﷽
:السَّلاَمُوَعَلَيْكُمُ وَرَحْمَةُ اللّهِ وَبَرَكَاتُهُ:
This Pegg Haq or Batil Ki Pehchan Radde 72
HAAZIR O NAAZIR
*HAZIR-O-NAZIR* (#1) >AhL-E-Sunnat k Nazdik Hazir Nazir Hona 3 Tarha Hai 1>AAQA (AlyHiSALAM) Apne Roze Mubarak Mai Tashrif Farma Hain Or Tamam Kainat AAP k Samne Hazir Hai 2>AAP Jab Chahen Jahan Chahen Ja Sakte Hain 3>Ek Waqt Mai Kai jaga Ho Sakte Hain (Book_Saeed-Ul-HAQ P349), AAPKI Nooraniyat Or Roohaniyat Kainat k Zare Zare Mai Jalwa Afgan Hai (Tehqiq Hazir Nazir P18) <dalaail see="" next=""></dalaail>
*HAZIR-O-NAZIR* (#2) Dalail Se Qabal CHALENGE 2_Questions>Q1 Pury Quran Me Koi Aisi Ayat Bataen JisMe RAB K Liye Ye Arabi Alfaz Hazir-O-Nazir Bayan Howe Hon? Haan Shahid,Mojud, Muheet,Aleem, Baseer To Mil Jaegi, >Q2_Hmara Aqida He k ALLAH ki Sifat Zati, Qadeem, Wajib, Na Mitne Wali Or Gair Makhluq Jab K NABI Ki Sifat Ataee,Haadis, Mumkin,Faani Or Makhluq >Dono_Baton Ki Mojudgi Me Bataen Kese Kufr-O-Shirk Hoga?
*HAZIR-O-NAZIR* (#3) (Dalaail) 1>"NABI Momino Ki Jaan Se Ziada Qarib Hain" (Surah Ahzaab Ayat6) 2>"To Kesi Hogi Jab Hum Har Ummat Se Ek Gawah Laen Or Aey Mehboob Tumko In Sab Par Gawah-O-Nigehban Bana Kar Laen" (Al Nisa Ayat41) *>Yaad Rahe.. .. Gawahi Hamesha Wohi Deta Hai Jo Zinda Or Har Halaat Se Ba-Khabar Ho, Is Ayat Se AAQA Ka Hayat Hona Sabit Hai
HAZIR-O-NAZIR - AL_QUR'AAN >
Jaan Lo Ke Tum Sab Mai ALLAH k RASOOL Tashreef Farma Hain" (Surah Al-Hujraat Ayat7) >Ye Khitaab Tamam Sahaba-E-Kiraam k Liye Hai k Tum Mai ALLAH Ke RASOOL Tashreef Farma Hain Or Sahaba-E-Kiraam Mukhtalif Jaghon Pe Rehte the Or Mere AAQA QUR'AAN Ki Dalil Se Sab k Sath Tashreef Farma Hote the.
*HAZIR-O-NAZIR* (#5) >RASOOL'ALLAH (AlyHiSALAM) Ke Baarey Mai ALLAH Ne Farmaya "Or Humne Tumko Na Bheja Magar Rehmat Saarey Jahano Ke Liye" (Surah Hajj Ayat107) >SARKAR (AlyHiSALAM) ALLAH ki Rehmat Hain Or Ye Rehmat Har Jaga Mojood Hai Dekhiye QUR'AAN Mai ALLAH Farmata Hai "Or Meri Rehmat Har Cheez Ko Ghairy Hue Hai" (Surah Araaf Ayat156)
*HAZIR-O-NAZIR* (#6) *AL_QUR'AAN >"Beshak Tumhare Paas Tashrif Laye Tum Mai Se Wo RASOOL Jin Par Tumhara Mashaqqat Mai Parna Giran Hai" (Surha Touba Ayat128) >Ye Khitaab Qayamat Tak K Musalmano Se Hai, Sabit Hua, >HUZOOR Qayamat Tak K Har Musalman K Paas Hain >Har Musalman K Har Fail Se Ba-Khabar Hain >"Mashaqqat Mai Parna Giraan Hai" Ya'ni Tumhari Rahat-O-Taklif Ki Har Waqt HUZOOR Ko Khabar Hai.
*HAZIR-O-NAZIR* (#7) >"A Gheb Ki Khabren Batane Wale(Nabi) Beshak Humne APKO Bheja HAZIR NAZIR (Shahid) Or KhushKhabri Deta Or Dar Sunata Or ALLAH Ki Traf Us K Hukum Se Bulata Or CHAMKA Dene WALA AFTAB" (Ahzab.46) >Yahan HUZOOR Ko SIRAJ-O-MUNIR (Chamka Dene Wala SOORAJ) Kaha Gaya Yani Jis Trah Sooraj Apne NOOR Se Pury Aalam Ko Roshan Kye Hue He Isi Trah HUZOOR B Apne NOOR Se Tamam Jahano Ko Munawar Kye Hue Hain.
*HAZIR-O-NAZIR* (#8) >Or Jb Wo Apni Janon Pr Zulm Kren To Ay Mehbub Tmhare Huzur Hazir Hon Phr ALLAH Se Muafi Chahen Or RASOOL Inki Shafaat Frmaen To Zarur ALLAH Ko Bohat Toba QubuL Krne Wala Meharban Paen" (Nisa.64) >Murad Ye K Gunahgaron Ki Bakhshish Ki SabeeL K Lye HUZUR To Tumhare Pas Mojud Hen, Tm Inki Traf Mutawajoh Ho K Shafaat Mango To HUZUR Karimana Shafaat Frmate Hen, Malum Hua K HUZUR Hr Jaga Hazir Hen
*HAZIR-O-NAZIR* (#9) *AL_QUR'AAN 1>"Or ALLAH Ka Kaam Nhi K Azaab Kare Jab Tak Aey Mehboob Tum In Mai Tashrif Farma Ho" (Anfal Ayat33) >Murad Ye Ke HUZOOR Mojud Hain Is Lye Qayamat Tak Azaab-E-Aam Na Aayega, 2>"Jaan Lo Ke Tum Sab Mai RASOOL'ALLAH Tashrif Farma Hain" (Hujraat Ayat7) >In Dono Ayat Se HUZOOR Ka Hayat Hona Sabit Hai
*HAZIR-O-NAZIR* (#10) 1>"Aey Mehboob Tumne Na Dekha K Tumhare RABB Ne In Hathi Walon Ka Kya Haal Kya" (Feel Ayat1) 2>"Kya Tumne Na Dekha K Tumhare RABB Ne Qom-E-Aad K Sath Kya Kya" (Fajar Ayat6) >In Ayaat Mai NOOR-E-NUBUWAT Se Guzishta Dorr K Kufaar Or Un Pe Aaney Wale Azabat K Waqiyaat Dekhna Murad Hai, Khubsurat Nuqta Ye Hai K Jab HUZOOR Us Waqt K Muamlat Dekh Sakte Hain To Is Waqt Bhi Dekh Sakte Hain.
*HAZIR-O-NAZIR* (#11) *AL_HADEES >Nakirain Maeyit Se Puchhte Hain Tum Is Rajul (Admi) (HUZOOR KAREEM) K Baary Mai Kya Kehte the? (Muslim J4 H2870) >Yaad Rahe NABI Hone K Lye Jism Ki Zarurat Nhi, Jab K Admi Hone K Lye Jism Zaruri, Dekho AAQA Us Waqt Bhi NABI the Jab AADAM Mitti Or Paani K Beech the to Malum Hua NABI Jism K Sath Ek Hi Waqt Mai Beshumar Qabur Mai HAZIR-O-NAZIR, Ab Munkir Bager Jism K Admi Dikhaen
*HAZIR-O-NAZIR (#12) *AL_HADEES >"HUZOOR Ne Zaid, Jaffar Or Ibn-E-Rawaha Ki Mout Se Qabl Inki Mout Ki Khabar Logon Ko De Kar Farmaya Ab Jhanda ALLAH Ki Talwar KHALID BIN WALEED Ne Lya Ta_Aan K ALLAH Ne Inko Fatah De Di" (Bukhari J2 P611) >Mota Jo Madina Se Bohat Door Hai Wahan K Halaat AAQA Madine Se Dekhte Hain Goya AAP Medaan-E-Jang Mai Mojood the Is Hadis Se HUZOOR Ka Ilm-E-Gaib Or HAZIR NAZIR Hona Sabit Hai.
*HAZIR-O-NAZIR* (#13) *AL_HADEES >Ek Shab HUZOOR Ghabraye Hue Bedaar Hue, Farmaya; "SUBHAN'ALLAH Is Raat Mai Kis Qadar Khazane Or Kis Qadar Fitne Utarey Gaye Hain" (Miskhat P109) >Malum Hua AAQA Ainda Hone Wale Fitnon Ko Bachashm Mulahiza Farma Rahe Hain Or Tamam Halaat Se Ba-Khabar Hain,
*HAZIR-O-NAZIR* (#14) *AL_HADEES 1>"HUZOOR Ne Ek Pahari Par Khare Hokar Sahaba Se Pucha, K Mai Jo Kuch Dekh Raha Hon Kya Tum B Dekhte Ho? Arz Ki; Nhi, Farmaya; Mai Tumhare Gharon Mai Fitne Girte Dekhta Hon" (Mishkat P462), 2>"Tumhare Milne Ki Jaga Hoz-E-Kosar Hai Mai Isko Isi Jaga Se Dekh Raha Hon" (Mishkat P547) >In RIWAYAAT Se HUZOOR Ka QIYAMAT K MUAMLAAT Dekhna Bhi Sabit Hua, Jo In AHAADIS Ka Inkaar Kary Wo??
*HAZIR-O-NAZIR* (#15) *AL_HADEES >"ALLAH Ne Mere Saamne Saari Dunya Ko Paish Farma Diya, Pas Mai Is Dunya Ko Or Jo Kuch Is Mai Qayamat Tak Hone Wala Hai Is Tarah Wazeh Dekh Raha Hon Jese Apne Hath Ki Hatheli Ko Dekhta Hon" (Khasaais-Ul-Kubra J2 P185) >Is HADEES K Ek Ek Lafz Pe Ghor Karen Malum Hua MUSTAFA KAREEM Guzishta, Ayenda Or Ta_Qayamat Hone Wale Halaat Ko Mulahiza Farma Rahe Hain.
*HAZIR-O-NAZIR* (#16) *AL_HADEES 1>"ALLAH Ne Apna Dast-E-Qudrat Mere Seeney Par Rakha Jiski Thandak Apne Seeney Mai Mehsoos Ki, Pas Maine Un Tamam Cheezon Ko Jaan Lya Jo Zameen-O-Asman Mai Hain" (Tirmizi H3246) 2>"ALLAH Ne Mere Lye Zameen Samet di Pas Maine Zameen K Mashriq-O-Magrib Ko Dekh Lya (Muslim H2889) >In AHAADIS Se Bhi HUZOOR Ka Dunya Mai HAZIR NAZIR Hona Sabit Hua, ALLAH Munkireen Ko Hidayat De. Aameen
*HAZIR-O-NAZIR* (#17 >"Hazrat Abu Bakar (Radi-ALLAHO-Anhu) Apne Ghar Ka Tamam MaaL HUZOOR (AlyHiSALAM) Ki Khidmat Mai Le Aye, To HUZOOR Ne Farmaya K Abu Bakar tu Ne Apne Aehel K Waste Kia Chora" Abu Bakar Ne Kaha K "Ghar K Waste ALLAH Or Uske RASOOL Ko Chhor Aya Hon" (Abu Dawood J1 P243) >Siddiq-E-Akbar Bhi RASOOL'ALLAH Ko HAZIR-O-NAZIR Jante the Or HUZOOR Ne Bhi Aqida Sahi Hone Ki Bina Pe Aisa Kehne Se Na Roka.
*HAZIR-O-NAZIR* (#18) >Hazrat Salma Farmati Hain, "Mai Um-E-Salma Ki Khidmat Mai Hazir Hoi Wo Ro Rahi thi, Maine Pucha AAP Kyun Ro Rahi Hain? Unho Ne Farmaya K "HUZOOR Ko Khuwab Mai Dekha APKI Daarhi Or Sir Anwar Gard-Alud the, Maine Arz Ki HUZOOR Kya Baat Hai? AAP NE Farmaya, "Abhi Hussain Ki Shahadat Mai Sharik Hua Hon" (Tirmizi J2 P731) >Is RIWAYAT Se Baad Az'Wafaat Sahaabiyah Ka Aqida Bhi Maloom Ho Gaya.
*HAZIR-O-NAZIR* (#19) >"Hazrat Ayesha Farmati Hain; "Hazrat Umar Ki Tadfin Se Qabl Bager Chadar Orhe HUZOOR K Roze Par Chali Jaya Karti Is Khayal Se K Mere Walid (Hazrat Abu Bakar) Or Shohar (NABI PAAK) Hi to Yahan Hain Lekin Hazrat Umar Ki Tadfin K Baad Unki Haya Ki Waja Se Apne Kapron Ko Khub Achi Tarah Lapet Kar Bager Parde K Kabhi Na Jati" (Mustadrak Haakim) >Is Riwayat Se Amma Ayesha Ka Bhi Aqida Sabit Hua.
*HAZIR-O-NAZIR* (#20) *AL_HADEES >Hazrat Abu Darda Riwayat Karte Hain K HUZOOR Ne Farmaya "ALLAH Ne Zamin Par Ambiya-E-Kiram K Jismo Ko Khana Haraam Farma Diya Lihaza ALLAH K NABI Zinda Hain Rizq Diye Jate Hain" (Ibn-E-Maja, Mishkat P121) >Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhadis Dhelvi Is Hadees K Tehet Farmate Hain K "ALLAH K NABI Dunyavi Zindagi Ki Haqiqat K Sath Zinda Hain" (Ash'at-tul-Ma'aat P576)
*HAZIR-O-NAZIR* (#21) >AQIDA HAZIR NAZIR Quran-O-Hadees K Baad Ab Fuqa'ha Or Ulama-E-Ummat K Aqwal Se >Qazi Ayaz (AlyHiREHMA) Farmate Hain, "Jab Ghar Mai Koi Na Ho to Kaho "Aey NABI AAP Par Salam Or ALLAH Ki Rehmat Ho" (Book Shifa Shareef J2 P43) >Iski Sharah Mai 400 SaaL Pehle K Aalim Mulla Ali Qaari Farmate Hain, "Iski Waja Ye Hai K NABI-E-PAAK Ki Rooh Musalmano k Gharon Mai HAZIR Hai" (Sharah Shifa J3 P464) #1 month ago via SMS
*HAZIR-O-NAZIR* (#22) >75 Baar HUZOOR Ki Bedaari Mai Ziyarat Karne Wale Imam Jalal-Ud-Din Siyuti (AlyHiREHMA) <wisaal hijri="" farmate="" hain="" rasool="" or="" tamam="" ambiya-e-kiraam="" ko="" ijazat="" hai="" k="" asman-o-zamin="" ki="" saltanat-e-ilaahi="" mai="" tasaruf="" farmane="" lye="" apne="" mazaarat="" se="" bahir="" tashreef="" le="" jaen="" lil-fatawa="" j2="" p263="">
*HAZIR-O-NAZIR* (#23) >Imam Qustalani (AlyHiREHMA) Farmate Hain, "Hamare Ulama Ne Farmaya k HUZOOR PAK Ki Zindagi Or Wafat Mai Koi Farq Nhi AAP Apni Ummat Ko Dekhte Hain Or In k Halaat Or Dil k Irado Or Baaton Ko Janty Hain Ye AAP Par Bilkul Zaahir Hai" (Al-Mavahib-Ul-Laduniya J4 P580)
*HAZIR-O-NAZIR* (#24) >Imam Jalal-Ud-Din Siyuti (AlyHiREHMA) <wisaal hijri=""> Farmate Hain, "HUZOOR Ka 1>Ummat K Amaal Pe Nigah Rakhna 2>Unke Liye Astaghfar Karna 3>Balao Ko Dafa Karna 4>Zameen K Atraf Mai Jaa Kar Us Mai Barkat Dena 5>Or Apni Ummat Ke Nek Logo K Jannazo Mai Jana Apka Mashghala Hai" (Al-Haavi Lil-Fatawa J2 P184)</wisaal>
*HAZIR-O-NAZIR* (#25) 1>Shaikh Abdul Haq Muhadis Dhelvi (AlyHiREHMA) Farmate Hain, "Ambiya (Aly-Him-Us-SALAAT-O-WASALAAM) Dunyavi Haqiqi Zindagi Se Zinda Or Baaqi, Or Amal Dar Amad Farmane Wale Hain Is Mai Koi Kalaam Nhi" (Sharah Fatooh-Ul-Gaib P333), 2>Shaikh Shahab Soharwardi Farmate Hain, "Jese Insan ALLAH Ko Har Haal (Zahiri/Batini) Mai Waqif Jane, RASOOL Ko Bhi HAZIR-O-NAZIR Jaane" (Awarif-Ul-Ma'arif P125)
*HAZIR-O-NAZIR* (#26) 1>Shah Wali-Ullah Muhaddis Dehalwi (Har Aalim Banne Wale Talib-E-Ilm Ki Sanad Mai Inka Naam Hai) Farmate Hain, "Is Mai Koi Shak Nhi K Tamam Fiza RASOOL'ALLAH Ki Rooh-E-Anwar Se Bhari Hoi Hai Or AAP (AlyHiSALAM) Ki Rooh-E-Pak Is Fiza Mai Taiz Hawa Ki Tarah Moujen Maar Rahi Hai" (Fuyooz-Ul-Harmain P28)
*HAZIR-O-NAZIR* (#27) >Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehalwi (AlyHiREHMA) Farmate Hain, "Agr Kaha Jaye K ALLAH Ne HUZOOR K Jism-E-Athar Ko Aisi Haalat-O-Qudrat Ata Farmai Hai K Jis Makaan Mai Chahen Tashrif Laa Sakte Hain Bi Ayenihi Isi Jism K Sath Ya Jism-E-Misaali K Sath, Asman Par Ya Khuwah Qabar Main, To Ye Bilkul Durust Hai, Har Halat Mai Qabar Se Khas Nisbat Rehti Hai" (Madrij-Un-Nubuwah J2 P50)
*HAZIR-O-NAZIR* (#28) >Imam Ghazali (AlyHiREHMA) <wisaal hijri=""> Farmate Hain; "HUZOOR Ko Sahaba Ki Roohon K Sath Aalam-E-Dunya Mai Ghoomney Ka Ikhtiyaar Hasil Hai, Aksar Oliya Ne HUZOOR (AlyHiSALAM) Ko Dekha Hai" (Rooh-Ul-Bayan J10 P114)</wisaal>
*HAZIR-O-NAZIR* (#29) >Imam Jalal-Ud-Din Siyuti <wisaal hijri=""> Farmate Hain, " Agr Log Ye Aqida Rakhen K HUZOOR (AlyHiSALAM) Ki Rooh Or Apki MisaaL Molud Shareef Parhne, Khatam-E-Ramzan Or Naat Khuwani K Waqt Ati Hai to Jaiz Hai" (Sharah Sudur) >Ulama Or Saaliheen K Aqaid Se Pata Chala K HUZOOR Ki Nigah Har Waqt Aalam K Zarre Zarre Par Hai Or AAP HAZIR-O-NAZIR Hain. >>Ab Mukhalifin Ki Apni Kitabon Se, Next</wisaal>
*HAZIR-O-NAZIR* (#30) >AhL-E-Hadees Molvi Abdullah Rupari Ne Pur Zor Dalail Se Sabit Kya K "Jab Qabar Mai Teesra SawaL Hoga Us Mai Lafz "Haaza" Hai, Is Se Sabit Hua K RASOOL'ALLAH (AlyHiSALAM) Qabar Mai HAZIR Hote Hain (Fatawa Ahl-E-Hadis J2 P138-145) >Ya'ni Jitne Bhi Log Inteqaal Karte Hain HUZOOR Un Sab Ki Qabro Mai HAZIR Hote Hain.
*HAZIR-O-NAZIR* (#31) >Nawab Siddiq Hasan Bhopali Wahabi Likhe Hain, "Chahiye K Namaz Mai NABI Ko HAZIR NAZIR Jaan Kar Salaam Kare (Maslak-Ul-Khaatam-Sharah Balugul Maram J1 P459)
HAZIR-O-NAZIR* (#32) >Molvi Ismail Dhelvi Deobani Likhte Hain "Jab Insan Fanaa-Fil-Laah Hojata Hai to Khudai Taqat Se Dekhta, Sunta Or Bolta Hai, Ya'ni Aalam Ki Har Chiz Ko Dekhta Hai Or Door-O-Nazdik Ki Chizon Ko Pakarta Hai Yehi HAZIR NAZIR K Ma'na Hain, Jab Maamuli Insan Fanaa-Fil-Laah Hosakta Hai to Ba-Darja Uola HUZOOR (AlyHiSALAM) HAZIR-O-NAZIR Hue" (Sirat-E-Mustaqim P13) >>Kuch Aetraaz Ke Jawab See Next.
HAZIR-O-NAZIR* (#33) *Aetraaz>Jab HUZOOR Hazir Nazir Hain To Madine Kyun Jate Ho Or NABI Ne Hijrat Kyun Ki? *Jawab>AAQA Rohani tor Pe Hazir Hain Or Madine Mai Jismani tor par, Or Jahan Chahen Tashrif Le Jate Hain, Or Hijrat Bhi Jismani tor par thi, Ye Aetraaz Goya Zaat-E-Ilaahi Par Hai K Jab ALLAH Har Jaga Hai to KA'ABA Jane Ki Kya Zarurat Or NABI Ka Mairaaj Pe Arsh Jane Ka Kya Faida
HAZIR-O-NAZIR* (#34) *Aetraaz>HUZOOR Hazir Hain to Namaz Ki Imamat Q Nhi Karte Or Har Jaga AAP Imam Hone Chahiyen? *JAWAB>Kis Ayat Ya Hadis Mai Hai K HUZOOR Ki Mojudgi Mai Koi Or Namaz Na Parhaye, Siddiq-E-Akbar Ne APKI Mojudgi Mai 17 Namazen Parhai Or Imam Ka Nazar Aana Zaruri Hai AAQA Humein Dekhte Hain Magar Hum APKO Nhi Dekh Sakte, Or NABI Par Ab Namaz Farz Nhi Farz Wala Nafil Wale K Piche Nhi Parh Sakta.
HAZIR-O-NAZIR* (#35) *Aetraaz>Agr HUZOOR Hazir Bhi Hain Or NOOR Bhi to Chahiye K Raat Mai Kabhi Andhera Na Ho Magar Har Jaga Andhera Hota Hai Lehaza Ya to HUZOOR NOOR Nhi Ya NOOR Hain to HAZIR Nhi. *JAWAB>QURAN NOOR Hai Or Har Ghar Mai Bhi, Farishte NOOR Hain Or Har Insan K Sath Bhi, ALLAH NOOR Hai Or Har Ek K Sath Bhi, Phr Bhi Raat Ko Andhera Hota Hai Lehaza ya to Farishte, Quran, Khuda NOOR Nhi Ya HAZIR Nhi??
*HAZIR-O-NAZIR* (#LAST) *Aetraaz>AAQA Ne Farmaya Door Se Parha Jane Wala Durud Mujh tak Pohnchaya Jata Hai, Agar AAP Hazir Hote to Durud Pohnchaya Kyun Jata? *Jawab>Hadis Mai Ye Kahan Likha Hai K Door Walon Ko Mai Sunta Hi Nhi, Dekho Farishte Bhi to ALLAH Ki Bargaah Mai A'maal Le Jate Hain Kya ALLAH K Ilm Par Bhi Aetraaz Hai?
HAAZIR O NAAZIR
http://www.youtube.com/watch?v=c2l2ggSjTGE(kokab noorani)
Wahabi and sunni discussion on
"Hazir o Nazir " :
wahabi : Allah ke siwa koi hazir nazir nahi.
Sunni---------- --------ye bata is waqt kya shaitan tuje dekh
aur sun raha hai
wahabi--------- -----muskurakar kehta hai haa
sunni---------- -
-------
agar tu kamre main band ho jaye tabhi wo dekhegaaur
sunega?
wahabi--------- -----haa
sunni---------- --------agar tu hawa main chala jaye
aeroplane main tabhi?
wahabi--------- -----haa
sunni---------- --------agar tu zameen ke 100feet neeche
chalajaye to
wahabi--------- -----haa
sunni---------- -------- Iblees pe tera Imaan hai aur Allah ke
Nabi Sallallahu Alyhi Wa Sallam par nahi,
Jab tera dada dekh sun sakta hai har jaga to Allah ke Nabi kyun nahi ? (Sallallahu Alyhi Wa Sallam)
HAAZIR O NAAZIR IN QURAN E PAAK
============================= Aayat#1:
Tarjuma:
" Ae GAIB ki khabren Bataney waaley beshak hum ne tum
ko bheja Haazir O Naazir aur khushkhabri deta aur Dar
sunata, aur ALLAH ki taraf us k hukum se bulaata aur
chamka deney waala Aaftaab"..
(
Parah: 22, Surah Al Ahzaab, Aayat: 46)
=============== ===============
Aayat# 2:
Tarjuma:
"
Aur baat yun hi hai k hum ne tum ko sab Ummatiyon main
afzal kiya, k tum logon par Gawah ho, aur yeh RASOOL
tumharey Nigehbaan aur Gawah"..
(Parah#2, Surah Baqarah, Aayat# 143)
=============== ===============
Aayat# 3:
"
To kesi hogi jab hum har Ummat se ek Gawah laaen aur Ae
Mehboob tum ko un sab par Gawah O Nigehbaan bana kar
laaen"..
(
Parah#5, Surah#4, Aayat#41)
=============== ===============
Aayat#4:
" Beshak tumharey pass tashreef lae, tum main se woh
RASOOL jin par tumhara Mushqat parna Giraa'n hai"..
(
Parah#11, Surah#9, Aayat#128)
=============== ===============
Aayat#5:
Qur'an:
“Aur Agar Jab vo Apni Jano par zulm kare, To Ae Mehboob
tumhare Huzoor hazir hon aur phir Allah se maafi chahein
Aur Rasool unki shafa’at farmae to Zarur Allah ko bohot
Tauba kabul karne wala Meherbaan Paaein”
[Surah Nisa Verse.64]
tabhi to Ala hazrat farmate hai:
wahi rab hai jisne tujko hamatan karam banaya,
hume bhik mangne ko tera aasra bataya.
=============== ===============
Reference: Haq or Batil Ki Pehchan Radde 72
Please Support Us, Share Website With your Family, For making Muslim Strength Strong.