Ahle Sunnat Wa Jama’at Ka Aqeeda ye Hain Allah ﷻ A’alimul Gaib Hai Aur Yeh Sifat Allah ﷻ Ki Khaas Sifat Hai Aur Rasoolallah ﷺ Ke Pass Jo Ilme Gaib Hain Wo ALLAH ﷻ ki Ata se Hain . Huzoor ﷺ ke Pass Ataai Ilme Gaib Hai Allah ﷻ Ne Rasoolallah ﷺ Ko Gaib Ka Ilm Diya Hai.
Note :
Sureh Ana’am Ki Ayat No.50 Aur Sureh A’araaf Ki Ayat No.188 Me Allah ﷻ Ne Jo Rasoolallah ﷺ Se Kahelwaya Hai Ke “Aap Farma Do Ke Mai Gaib Nahi Jaanta” To Iss Ayat Me Rasoolallah ﷺ Keliye Zaati Ilm e Gaib Ki Nafi Ki Gayi Hai Na Ke Atayi. Dekhiye Tafseer e Neshapuri, Shifa Shareef, Naseemur Riyaz Aur Tafseer e Khaazin.
Sureh Aale Imraan Ayat No.179
مَا کَانَ اللّٰہُ لِیَذَرَ الۡمُؤۡمِنِیۡنَ عَلٰی مَاۤ اَنۡتُمۡ عَلَیۡہِ حَتّٰی یَمِیۡزَ الۡخَبِیۡثَ مِنَ الطَّیِّبِ ؕ وَ مَا کَانَ اللّٰہُ لِیُطۡلِعَکُمۡ عَلَی الۡغَیۡبِ وَ لٰکِنَّ اللّٰہَ یَجۡتَبِیۡ مِنۡ رُّسُلِہٖ مَنۡ یَّشَآءُ ۪ فَاٰمِنُوۡا بِاللّٰہِ وَ رُسُلِہٖ ۚ وَ اِنۡ تُؤۡمِنُوۡا وَ تَتَّقُوۡا فَلَکُمۡ اَجۡرٌ عَظِیۡمٌ ﴿۱۷۹﴾
Kanzul Iman Translation:
Allah Musalmaano’n Ko Isi Haal Par Chhodne Ka Nahee’n Jispar Tum Ho Jab Tak Juda Na Karde Gande Ko Suthre Se Aur Allah Ki Shaan Yeh Nahee’n Ke Aye A’am Logo Tumhe’n Gaib Ka Ilm De De Haa’n Allah Chun Leta Hai Apne Rasoolo’n Se Jise Chaahe To Imaan Laao Allah Aur Uske Rasoolo’n Par Aur Agar Imaan Laao Aur Parhezgaari Karo To Tumhaare Liye Bada Sawaab Hai.
Surah Jinn Ayat No.26
عٰلِمُ الۡغَیۡبِ فَلَا یُظۡہِرُ عَلٰی غَیۡبِہٖۤ اَحَدًا ﴿ۙ۲۶﴾
غیب کا جاننے والا تو اپنے غیب پر کسی کو مسلط نہیں کرتا۔
Gaib Ka Jaanne Waala To Apne Gaib Par Kisi Ko Musallat Nahee’n Karta.
Surah Jinn Ayat No.27
اِلَّا مَنِ ارۡتَضٰی مِنۡ رَّسُوۡلٍ فَاِنَّہٗ یَسۡلُکُ مِنۡۢ بَیۡنِ یَدَیۡہِ وَ مِنۡ خَلۡفِہٖ رَصَدًا ﴿ۙ۲۷﴾
سوائے اپنے پسندیدہ رسولوں کے کہ ان کے آگے پیچھے پہرا مقرر کر دیتا ہے۔
Siwaaye Apne Pasandeedah Rasoolo’n Ke Ke Unke Aage Peechhe Pehra Muqarrar Kar Deta Hain
Sureh Nisa Ayat No.113
وَ لَوۡ لَا فَضۡلُ اللّٰہِ عَلَیۡکَ وَ رَحۡمَتُہٗ لَہَمَّتۡ طَّآئِفَۃٌ مِّنۡہُمۡ اَنۡ یُّضِلُّوۡکَ ؕ وَ مَا یُضِلُّوۡنَ اِلَّاۤ اَنۡفُسَہُمۡ وَ مَا یَضُرُّوۡنَکَ مِنۡ شَیۡءٍ ؕ وَ اَنۡزَلَ اللّٰہُ عَلَیۡکَ الۡکِتٰبَ وَ الۡحِکۡمَۃَ وَ عَلَّمَکَ مَا لَمۡ تَکُنۡ تَعۡلَمُ ؕ وَ کَانَ فَضۡلُ اللّٰہِ عَلَیۡکَ عَظِیۡمًا ﴿۱۱۳﴾
kanzul Iman Translation
اور اے محبوب اگر اللہ کا فضل و رحمت تم پر نہ ہوتا تو ان میں کے کچھ لوگ یہ چاہتے کہ تمہیں دھوکا دے دیں اور وہ اپنے ہی آپ کو بہکا رہے ہیں اور تمہارا کچھ نہ بگاڑیں گے اور اللہ نے تم پر کتاب اور حکمت اتاری اور تمہیں سکھا دیا جو کچھ تم نہ جانتے تھے اور اللہ کا تم پر بڑا فضل ہے ۔
Aur Aye Mehboob Agar Allah Ka Fazl Wa Rehmat Tum Par Na Hota To Unme’n Ke Kuchh Log Yeh Chaahte Ke Tumhe’n Dhoka De De’n Aur Woh Apne Hi Aap Ko Behka Rahe Hai’n Aur Tumhaara Kuchh Na Bigaade’nge Aur Allah Ne Tum Par Kitaab Aur Hikmat Utaari Aur Tumhe’n Sikha Diya Jo Kuchh Tum Na Jaante The Aur Allah Ka Tum Par Bada Fazl Hai.
Rasul Allah ﷺ wisaal ke bad bhi ye tak jante hai ki hum apne band kamro me kya kya karte hai :
Rasul Allah ﷺ ke wisal e zahiri ke bad Hazrat Umar Farooq رضي الله عنه ne Aap ko khwab me dekha, Rasul Allah ﷺ Hazrat Umar ki taraf nazar nahi farma rahe the to Hazrat Umar ne arz ki “Ya Rasul Allah! Kya Mujhse koy khata hogayi?Rasul Allah ne farmaya :” kya tum wo nahi jo roze ki halat me (apni zawja) ko chumte ho?”Hazrat Umar ne arz ki “Uski qasam jisne Apko haq ke sath bheja! Mai aj ke bad roze ki halat me na chumuga”
Note: biwi ko chumne se roza nahi toot’ta, par inezal (ejaculation) hogaya to toot jayega! Yaha Hazrat Umar ko Rasul Allah Isliye mana farma rahe hai ki wo behtar jante hai apne diwane Umar ko ki unke liye kya behtar hai
Rasoolullah ﷺ ko ye Ilm e Ghayb bhi hai ki future me unke Ummati kab kab kya kya karege aur kaun jannat me jayega!
Hazrat Zaid bin Arqam رضي الله عنه farmate hai: Mujhse Rasul Allah ﷺ ne farmaya “jao, yaha tak ke Abu Bakr ke pas pohocho, tum unhe ukhdu betha kapde me lipta paoge, to kehna Rasul Allah ﷺ ne apko salam kaha hai aur apko jannat ki basharat di hai, phir tum chalna yaha tak ke ‘thaniya’ ke Maqam par pohcho to Umar se mulaqat hogi! Wo us wakt gadhe par sawaar hoge aur unke sar ki chamdi nazar arahi hogi, unse kehna Rasul Allah ﷺ ne apko salam kaha hai aur apko jannat ki basharat di hai, phir chalna yaha tak ke bazar me pohocho, waha Usman se milna, wo waha len den kar rahe hoge, unse kehna Rasul Allah ﷺ ne apko salam kaha hai aur apko jannat ki basharat hai badi Azmaish ke bad” Hazrat Zaid ne un teeno Sahabi ko waisa hi paya jaise Rasul Allah ﷺ ne farmaya tha aur Hazrat Usman ki Azmaish ye thi ki unhe 40 din unke ghar me qaid karke shaheed kiya gaya
Ref: Tabrani – Mojam ul Ausat 868, Tarikh ibn kasir 3/205, Tarikh ibn Asakir 39/151, Baihaqi – Dala’il un Nubuwwah 6/390, Suyuti – Khasais Kubra 2/206
ilm e Gaib e Mustafa ﷺ Bukhari or Muslim se
Hazrat Anas bin Malik رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ farmate hain,
Ke Nabi e Karim ﷺ ne farmaaya ke Zaid ne Jhanda sambhal liya, or wo shahid ho gayn,
Fhir Jafar ne sambhala or wo bhi shahid ho gayn, fhir Abdullah bin Rawaha ne jhanda sambhaala or wo bhi shahid ho gayn, is waqt Rasul Allah ﷺ ki aankho me ansu aa gayn, fhir farmaya Ab jhanda Khalid ibn walid ke hath me hai or unko fatah hasil hui hai.
(:- Sahi Bukhari,kitab ul Janaiz, hadith no. 1246)
Note: ye khabar Nabi e karim ﷺ madiney se bata rahey hain, jab ki jang waha se bahot dur ho rahi hai, or aysey jaisey aqaa ﷺ khud dekh rahey hon, ye ilm e gaib nahi to or kiya hai?
( ماكان وما يكون) 𝙠𝙖 𝙨𝙖𝙗𝙤𝙤𝙩 𝙎𝙖𝙝𝙞 𝙢𝙪𝙨𝙡𝙞𝙢 𝙨𝙚
Abu zaid Ne bayan kiya ki, Rasul Allah ﷺ ne namaz e fazr padhai or mimbar par raonak afroz huey or hamey khutba diya, yahan tak ke Zohar ka waqt ho gaya, (mimbar se utar kar) Namaz padhai or phir mimbar par raonak afroz huey or khutba irshaad farmaya, yahan tak ke Namaz e Asr ka waqt ho gaya aap ﷺ ne Namaz padhai or phir mimbar par Tashrif le gayn, or khutba irshaad farmaya yahan tak ke suraj gurub ho gaya, aap ﷺ ne jo kuch hua or jo kuch hone wala tha (sab kuch)(yani ماكان وما يكون) hamey bata diya, ham me sab se jeyadah janne wala wahi bana jisko us din ki baateyn jeyadah yaad rahi.
( : Sahi muslim, hadith no. 2892 or 7267 or 7161)
[𝙉𝙤𝙩𝙚: 𝘱𝘳𝘪𝘯𝘵𝘪𝘯𝘨 𝘬𝘪 𝘸𝘢𝘫𝘢𝘩 𝘴𝘦 𝘩𝘢𝘥𝘪𝘵𝘩 𝘬𝘢 𝘯𝘶𝘮𝘣𝘦𝘳 𝘪𝘥𝘩𝘢𝘳 𝘶𝘥𝘩𝘢𝘳 𝘩𝘰 𝘴𝘢𝘬𝘵𝘢 𝘩𝘢𝘪 𝘭𝘪𝘩𝘢𝘢𝘫𝘢 𝘶𝘱𝘢𝘳 𝘥𝘪𝘺𝘦 𝘨𝘢𝘺 𝘯𝘶𝘮𝘣𝘦𝘳𝘴 𝘮𝘦 𝘴𝘦 𝘬𝘪𝘴𝘪 𝘦𝘬 𝘮𝘦 𝘺𝘦 𝘩𝘢𝘥𝘪𝘵𝘩 𝘮𝘪𝘭 𝘫𝘢𝘺𝘨𝘢]
Note : is hadith se sabit hua ke Allah ne Apney habib ﷺ ko (ماكان وما يكون) ka ilm ata farmaya hai, yani jo kuch ho chuka or jo kuch hone wala hai Allah ne sara kuch apney habib ﷺ ko bata diya hai.
HAZRAT HUZAIFA BIN YAMAN رضي الله عنه NE FARMAYA:
Rasul Allah ﷺ ne mujhe wo sab kuch bata diya jo Qayamat tak hone wala hai
REF: AL MUSTADRAK 8380. MUSNAD BAZZAR 569, TAFSIR IBN KASIR 5/157. TAFSIR TABRI 28/11.
*Asman Me Kaun Farishta Kaha Kya Kar Raha Hai Ye Bhi Mere Huzoor ﷺ Jantay Hain* _
Hazrat *Imam Ahmad Bin Hambal* رضي الله عنه) Hadith Code Karte Hain_*Hazrat Zaid Bin Sabit رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Ek Din Hum Log Rasool Allah ﷺ Ke Paas Baithe Hue Thay Ke Nabi Kareem ﷺ Ne 2 Baar Mulk e Shaam (Syria) Ke Liye Farmaya Khush’khabri Hai To Mene Pucha Ya Rasool Allah ﷺ Shaam Ki Kya Fazilat Hai? To Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya Mulk e Shaam Par Farishte Apne Par Failaye Hue Hai*
Reference Book *Musnad Ahmad* [Published *Saudi Najd (Riyadh]* Safa *1552* Hadees *21607*
Yani HUZOOR ﷺ Madine Shareef Me Jalwa Farma Aur Shaam Jo 1646.km Dor Uspar Asman Ke Farishte Par Failaye Hue Hai Ye Bhi Huzoor ﷺ Dekh Rahe Aur Jantay Hain_ *Aur Aaj (चमार) Se Zyada नीच Wahabi Ahle’hagees Deobandi Kehta Hai Ki Unko Diwaar Ke Piche Ka Nahi Pta* Maaz’Allah
*Ibn e Tayymia Ko ilm e Gaib Tha* By Ibn Qayyim Ibn e Tayymia Ka Chela *Ibn e Qayyim* Jo Wahabiyon Ahle’hageeso Saudi Najdiyo Ka Uncle Hai Wo Likhta Hai *Ibn e Tayymia Un Waqiat Ke Bare Me Unke Hone Se Pehle Hi Janta Hai Jo Hone Wale Hai Aur Logo Ki Rooh Aur Dilo Me Kya Hai Ibn e Tayymia Sab Ilm e Gaib Janta Hai*
Reffrence *Madarij Salikeen* Safa *195*l
_Dekha Aap Agar Kahe Ki Huzoor ﷺ Ko Allah ﷻ Ne ilm e Gaib Ata Kiya Tu_ *Chamar Se Zyada Neech Wahabi Ahle’hagees Saudi Najdi Moh Se Potty Karte Hue Kahega Ki Unko Tu Diwaar Ke Piche Ka ilm Nahi*??? Aur Ibn e Tayymia Ko Sara ilm e Gaib????
*Auliya Gaib Chizo Ko Dekhte Aur Baat Karte Hai* By Ibn e Tayymia Wahabiyon Deobandiyo Najdiyo Ke Shaikh ul Islam
Maula Ali رضي الله عنه Ne Imam Hussain رضي الله عنه Ki Shaheed Hone Ki Khabar Pehle Hi Di Hain
Hazrat Ali رضي الله عنه Ki Riwayat Yahan Par Shuhada Kay Ghode Kheme Bandhe Jayenge Imam Abu Nu’aym Ne Asbag bin Naba’ta Se Rivayat Kiya ki Hum Hazrat Maula Ali kay humraah Hazrat Imam Hussain Ki Qabr kay makan par pahuche Hazrat Maula Ali ne bayan farmaya Yahan Un Shohda kay Oont Bandhenge Yaha Unke Kazawe Rakhe Jaynge Yahan Unke Khoon Bahenge Jawanane Aale Muhammad Is maidan me shaheed honge Aasman wa jameen un par royenge
Ibn umar رضي الله عنه se riwayat hai huzoor ﷺ ne farmaya:”Beshak Allah ﷻ ne dunya ko Is tarah mere peshe nazar kar diya hai ke main duniya aur duniya mein hone wale waqiyat ko is tarah dekh raha hu, aur qayamat tak dekhta rahuga jaise apni hatheli ko dekhta hu!
AL-TABARANI IN AL-MUJAM AL-KABIR (13/318) ►IMAM ZARQANI AL-MALIKI IN SHARH AL-MAWAHIB AL-LADUNNIYYA (7/204) OR 11/123 IN Another ED. AL-MUWAHIBAL-LADUNNIYYAH (4/129) ►KANZ Ul-Amaal (7/420) Hadith 31971 ►AL-JAMI’ As-Saghir (3547) Al-KhasaIs-Ul-Kubra (2/185)
ILM E GHAYB
Sayyiduna Umar ne farmaya : Ek bar Rasul Allah ﷺ humare bich kafi der tak bayan farmaya, aur Hume sari makhlooq banne se lekar Jannat walo ke jannat me Jane tak aur Jahannum walo ke Jahannum me Jane tak ka Tamam ilm bata diya”
Ref: Sahih Bukhari > Beginning of Creation > Hadith 3192
Sahabah ke shagird, Tabai Ibn Kaysan farmate hai :
Rasul Allah ﷺ ko jo kuch ho chuka aur jo hone wala hai ye tamam ka ilm ata kiya gaya
Ref: Baghwi (516 Hijri)-Tafsir 7/441 Qurtabi (671 Hijri) – Tafsir 17/152, Khazin (741 Hirji) – Tafsir 4/225
ILM E GHAYB
IMAM IRAQI JINKA WISAL 636+ SAAL PEHLE HUA, FARMATE HAI:
Rasul Allah ﷺ par Hazrat Aadam se lekr qayamat tak aane wali tamam makhlooq pesh ki gayi aur Aap unme se har ek ko pehchante hai
REF: IMAM KHAFAJI NASEEM UL RIYAD 3/19
NABIYON KI EK KHASIYAT YE BHI HAI KE WO ANE WALE WAKT KI GHAYB KI BATE JAAN LETE HAI
-Imam Ghazali
Ref: ihya ul uloom 4/190
Rasul Allah ﷺ ne farmaya :
Dozakh mein Bakhti Oonto ki Gardan ke barabar Saanp hai, kisi ko ek bar Das le to uska dard 40 saal tak mehsoos hota rahega
Ref: Imam Haakim – Al Mustadrak #8754
Rasul Allah ﷺ ne farmaya:
Meri Ummat me 30 Jhute
ayege unme se har ek dawa karega ki wo Nabi hai par Mai Nabion me akhir hu, mere baad koi Nabi nahi
REF: ABU DAWUD 6454 JAMI TIRMIZI 2219 MUSNAD AHMAD 22395
Huzoor ﷺ Ka Ilm e Gaib Aur Jo Abhi Hua Nahi Usko Bhi Huzoor ﷺ Dekhte Hai
Hazrat Imam Ahmad Bin Hambal Al Mutawaffah 241 Hijri Likhte Hain
Hazrat Abdullah Bin Amrr رضي الله عنه Se Riwayat Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Ki Choti Aur Patli Pindliyon Aur Tango Wala Ek Kala Habshi (ethiopian) Khana-e-Kaba Ko Tabah (destroy) Kar Dega Uska Zewar Cheen Lega Aur Uska Ghilaf Utaar Lega Us Habshi Ko Goya Me Apni Aankho Se Dekh Raha Hon Ki Uske Sar Ke Aglay Baal Ghire Hue Hai Aur Wo Tede Jodu Wala Hai Aur Cheni (छेनी) Aur Kudaal (कुदाल) Se Kabe Par Zarb Laga Raha Hai Aur Kabe Ke Ek Ek Pathar Ko Ukhad Dega
اللّٰهُ أَكْبَر
Yani Abhi Wo Khabees Ethiopian Admi Paida Bhi Nahi Hua Aur Na Usne Abhi Kabe Ko Shaheed Kiya Lekin Mere Aaqa ﷺ Usko Pehle Se Hi Dekh Hi Nahi Rahe Balki Uske Sar Se Lekar Pair Tak Ka Sara Khulia Bhi Dekh Kar Sahaba Ko 1500 Saal Pehle Bata Diya Ki Kaise Aur Kis Chizo Se Wo Kaba Shaheed Karega
Reference Book
Musnad Imam Ahmad [ Publisher Jakarta Indonesia
Vol 6 Hadees 7053
&
Bukhari Sharif
Hadees 1595-&-96
*Rasool Allah ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Kaba or Makkah*¹
Hazrat Imam Ibn e Abi *Shayba* Al Mutawaffah *235* Hijri&²
Hazrat Imam Abi Abdullah Bin Ishaq *al-Faqih al-Makki* Al Mutawaffah *272* Hijri
*Hazrat Abdullah Bin Amrr رضي الله عنه Bayan Karte Hain Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Kabe Sharif Ko Bahut Zyada Khubsurat Tarike Se Phir Se Banaya Jayega Aur Jab Tum Makkah Me सुरंगे* (Tunnels) *Dekho Aur Tum Dekho Ki Imarate* (Buildings) *Pahado Se Unchi Hai Tu Jaan Lena Ki Qayamat Kareeb Aa Gai Hai*
اللّٰهُ أَكْبَر
_Aaj Kabe Sharif Kitna Khubsurat Bana Hua Hai Ghilaf Par Gold Ki Designs Hai Aur Kabe Ko Itna Decorated Hai Wagera Aur Makkah Sharif Me Kitni Tunnels Bani Hui Hai Aur Zameen Ke Niche Zamzam Ki Pipeline Ki Bhi Tunnels Bani Hui Hai Aur Makkah Sharif Ke Pahado Se Bahut Zyada Unchi Bulidings Bani Hai_Haza Isnad *Hasan Good*
References Books¹
*Musannaf Abi-Shaybah*Vol *7* Hadees *37221*&²
*Akhbar e Makkah*Vol *2* Hadees *1790*
*Huzoor ﷺ Ka Ilm e Gaib Aur Car’s Bike’s*¹
Hazrat Imam *Ahmad Bin Hambal* Al Mutawaffah *241* Hijri&²
Hazrat Imam *Ibn e Hibban* Al Mutawaffah *354* Hijri&³
Hazrat Imam Ziya *al-Deen Maqdisi* Al Mutawaffah *643* Hijri&⁴
Hazrat Imam *Ibn e Munzari* Al Mutawaffah *656* Hijri*
Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Se Riwayat Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Meri Ummat Ke Akhiri Zamane Me Aise Log Bhi Honge Jo Aaramda* (Comfortable) *Wali Aisi Sawaari Ki Zino* (saddles) *Par Baith Kar Aaya Karege Aur Masjido Ke Darwazo Par Utrah Karegen*
اللّٰهُ أَكْبَر
Hazrat Imam *Hakim* Al Mutawaffah *405* Hijri
Farmate Hai Ye Hadith Hazrat Imam *Muslim* Ki *Shart* Ke According *Sahih* Hai
_Aaj Hum Aur Aap Sabse Behtareen Comfort Rides Cars Bikes Auto Wagera Par Baith Kar Masjid Ke Darwaze Tak Jate Hai_
References Books¹
*Musnad Ahmad*Vol *4* Hadees *7204*&² *Sahih Ibn-Hibban*Vol *1* Hadees *5723*&³ *Sahih al-Hadees*Vol *7* Hadees *18319*&⁴ *Sahih Targhib wat-Tarhib*Vol *4* Hadees *2043*
Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya:-
An’Qareeb Qustun’tuniya Fateh Ho Jayega Aur Uska Ameer (Sipah Salaar) Kya Khoob Hoga Aur Wo Lashkar Kaisa Behtareen Hoga
[Musnad Ahmad Vol 15 Hadees 18859]
Qustun’tuniya Ko Fatah Karne Wale Hazrat Ertugrul Ki Aulad Mein Se Hazrat Sultan Muhammad Fateh Ne Usko Fatah Kiya Tha or Huzoor ﷺ Madine me Baith kar Future ki khabar bata rhe hain Subhanallah
Please Support Us, Share Website With your Family, For making Muslim Strength Strong.