mini khuda bana dega uski har baat manoge to Maazallah استغفراللہ kis Tarah ye log ALLAH ﷻ ki shaan me Gustaaqi karte Hain
3 Engineering Mirza Plumber Mongol ki Aulaad Apne bayan me bolta hain Aaj ke Daur me jo log Qur’an ko mobile me dekh ke padhte hain Unko Sahaba Ikram se zyada Sawab Milta hain Maazallah استغفراللہ
Time QAYAMAT tak Hain mirza ke chlel chapato is baat ka jawab do ye kaha se sabit h Mobile me dekhne walo ko Sahaba se bhi zyada sawab milta hain Qur’an padhe ka wo sahaba jo Qur’an ko likha karte the jinhone Qur’an ki jama kiya Hazrat Usman e gani رضي الله عنه ke zamane me ek kitaab ki shakal me ummat ko mili unke bare me Aisa bolta hain ye plumber
4 Engineer Mirza Plumber Mongol ki Aulaad Apne bayan me kehta h ki Aaj ke Tarikh me agar koi Sahaba ko kafir keh de to usse ye nahi hoga ki hum use kafir Kahe Maazallah استغفراللہ
Yani Agar koi kisi sahaba ko kafir kahega to wo kafir nahi hoga un Sahaba ke bare me bol rha h jinke bare me Rasoolullah ﷺ ne farmaya mere kisi sahaba ko bura mat bolo jinke bare me Rasoolullah ﷺ ne farmaya unko bura mat bolo ye un Sahaba ke bare me statment deta h ki unko kafir kehne wala kafir nahi hoga Maazallah استغفراللہ
5 Engineer Mirza Plumber Mongol ki Aulaad Apne ek bayan me kehta hain ki Hazrat Usman E Gani رضي الله عنه ko Shaheed karne wale sahab ikram the Maazallah استغفراللہ
Time QAYAMAT tak Hain mirza Plumber Mongol ki Aulaad ke chele chapato ke pass kisi ek sahi Riwayat se sabit kare wo sahaba Ikram .
6 Engineer Mirza Plumber Mongol ki Aulaad Apne Bayan me kehta hain jhooti Hadees e gadne ke or jhoot bolne ke ustaad the Tabaieen Nek bhi bhout the or Jhooti Hadees e gadhte the Maazallah استغفراللہ
Tabaieen ke bare me ye Ilmi kitaabi itna bura bolta hain jinhone Rasoolullah ﷺ ko dekhne walo ko dekha or Huzoor ﷺ ne jinke bare me farmaya ye Mera zamana behtar hai or iske baad wala behtar Hain jisko Huzoor behtar zamana farmaye un zamane walo ko ye Jhooti Hadees gadhne wala bolta hain
Engineer Mirza Plumber sahaba bas kuch kitabe padh liye or Apne App ko bhout bada Ilmi kitaabi btate hain or bichare Apne jahil chele Chapato ko Gumrah karte Hain or un bicharo ko lagta mirza sahab bhout ilm wale hai.
7 Engineer sahab se sawal hua kya Shahadat ke waqt Jab Imam Hussain رضي الله عنه ka sir Mubarak jab neze par chadaya Gaya to usse Tilawat E Qur’an ki Awaaz aa rahi thi kya ye baath Dusrust Hain to plumber Sahab Iske jawab me bolte hain jhoot hain sab kahaniya hain Maaz.
Jabki Faut ke baad Kalam karna ye to Hadees e Sahi se sabit hain lekin inko Ahle Bait se Bugz hain ki unki karamat smjh me nahi Ati Karamato ka Munkir hain ye plumber Mirza
Imam Hussain Ibn Ali Radiallahu Anhu Ke Sir E Mubarak Ki Karamat
Hafiz Ali Ibn Al Hasan Al Maroof Imam Ibn Asakir Damishqi Al Shafai Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 571 Hizri apni tareekh me mukammal sanad se likhte hai
“Minhal Ibn Amr Farmate hai Maine Hazrat Imam Hussain Ibn Ali Radiallahu Anhu Ka Sir E Mubarak Dekha Jab Usse Uthakar Le Jaya Jaa Raha Tha, Us Waqt Mai Damishq Me Tha Ek Shakhs Aage Aage Surah Kahaf Ki Tilawat Kar Raha Tha Jab Wo is aayat par aaya
أَمْ حَسِبْتَ أَنَّ أَصْحَابَ الْكَهْفِ وَالرَّقِيمِ كَانُوا مِنْ آيَاتِنَا عَجَبًا
Kya Tumhe Maloom Huwa Pahad Ki Kho Aur Jungle Ke Kinare Wale Hamari Ek Azeeb Nishani They {Surah Kahaf Ayat 9}
To Allah Pak Ne Sir E Mubarak Me Woh Kuwwat e goyayi ata farmayi To usse awaaz aayi Mera Shaheed Hona aur Uthaya Jaana Aahaab E Kahaf Se Zyada Ajeeb Hai
(Tareekh E Madina Tul Damishq, Vol : 60, Pg : 369-370, Raqam : 7688)
Imam Adbur Rehman Jalaludin Suyuti Shara us Sudoor Pg : 212)
Please Support Us, Share Website With your Family, For making Muslim Strength Strong.