POST:1
Kya Jo Kam Sahaba-E-Keraam رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم Ne Na Kiya Wo Najais Hai.
Hazrat Imam Ibn e *Hajar Asqalani* رحمة الله عليه Al Mutawaffah 852 Hijri *Bid'at* Ki Definition Karte Hue Likhte Hain...✒
Kisi Kaam Ke Jais Hone Ke Liye Itna Hi Kafi Hai Ki Wo Kam Jais Hai Bhale Hi Wo Kam Nabi e Kareem ﷺ Aur Sahaba-E-Keraam رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم Ne Na Kiya Ho Aur Kisi Kam Ke Najais Hone Ki Ye Daleel Nahi Hoti Ki Wo Kam Sahaba-E-Keraam رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم Ne Nahi Kiya Balke Najais Jab Hoga Jab Uski Mumaniyat Sabit Ho.
Note: Lijiye Sara Masla Clear Ho Gaya. Ki Jo Accha Jais Nek Kaam Hai Wo Bhale Hi Majmuee Taur Par Sahaba-E-Keraam رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم Ne Na Kiya Ho Lekin Wo Kam Na'jais Nahi Hoga Jab Tak Us Kam Ke Najais Hone Ki Daleel Na Mile.
Reference Book:
{Fathul Bari fi Sharah Sahih al Bukhari,Vol:10,Page:164 }[Printed by Prince Sultan Bin Abdul Aziz Al Saud]
Scan:
POST :2
Namaz e Chasht Padha Bid'at hai.
Deen me acchi bidat b hoti hai
Sahabi e Rasool ka farman ke Chasht ki namaz padhna bid'at h or bahut acchi bid'at hai. 👇🏻
“Hazrat Eiraj Se Riwayat Hai Wo Farmate Hain Main Ne Hazrat ibne Omer Se Namaz e Chasht Ke Baare Mein Pocha Jab Wo Nabi Karim Ke Hujra Sharif Ke Sath Apni Posht Lagaye Baithe Thy ,Hazrat ibne Omer Ne Farmaya Bidat Hai Aur Bahut Achi Bidat Hai..
{Musannaf ibne abi shaiba,age no:254}
Is Riwyat Ne Tamam Najdio Wahabion ka Moon Kala Kar Ke Rakh Diya Hai Hazrat Abdullah ibne Omer Ne Bidat Kaha Magar Achi Bidat Farmaya Pata Chala Ke Nabi Karim Ke Zamana Zahir Ke Baad Aagar Muslaman Koi Acha Kaam Shuro karte Hain Aur jis Kaam Se Koi Sunnat Ke Zaya nahi Hoti Tu Wo Kaam Jayaz Hai
isi jayaz Kaam Ko Ahlesunnat Wa Jamat Mein Bidat e Hasna Kaha Jata Hai.
Scan:
Please Support Us, Share Website With your Family, For making Muslim Strength Strong.