AHLE Sunnat Wal Jamat Ka Aqeeda Is Talluk Se Kya Hai Ambiya Alaihumsalam Aur Aulia Allah Rizwanullahi Azmain Se Madad Maangna Jayez Hai Jabki Uska Aqeeda yeh Ho ki Hakiki Imdaad To Rab Taala Hi Ki Hai Yeh ALLAH k Bande Uski Madad k Mazhaar Hain Yani Madad Karne ki Zaat Sirf or Sirf Allah ﷻ ki hain or Ambiya Alahisalam or Auliya jo Humari Madad Karte hain Wo ALLAH ﷻ Ki Ata se karte hain Allah ne Apne in Nek Bando ko ikhtiyar Diya hain ki wo Humari Madad kar skte hain . Or Hum inhe ALLAHﷻ KI ATA se Mada ke liye pukarte Hai.
Sureh Saff Ayat No.14
61 – Sureh Saff Ayat No.14
یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا کُوۡنُوۡۤا اَنۡصَارَ اللّٰہِ کَمَا قَالَ عِیۡسَی ابۡنُ مَرۡیَمَ لِلۡحَوَارِیّٖنَ مَنۡ اَنۡصَارِیۡۤ اِلَی اللّٰہِ ؕ قَالَ الۡحَوَارِیُّوۡنَ نَحۡنُ اَنۡصَارُ اللّٰہِ فَاٰمَنَتۡ طَّآئِفَۃٌ مِّنۡۢ بَنِیۡۤ اِسۡرَآءِیۡلَ وَ کَفَرَتۡ طَّآئِفَۃٌ ۚ فَاَیَّدۡنَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا عَلٰی عَدُوِّہِمۡ فَاَصۡبَحُوۡا ظٰہِرِیۡنَ ﴿٪۱۴﴾
Kanzul Iman Translation
اے ایمان والو دین خدا کے مددگار ہو جیسے عیسیٰ بن
Aye Imaan Waalo Deen e Khuda Ke Madadgaar Ho Jaise Isa Bin Mariyam Ne Hawaariyo’n Se Kaha Tha Kaun Hai Jo Allah Ki Taraf Ho Kar Meri Madad Kare’n Hawaari Bole Hum Deen e Khuda Ke Madadgaar Hai’n To Bani Israa’eel Se Ek Giroh Imaan Laaya Aur Ek Giroh Ne Kufr Kiya To Humne Imaan Waalo’n Ko Unke Dushmano’n Par Madad Di To Gaalib Ho Gaye.
Sureh Mohammad Ayat No.7
یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اِنۡ تَنۡصُرُوا اللّٰہَ یَنۡصُرۡکُمۡ وَ یُثَبِّتۡ اَقۡدَامَکُمۡ
Kanzul Iman Translation
اے ایمان والو اگر تم دینِ خدا کی مدد کرو گے اللہ تمہاری
Aye Imaan Waalo Agar Tum Deen e Khuda Ki Madad Karoge Allah Tumhaari Madad Karega Aur Tumhaare Qadam Jama Dega.
Is Aayat me Maujood hai Hazrat Isaa Alaihi Salam ne apne Hawario se madad maangi hai halanki k Isha Alahisalam khud Nabi Hain Agar Gairullah se madad Mangna Shirk hota to ALLAH ﷻ ne ye aayat bhejni thi k Isaa Ye Kya tu Nabi Hoke Gairullah se madad le raha Hai par iske Khilaf Quran me maujood hai k ALLAH ne Aisa nahi farmaya balki us madad pe Fakr kiya hai aur Musalmaano ko bhi taakeed ki k Tum Bhi Us Trah deen ki madad karo jaise Isa Alaihi Salam k Hawario ne ki hain . Hakiki Madad to ALLAH hi karta hai bande bas Mazhar Hain .
Aaalam E Arwaah Me Tamam Ambiya Alaihi Salam Se Waada k Tum Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ki Madad Karna
Sureh Aale Imraan Ayat No.81
وَ اِذۡ اَخَذَ اللّٰہُ مِیۡثَاقَ النَّبِیّٖنَ لَمَاۤ اٰتَیۡتُکُمۡ مِّنۡ کِتٰبٍ وَّ حِکۡمَۃٍ ثُمَّ جَآءَکُمۡ رَسُوۡلٌ مُّصَدِّقٌ لِّمَا مَعَکُمۡ لَتُؤۡمِنُنَّ بِہٖ وَ لَتَنۡصُرُنَّہٗ ؕ قَالَ ءَاَقۡرَرۡتُمۡ وَ اَخَذۡتُمۡ عَلٰی ذٰلِکُمۡ اِصۡرِیۡ ؕ قَالُوۡۤا اَقۡرَرۡنَا ؕ قَالَ فَاشۡہَدُوۡا وَ اَنَا مَعَکُمۡ مِّنَ الشّٰہِدِیۡنَ ﴿۸۱﴾
Kanzul Iman Translation
Aur Yaad Karo Jab Allaah Ne Paigambaro’n Se Unka Ahed Liya Jo Mai’n Tumko Kitaab Aur Hikmat Doo’n Phir Tashreef Laaye Tumhaare Paas Woh Rasool Ke Tumhaari Kitaabo’n Ki Tasdeeq Farmaaye To Tum Zaroor Zaroor Uspar Imaan Laana Aur Zaroor Zaroor Uski Madad Karna Farmaaya Kyu’n Tumne Iqraar Kiya Aur Uspar Mera Bhaari Zimmah Liya Sabne Arz Ki Ham Ne Iqraar Kiya Farmaaya To Ek Doosre Par Gawaah Ho Jaao Aur Mai’n Aap Tumhaare Saath Gawaaho’n Me’n Hoo’n.
Ye Aayat e Mubaraka Us wakya ki tashreeh hai jab Dunya me Insaano ko bheja nahi gaya tha us wakt Tamam Insaano ki Rooh ko AALAM E ARWAAH me jama kiya gaya aur baad me fakat unki Rooh e Aqdas ko rakha gaya jo Nabiyo me Shamil hai us wakt ALLAH taala ne Tamam Nabiyo se ye waada liya k Jab Kabhi Agar Tumhare Darmiyan Nabi E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم tashreef le aaye to unpar Imaan Laana Unka Kalima padhna aur UNKI MADAD KARNA.
ALLAH TAALA Madadgaar HAI USKE BANDE BHI USKI ATA SE MADADGAAR HAI
:بَلِ اللَّهُ مَولاكُم ۖ وَهُوَ خَيرُ النّاصِرين“
Beshak Allah Tumhara Maula Hai aur Sabse Badkar Madadgaar Hai”
(Al Imraan Ayat 150)
:ذٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ مَولَى الَّذينَ آمَنوا وَأَنَّ الكافِرينَ لا مَولىٰ لَهُم“
Yeh Isliye k Musalmano Ka Maula (Madadgaar) Allah Hai Aur Kaafiro ka Koi (Maula) Madadgaar Nahi
”( Surah 47 Muhammad Ayat : 11)
Pehle aayat me farmya ALLAH Sabse badkar madadgaar hai aur beshak ispe hi hum sabka akeeda hai phir dusre makam me jo bayan huwa farmaya ALLAH TAALA Musalmano ka to madadgaar hai par Kaafiro ka koi madadgaar nahi hai par Musalmano k liye kya farmaya
:ا عَلَيهِ فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَولاهُ وَجِبريلُ وَصالِحُ المُؤمِنينَ ۖ وَالمَلائِكَةُ بَعدَ ذٰلِكَ ظَهيرٌ“
Beshak Allah Unka Madadgaar Hai Aur Zibril Aur Nek Momineen Madadgaar Hai”
(Surah At Tehrim Ayat : 04)
Ab Is aayat me Farmya ALLAH MADADGAAR HAI Musalmano ka Jibrail Alaihi Salam bhi aur Nek Momin bhi Madadgaar hai ek dusre k Is main Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH Haqeeqi madadgaar hai, Aur Jibrael AlaihSalam, aur Auliya E Karam, ALLAH TA’ALA ki Ata se madadgaar hain, jo Zaat-E-Baari TA’ALA Ata farma rahi hai, us main aur jis ko Ata kiya ja raha hai, un Hazraat main barabri ka Tassawwur bhi nahin kiya jasakta, aur jab barabri nahin to SHIRK kahaan se hoga??Aur ye farmaya k KAFIRO Ka Koi Madadgaar Nahi hai kyu ? Pata chala k Madadgaar hona yeto ALLAH waalo k liye hai Musalmano k liye ab jin logo ne madadgaar ko hi Me’aar bana liya hai wo kon hai ?? Faisla to Quran ne kar diya ab hum kya kahe.
SHAH ABDUL AZIZ MUHADDIS DEHELVI رحمتہ اللہ علیہ likhte Hain
Gair ullah se Madad Is tarah mangna ke usi par aitmad kare aur use Allah ﷻ ki madad ki ek surat na samjhe, ye haraam hai, aur agar Tawajjo sirf Allah ﷻ ki taraf ho, aur use Allah ﷻ ki madad ki hi ek surat samajhte hue aur Allah ﷻ ke jamaya hua ek zariya, aur uski hikmat par nazar rakhte hue gairullah se zahiri tour par madad mange to ye Marifat se door nahi, aur Shari’at me jayaz hai, Ambiya Alahisalam or Auliya ne is qism ki madad dusro se mangi hai, haqiqat me ye gair se nahi balki Allah ﷻ se hi madad hain.
Ref: Tafsir Azizi 1/54
Shah Abdul Aziz Dehelvi رحمتہ اللہ علیہ Likhte Hain:
Awliya se Madad mangne ka tareeka ye hai ke zabaan se kahe: Aye mere Huzoor! Mai fala kaam ke liye Allah ki bargah me iltija kar raha hoon, Aap bhi dua Aur Shafat se meri madad kijiye
Fatawa Azizi page 177
Sahabah ke shagird Rasul Allah ﷺ ki Qabr choomte the aur Unse Madad mangte the :
Imam Maalik رحمتہ اللہ علیہ ke ustad, Tabai Buzurg ibn Munkadir (wisaal 129 Hijri) apne sathiyon ke sath bethe the ki achanak ap par wo kaifiyat tari hogyi jisme muh se awaz nahi nikal pati, to ap fouran uthe aur Rasul Allah ﷺ ki Qabr par jakar uspar apne gaalo ko rakh diya, to apki awaz wapas agayi, fir farmaya: jab bhi mere sath aisa kuch hota hai to mai Nabi ki Qabr se Madad mangta hoon.
Reffrence:
Ibn abi khaisama (278 Hijri) – Tarikh 2/258 (scan page Ibn Asakir (571 Hijri) – Tarikh dimashq 56/51 Zahabi (748 Hirji) – Siyr Aalam un Nabala 3/3724 (scan pageAlso in Tarikh Islam 8/169Samhudi (944 Hijri) – wafa ul wafa 4/218Ibn Hajar Haitami (973 Hijri) – Tohfat ul zawwar page 18• Yusuf Nabhani – Jawahir ul Bahar 4/60
Imam Baihaqi ne waqya bayan kiya ek taba’i jo kehte hai:
Hamare sath madina mein ek shaks tha, wo jab bhi koi burai dekhta jisey hath se rokne ki quwwat nahi rakhta toh Rasoolullah ﷺ Ki Qabr par jaa kar kehta, “Ae ahle Qabar! madad karne wale baraye karam dekhe hamari riyasat ki taraf”
Ref: Shu’ab Al Iman Hadith 3879
Ek dafa Abu-Ayyub Ansari رضي الله عنه Nabi ﷺ ki Qabr e aqdas ke paas tashreef laye aur apna chehra qabr e aqdas par rakha. uska waqt ka khalifa Marwan ne unhe dekh kar kaha, “kiya tum jante ho tum kiya kar rahe ho?” Abu Ayyub Ansari ne jawab diya: “Haan (mai janta hoon mai kiya kar raha hoon) Main Rasulullah ﷺ ke paas aaya hoon kisi patthar ke paas nahi.”
Ref: Musnad Ahmad 5: 422,
Imam Haakim, Al-Mustadrak 8571, Imam Tabrani. At-mojimul Kabeer
Farooq e Azam رضي الله عنه Ke Shehzade Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Ka Jab Paon Mubarak Sun Hua To Aapne Madine Shareef Se Hazaro Mil Dur Se Pukara Ya Muhammada ﷺ To Fauran Paon Mubarak Thik Ho Gaya_
(Ref Bukhari Al Adab al Mufrad No 964)
Iski Sharah Me Hazrat Imam “Mulla Ali Qari” Hanfi Al Mutawaffah “1014” Hijri Likhte Hain Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Ne Buland Aawaz Se Ya Muhammad ﷺ Pukara Isse Unka Maqsad Ye Tha Ke Habib ﷺ Se Muhabbat Bhi Zahir Ki Jaye Aor Habib ﷺ Se Madad Ki iltija Bhi Ho Jaye _ Phir Aage Likhte HainYa Muhammad ﷺ Sahaba e Karam Pukara Karte The Ye Nara Sahaba Ka Nara Hai الحمدﷲJo Sahaba Ka Nara Tha Aaj Wahi Nara Hum Sunni Barelviyo Ka Nara Hai Ya Rasool ALLAH ﷺ
Reference Book(Sharah al Shifa/Vol -2/ Page-41)
Shahadat e Hussain رضی ﷲتعالی عنہ Ke Baad Bache Baki Ahle’bait Ko Ibn e Saad Yazeedi (Kutte) Ne Qaidi Bana Kar Un Ahle’bait Ki Azmat Wali Aurto Ko Bina Kajawe Ke Unto (Camel) Par Sawaar Kar Diya Jab Wo Maidan e Jang Ke Paas Se Ghuzray Tab Unhone Hazrat Sayyidina Imam Hussain رضی ﷲتعالی عنہ Aapki Aal o Ashaab Ke Jisme Paak Ko Dekha To Rone Aur Chillane Lagi Aur Shehzadi e Kaunain Sayyeda Zainab رضی ﷲتعالی عنہا Apne Bhai Imam Hussain رضی ﷲتعالی عنہ Par Rona Shuro Kar Diya Aur Sayyeda Zainab رضی ﷲتعالی عنہا Ne Rote Hue Ye Pukara
“Ya Muhammada ﷺ Ya Muhammada ﷺ”
Phir Farmaya ALLAH ﷻ Aur Aasman Ke Firishte Aap Par Bheje Hazrat Hussain عليه السلام Khoon Me Lat’path Aur Jism Paak Ke Aaza Ke Tukde Tukde Hokar Maidan e Karbala Me Bikhre Hue Hai “Ya Muhammada ﷺ” Aapki Betiyan Qaidi Hai Aur Aapki Aulad Shaheed Hue Pade Hai Jinke Jism e Paak Par Subho Ki Mitti Hawa Uda Rahi Hai
(Al Bidaya wan Nihaya / Page 200)
Imam “Bukhari” Ke Ustad “Hazrat Imam Ali Bin Ibn Ja’ad Al Mutawaffah 230 Hijri Likhte Hain”Hazrat Abdur Rehman Bin Saad رضي الله عنه Se Riwayat Hai Wo Kehte Hain Ke Me Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Ke Saath Tha To Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Ka Paon Mubarak Sun Ho Gaya To Mene Unse Kaha Jisse Aapko Sabse Zyada Muhabbat Ho Usko Pukare? To “Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Ne Wahin Se Pukara Ya Muhammad ﷺ Ya Rasool Allah ﷺ” To Aapka Pao Fauran Thik Ho Gaya_To Pta Chala Ke Musibat Preshani Ke Waqt Sahaba Ya Rasool Allah ﷺ Pukarte Thay_ الحمدﷲ Hum Barelvi Bhi Sahaba Ke Tarike Par Amal Karte Hai Aur Apne Nabi ﷺ Ko Pukarte Hain
Reference Book(Musnad Ibn Ja’ad / Vol 2 / Hadees 2539)
18 Hijri Me Ek Sahabi-e Rasool Hazrat Bilal Bin Al-harish Ne Qahat Ke Time Per Ek Bakri Zibah Ki Mager Us Bakri Mein Sivaye Haddi Ke Kuch Na Nikla Yeh Musibat Dekh Ker Us Sahabi Ne Pukaara *Ya Muhammada*(See Green Highlight) ………Sahabi Ne Pukara Aur Nabie Paak Ne Khwab Mein Aaker (Qahat Khatm Hone Ki)Khush Khabri Sunaee
[Al-kamil Fittareekh-630 Hijri/V-02/Baab-zikr Qahat O Amur Madah/P-397}
Rasoolullah ﷺ ne farmaya :
Meri Ummat me aise 30 (auliya) hamesha rahege ke jinke sabab se Zameen qayam rahegi, jinke sabab se Barish hogi, Jinke sabab se tumhari madad ki jayegi.
Ref:Imam Zurqani ne farmaya “Is Hadees ki sanad Sahih hai” (Sharh Muwahib 7/483) Imam Haisami ne farmaya “Iske tamam rawi Sahih hai” (Majma uz zawaid 16673) Tafsir Ibn Kasir 2/453, Kanz ul Ummal 34588
Imam Abul Hasan Shatnufi Shafai رحمتہ اللہ علیہ Jinka Wisaal 750 Saal Pehle huwa, Wo Apni Kitab me Sanad se Bayan karte hain
SHAYKH ABDUL QADIR JILANI رحمتہ اللہ علیہ NE FARMAYA :”Jo Shaks Mujh ko Museebat me Pukaare Uski Takleef Door hogi Aur Jo Shaks Kisi Haajat me Allah ﷻ ki Taraf Mera Tawassul(Wasila) Pesh Kare to Uski Haajat Puri Hogi”.
Ref: Bahjat ul Asraar Mutarjim, Page no.295.
Muhaddiso Ka Roze par ja kar Nabi ﷺ se Madad Mangna :
Imam Muhaddis Abu Bakr Ibnul Muqri ( 285 Hijri) Farmate Hai ke Mai Imam Tabarani Aur Abu Shaikh رحمتہ اللہ علیہ Madina Me the,humpar Waqt Tang Hogaya, Hum Us roz safar kar rahe the Aur ishaa ke waqt Nabiye Paak ﷺ Qabre Mubarak Par Hazir hue Aur Maine Arz Kiya Yaa Rasulallah ﷺ BHUK Lagi Hai Mujhse Tabarani Ne Kaha “Beth jao Ya to Rizq Ayega ya Maut”, Mai Aur Abu Shaikh Khade Hue to Darwaze par ek Alwi (Hazrat Ali ki Aulad) Hazir hue, Unke sath 2 Gulam 2 Tokriya Liye hue the, Jisme Kafi sari (khane ki) Chize thi, Us Alwi Ne Humse kaha “Kya Aplogo ne Nabi ﷺ ki Bargah me meri Shikayat Ki Hai?, Maine HUZOOR ﷺ ko Khwab me Dekha, Unhone Mujhe Hukm diya ke khane ki Chiz Aplogo ke liye le jau”
(IMAM ZAHABI SIYARU A’LAAM 16:401)
Ibn Taimiyah (WAHABIYO KA SHAIKHUL ISLAM)Ne Marne Ke Baad KhwAAB Me Akar Logo ki MushkIL KUSHAI (MUSHKIL DUR) KI
IBN TAIMIYA Ke Shagird IBN QAYYIM JAUZIYA LIKHTE HAI “Ayese logo Ki Tadaad bohat Zyada hai, Jin Logo Ko IBN TAIMIYA NE UNKE KHWAB ME KOI DAWAA BATAAI JISKE ISTEMAl se un logo KO SHIFAA HAASIL HUI” “MUJHE AYESE Kai logo ne Bataya Hai Jo IBN TAIMIYA KI TARAF Mayel Na the ke Un logo ne Ibn TaimiYA KO UN (IBN TAMIYA KI) MAUT Ke Bad Khwab ME DEKHA Aur unse Faraiz Ya uske Alawa kisi Cheez KE BARE ME SUWAAL KIYA JISME UNHE MUSHKIL HORAHI THI, TO Ibn Taimiya ne unhe Sahee JAWAAB DIYA” “to Majmui tor par (overall), is Baat ka inkar Nahi karega siwaye us shakhs ke jo Rooh Aur uske Ahkaam o Halaat ke bare me Logo me sabse zyada Jaahil ho”
(KITAABU ROOH Page #96 – IBNU QAYYIM)
Is se pata chala ke Wahabiyo ke Shaikhul islam Marne ke baad Khwab me Aakar Madad karte hai, Mushkil Masle Hal karte hai, ibn Qayyim ke Mutabiq Ye Rooh ka Muamla hai, yani ruhani tor pe khaan me aakar Ibn Taimiya ne madad ki aur kaha ke iska jo inkar kare wo rooh ke maamlat se sabse bada jahil hai. yehi Chiz Kisi Allah ﷻ ke Wali Gaus e paak ya Khwaja Paak ki bayaan ki jaye to Najdi Shirk Shirk ki gun machine chalate hai Kya kisi Najdi Laal Rumal, Tie coat, Wale Mufti me Himmat hai ke ibn Qayyum par Shirik ka fatwa lagaye? ya Sirf shirik tab hoga jab Gause pak, Khwaja Ajmer, Daata Hajweri madad krege? Pata nhi ibn Taimiya ko Qabar me kese Gaib ki baat pata chal gai ke koi Bimar hai use dawa batana hai ya koi Masle ka hal chahta hai use masla batana hai!!!!
Imam Samhudi رحمتہ اللہ علیہ Ka Raozaye RASOOL ﷺ PAR Jaa kar Madad Mangna
Imam Sayyid Nooruddin Samhudi رحمتہ اللہ علیہ Farmate Hai “Mai Masjid e Nabawi Me tha Waha Masjid Mera Kamra tha jisme Meri Kitaben thi, uski Chabi mere pas thi, Kuch Misri Ulamaa Aye Hue the unhone Mujhe Raoza Sharif par Nabiye paak ﷺ ke huzoor bethne ke liye Chalne ko kaha, Mai unke sath chala gaya, Jab Wapas Aya to Mere Kamre Ki Chabi Mujhe Nahi Mili, Maine use Har jagah par dhunda jaha mai chala tha, Mujhpar Chabi gum hona bada Giraa guzra jabke Mujhe uski Haajat thi To me Huzoor ﷺ ke Paas Hazir HUA AUR ARZ KI Yaa Sayyidi Yaa Rasulallah ﷺ KAMRE KI CHABI GUM HOGAI MUJHE USKI ZARURAT HAI, Aur Mai Chahta hu ke wo mujhe apki bargah se mile Phir Mai Kamre par agaya Aur ek Anjaan Bacche ko khade dekha Jiske Hath me Kamre ki chabi thi, mene pucha to bataya ke Mujhe ye Chabi Roze ke Muwajah (face side) par Mili To Maine leli.
(WAFAA’UL WAFAA 4:203)
Pata Chala ke Wisal ke bad bhi Huzoor ﷺ se Kuch Mangna ye shirk nahi balke bade Imamo ka Tariqa hai, Pehle ise koi shirk nhi Samjhta tha, ye aaj kal ke Nautankio ne Shirk Shirk Laga rakha hai…
Wahabiyon Ahle’hageeso Najdiyo Ke Dharam Me Ya Rasool Allah ﷺ Kehna Shirk Kufr Hai *Lekin Akabir e Ahle’hagees wahabi Kya Kehte Thay Aaiye Dekhe*Ya Nabi Chadar Ata Ho* *Ya Nabi ﷺ Yahi Mujh Ghada Ki Sada Pukar Hai Ya Nabi ﷺ Koi Tujhsa Nahi* _
Ab Sawal Ye Ki Aajkal Ke Wahabi Ahle’hagees Selfie Najdi Kafir Mushrik Hai Ki Pehle Ke Inke Akabir e Ahle’hagees Babi Wagera
_Hawala Note *Ulama e Ahle’hagees Ka Zauk* Jild *3* Safa *945*
Deobandi Tablighi Jamat Ke Dharam Me Gairullah Se Madad Pukarna Shirk Hai__Magar Sare Deobandiyo Jamatiyo Ke Peer o Murshid_ *Haji Imadad Makki Sahab* _Kya Kehte Hai Dekhe_*Ya Rasool e Kubriya Fariyad Hai Ya Muhammad Mustafa Fariyad Hai* _Aapki Imdad Hon Mera Nahi Haal Abtar Hua Fariyad Hai_ *Sakht Mushkil Me Phasa Hon Aajkal Aye Mere Mushkil Kusha Fariyad Hai* _Tumse Aye Noor e Khuda Fariyad Hai_
Ab Kab Haji Sahab Ko Mushrik Hone Ka Elan Deobandi Kar Rahe Hain Yaa phir “Haji Sahab Bhi Barelvi The
Hazart Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya : Qayamat Ke Din Sooraj Logon Ke Bahut Qareeb Aa Jaa’ega Yahan Tak Ki (Us Ki Tapish Ke Baa’is Logon Ke) Nisf Kaanon Tak Paseena Pahunch Jaa’ega Log Is Haalat Me (Pahle) Hazrat Aadam عليه السلام Se Madad Maangne Jaa’einge, Phir Hazrat Moosa عليه السلام Se, Phir Aakhir Me (Har Ek Ke Inkaar Par) Hazrat Muhammad ﷺ Se Madad Maangeinge.”
References : (Sahi Bukhari Vol : 02, Pg : 323, Kitabuz Zakat, Hadees : 1475)(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 03, Pg : 269, Hadees : 3509)(Imam Tabarani Muajam Ul Awsat Vol : 02, Pg : 854, Hadees : 884)(Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus Vol : 02, Pg : 377, Hadees : 3677) Scan Page
*Aaj Ke Deobandiyo Ke Fatwe Se Thanvi Hua Mushrik
Deobandiyo Tablighi Jamatiyo Ka Hakeem e Ummat Ashrafe Ili Thanvi Deobandi Kehta Hai
Ya Mustafa Ya Mujhtaba Aap Hamare Madad’ghar Hai Aapke Sadqay Me Mushkile Hal Hoti Hai Agar Aap Dor Ho To Hum Mar Jaye
Deolandiyo Ki Munafiqat Dekh Kar To Dajjal Bhi Sharma Jaye
Hawala Note Hayat ul Muslimeen Safa 51
HAZRAT ABU BAKR MUHAMMAD BIN AL-Hassan BIN ABDAN AL-SIRAFI NE KAHA MAINE HAZRat Ja`far Al-KhalDI SE SUNA:
MUJHE KHarish Ki Bimari THI MEIN BAHUT Pareshan Aur Takleef Mein Tha To MEIN HAZRAT Imam Hussain rady KI QABR MUBARAK PAR GAYA AUR QABR SHAREEF Ki Mitti Li Aur Usse LaGaya Aur WAHI SO GAYA AUR JAB UTHA TOH MAINE DEKHA KI BIMARI BILKUL THIK HO GAYI HAIIMAM IBNJAWZI 597 HIJRI (1200-1201 AD)
Reffrence:AL-MUNTAZAM FĪ TĀRĪKH AL-MULUK WA-AL-Umam Vol 5 page 346
Bilal bin haris رضي الله عنه Rasulullah ﷺ ki qabr e aqdas par gaye aur Rasulullah ﷺ se barish ki darkhast ki khwab mein jawab mila aur khoob barish huwi
Ref: Fathul Baari Sharah Sahih Al Bukhari Al Hafiz Ibn Hajar Al Asqalani Hadith 1010
Imam Shairani farmate hai ki ibn ul arabi ke fatuhat mein hai:
Allah ke Rasool ﷺ Nabi o auliya ke madadgar hai, khwah wo dunya mein ho ya barzakh mein. Isliye ki unke noor ki roshni waqt aur jagah tak mehdood nahi hai.”
Ref: Hujjat Allah ala al-Alamin of Imam Yusuf Nabhani al Vol 1 pg.no 82
JAB KOI KHOF YA KISI KA KHATRA HO, TOH AISI SURAT MAIN RASOOL ALLAH ﷺ KI QABR E MUBARAK KE WASILAY SE MADAD TALAB KARE
Tabai’ – Imam Muhammad Bin Munkadir
SIYAR ALAM AN NUBALA VOL5 353,358,359 SCAN PAGES
MISR KE SHAFAI IMAM, SHEHab’uddin RamLI رحمتہ اللہ علیہ (jinka wisal 485 saal pehle hua) likhte hai:Ambiya, Awliya aur Saliheen se madad mangna jayaz hai ke ye apne Wisaal ke bad bhi madad karte hai, kyuki Ambiya ke Mojzat Aur Awliya ki Karamat unke wisaal ke bad khatam nahi ho jaatiRef:
Fatawa Ramli page 740
Hazrat Hajrah رضي الله عنها Jab Pani Ki Talash Me Safa Aur Marwa Ki Pahadi Par Jati Toh Isi Dauran Aapko Ek Aawaz Sunai Di To Aapne Aawaz Se Mukhatib Ho Kar Kaha”Ya Ghaus”Agar Tumhare Paas Koi Bhalai Hai To Meri Madad Karo Waha Hazrat Jibraeel Alihisalaam Maujud The
Ref: Sahih Al Bukhari Vol 4 Page 357
Maslan Auliya Kisi Ki Taraf Ishara Kare To Wo Mar Jaye Ya Wo Hawa Me Ud’kar Makkah Ya Kisi Aur Shaher Pahunch Jaaye Ya Wo Paani Par Chale Ya Hawa Se Lotey Ko Bhar De Ya Uske Paas Ba’zahir Kuch Nahi Magar Wo Gaib Se Kharch Karta Hai Ya Wo Nigaho Se Gayab Ho Jata Hai Ya Jab Koi Usko Madad Ke Liye Pukare Us Auliya Se Madad Chahta Hai Aur Wo Uske Paas Nahi Hai Ya Phir Wo Apni Qabr Me Hai To Wo Auliya Apni Qabr Se Us Madad Mangne Waale Ke Paas Aata Hai Aur Uski Madad Karta Hai Ya Chori Huwe Maal Ki Khabar Deta Hai Ya Gayab Aadmi Ke Haal Batla Deta Hai Ya Marz Ke Ahwaal Se Aagah Kar Deta Hai “In Jaisi Cheezo Ka Zuhur Kabhi Allah Ke Waliyon Se Hota Hai
Ref:- Majmaul Fatawa Jild 11 Pg.no 213:214]
Hazrat Imam Ibn e Hajar Asqalani رحمتہ اللہ علیہ Likhte Hai Hazrat Abu Ali Neshapuri رحمتہ اللہ علیہ 349 Hijri Ne Bayan Kiya:-
Main Bahut Zyada Mushkil Aur Pareshani Mein Tha Toh Mujhe Khwab Mein Rasool Allah ﷺ Ki Ziyarat Huwi To Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Yahya Bin Yahya Al Mutawaffah 226 Hijri Ki Qabr Par Jao Aur Waha Istighfar Karo Aur Madad Mango Aur Uske Wasile Se Madad Talab Karo Toh Tumhari Mushkile Hal Ho Jayegi Toh Maine Aisa Hi Kiya Tu Agle Din Meri Pareshani Thik Ho Gayi
[Tehzeeb Ut Tehzeeb Vol 4 Page 398]
Imam Ghazali رحمتہ اللہ علیہ Farmate Hain:
“jab bhi koi shaks musibat mein ho to wo qabr walo se madad maange, jo roohani taqat wale hote hain aur is mein koi shak nahi ki unki qabr ki ziyarat se roohani madad milti hai aur faiz hasil hota aur bahot baar jab unka waseela Allah ki bargah mein pesh kiya jaata hai to musibato ko khatam kar diya jaata hai”
[Tafseer e Roohul Maani Vol 30, Pg: 24]
Ahle Hadees Ke Baani Nawab Siddiq Hasan Khan Sahab Ko Jab Koi Mushkil Pesh Aati Toh Is Tarah Madad Maanga Karte The:–
“Qibla E Deen Madade, Kaaba E Imaan Madade Ibn E Qayyim Madade, Qazi E Shoka’n Madade
(Hadiyatul Mehdi : Jild 1 : Safa 23, Matbu’a Shaukatul Islaam Banglore, Nafhut Taeeb: Safa 47, 57)
Imam Abu Abdullah Al-Qarshi (jinka wisaal 843 saal pehle hua), farmate hai:Misr me behad mehengai bad gayi to maine Syria ka safar kiya aur Hazrat Ibrahim ki Qabr par hazri di, waha maine Hazrat Ibrahim ki ziyarat ki, aur unse arz ki”Aye Allah ke Rasul! Aap meri ziyafat ke tout par Misr ke logo ke liye Dua farma dijiye”Unhone dua farmai to Allah ne Misr ke logo ki gareebi dur farma di
Is waqiya ko likhne wale :
-Imam Yafa’i (674+ Saal) Rawdat ul Ryahin 1/359
-Imam Suyuti(531+ Saal) Al Hawi lil Fatawi 2/245
-Imam Haythami (463+ Saal) Fatawa Hadithiya 1/213
-Imam Ismail Haqqi (315+ Saal) Ruh ul Bayan 4/262
-Imam Safiri (486+ Saal) Sharh Bukhari 2/191
-Imam Maqari(401+ Saal) Nafh ul Tayyib 2/55
-Imam Salhi shami(500+ Saal) Subl Ul Huda 10/466
AGAR INSAN APNI PURI HIMMAT SE NABI E PAAK ﷺ KI TARAF TAWAJJU KARE TO AP USKI MUSEEBAT ME MADAD KARTE HAI
Hazrat Shah Waliullah Dehlvi (wisal 1762)
Fuyuzul Harmain Chapter 10 page 123
Huzoor ﷺ ki Qabr ki ziyarat karne walo ko chahiye ki kasrat se dua kare, gidgidaye, Aap se istigatha (madad talab) kare aur apki shafa’t mange
10vi sadi ke Mujaddid, Imam Qastalani (527 pehle wisal kiye) apni Kitab Al Muwahib Vol 4 Page 593 me likhte hai
Imam Ahmad Bin Hanbal رضي الله عنه Rasul Allah ﷺ ke baal Mubarak ko pani me bhiga kar us pani ko peete aur usse Shifa hasil karte
-Imam Ahmad ke bete Hazrat Abdullah ne farmaya Ref
: Imam Ibn Jawzi, Book Manaqib Imam Ahmad page 181
Sahabiyah Sayyida Asma bint Abu Bakr ke pas Rasul Allah ﷺ ka ek Jubbah tha, Aap farmati hai Jab bhi hum me se koi bimar hota to hum ise dho kar wo pani use pila dete Aur Shifa hasil karte
REF: SAHIH HADITH OF MUSNAD AHMAD 26942
Rasul Allah ﷺ ne farmaya :
Jab Tumhari koi chiz ghum jaye, tumhe madad ki zarurat ho, aur tumhara koi sathi na ho to yun pukaro Ya Ibadullah Aye Allah ke bando Meri Madad karo
Imam Ali Bin Sultan Qaari ne farmaya “Ye hadis Hasan hai” (Mirqat 2441) Ref: Tabarani – Mo’jam ul Kabir Vol 17 page 117 Hadith 290
Ibn abi Shaibah Musannaf 29189
Suyuti Jami Saghir 1396 Kanz ul Ummal 17498
Allah ﷻ Ke Wali Madad’ghar Hain
¹ Hazrat Qazi Ahmad Bab al-Sanhajii Maliki Al Mutawaffah 1036 Hijri
&
² Hazrat Shah Abdul Aziz Al Mutawaffah 1239 Hijri رحمة الله
&
³ Alahazrat Al Mutawaffah 1340 Hijri رضي الله عنه Likhte Hain
Hazrat Imam az-Zarrūq ash-Shazli Al Mutawaffah 899 Hijri رحمة الله عنه Farmate Hain
Me Apne Mureed Ki Preshanio Me Uski Madad Karne Wala Hon Jab Sitam Zamana Apni Na’ausat Se Uspar Zulm Kare Aur Agar Tu Tanghi wa Tanhai Wa Takleef Wa Mushkil Me Ho Tu Yun Pukar Ya Zarruk Me Fauran Aa Maujud Honga Teri Madad Ko
Subhanallah
✺ Hazrat Shah Abdul Aziz رحمة الله Ne Apki Bahut Shan Bayan Ki Apko Abdaal Kaha Apki Kitabo Ki Bhi Tareef Ki Zyada Details Ke Liye Dekhe Bustan al-Muhaddisin Urdu Safa 205 206
References Books
¹ Neel al-Ibtihaaj
Vol 1 Pg 119
&
² Bustan al-Muhaddisin
Vol 1 Pg 243
&
³ Hayat al-Maut
Vol 1 Pg 199
Ya Rasool Allah ﷺ Ya Ali Kehna
Sayyidi Aaqai Maulai Alahazrat رضي الله عنه Al Mutawaffah 1340 Hijri Likhte Hain
Makkah Shareef Ke Great Imam Jamal Bin Abdullah Sheikh Omar al-Hanafi al-Makki Al Mutawaffah 1281 Hijri Ki Fatawa Ki Kitab Me Hai
Unse Suwal Hua Us Shakhs Ke Bare Me Jo Musibato Preshanio Ke Waqt Kehta Hai Ya Rasool Allah ﷺ Ya Ali رضي الله عنه Ya Shaykh Abdul Qadir Jilani Baghdadi Maslan Aaya Ye Sharr’an Jaiz Hai Ya Nahi? Tu Usme Unhone Jawab Diya Ha Auliya Se Madad Mangna Aur Unhe Pukarna Aur Unke Saath Tawassul (Wasila) Lena Amr Mashroh Wa Shay Marghub (Pasandida Jaiz) Hai Jiska Inkar Wahi Karega Jo Hat Dharm Dushman e Insaaf Aur Beshaq Wo Barkat e Auliya e Karaam Se Mehroom Hai
Subhanallah
Reference Book
Hayat al-Mawt fi-Bayan Samae al-Amwat [Published Dar al-Kotob al-Ilmiyyah Beirut Lebanon
Vol 1 Pg 198
Ya Rasool Allah ﷺ Ya Ghaus al-Madad Kehna
Hazrat Imam Shihab al-Deen al-Ramli Shafai Al Mutawaffah 957 Hijri Se Sawal Hua
Musibat Preshani Ke Waqt Jo Log Ye Kehte Hai Ya Shaykh Fulah Madad Ya Rasool Allah ﷺ Madad Aur Ambiya o Mursaleen Auliya Aaima e Saliheen Se Madad Mangna Jaiz Hai Ki Nahi? Aur Rasoolo Ambiyao Auliyao Saliheen Wa Ma’shaikh Ke Wisaal Ke Baad Unse Madad Talab Karne Ki Kya Imkan (Possibility) Hai?
Imam Jawab Dete Hai
Ambiya o Mursaleen Auliya Aaima Saliheen Se Madad Mangna Fariyad Karna Jaiz Hai Aur Rasoolo wa-Ambiya Auliya Aur Saliheen Apne Wisaal Ke Baad Bhi Madad Farmate Hai Ye Unka Mojiza Aur Karamat Hai Jo Jari Hai Kyunke Ambiya Ke Mojizaat Aur Auliya Ki Karamaat Unke Wisaal Ke Baad Bhi Munqat’aa (Disconnect) Nahi Hoti
Subhanallah
✺ Allama Abdul Qadir Bin Muhammad Abi Nur Al Mutawaffah 1268 Hijri Ne Isko Apni Kitab al-Fuyudat al-ihsania Safa 57 Par Naql Kiya
&
Allama Yusuf Bin Isma’eel Nabhani Al Mutawaffah 1350 Hijri Ne Bhi Isko Apni Kitab Shawahid al-Haq Safa 105 Par Naql Kiya
&
Allama Fathullah Bin Abi Bakr al-Lubnani Al Mutawaffah 1353 Hijri Ne Bhi Isko Apni Kitab Tuhfat Ahl al-Futuhat wal Adhwaq Safa 75 Par Naql Kiya
Reference Book
Fatawa al-Ramli
Vol 1 Pg 740
Hazrat Shaykh Muhammad Bin Khatir al-Din al-Attar Al Mutawaffah 970 Hijri Likhte Hain :
Wazaif Naad-e-Ali Yan, Tu Hazrat Ali رضي الله عنه ko Pukaar Awaz De Kaun Ali Mazhar al- Ajaa’ib, Jo Ajeeb-o-Ghareeb Madad Karne Wale Hain Tajidh-o-Awnal Laka Fin Nawaa’ib, Mushkil Preshani Me Tu Hazrat Ali Ko Awaz De To Tu Palega Unko Ke Musibato Me Tumhari Madad Karege Koollu Hammin wa-Ghammin Sayan Jali, Har Gham Har Preshani Har Musibat Har Mushkil Thodi Hi Der Me Sab Khatm Ho Jayegi Nahi Reh Sakti Musibato Preshani Kyun Aapki Wilayat Aapki Madad Ki Wajeh Se Be Wila Yate’ka Ya Ali Ya Ali Ya Ali
*Al Jawahir al-Khamsa*
Aur isko Mujaddid-e-Azam Imam Ahmad Raza *Alahazrat* Al Mutawaffah *1340’* Hijri Ne Bhi Apni Kitab Me Code Kiya Hai
Please Support Us, Share Website With your Family, For making Muslim Strength Strong.