Jin jahilo ko madine me roza e rasul (sallallaho Alaihi wasallam) ki taraf rukh karke hai un k liye lamhe fikr . .👇

لبیک یارسول اللہﷺ
0

 Waseela Buzurgaane Deen se :-


🌹 Hazrat Imaam Malik RadiAllaho Ta'ala Anho (90-179 Hizri) :-

khalifa Abu Jafar Mansoor Madeena Shareef
Tasreef laaye Aur inhone Imaam Malik RadiAllaho Ta'ala Anho se Sawal kiya ki Me Dua Mangte Wakt
Apna Rukh Kaabe ki Taraf rakhu ya Phir HUZOOR
NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke
Roza e Mubarak ki taraf..?

is Par Imaam Malik RadiAllaho Ta'ala Anho ne
Farmaya ki Tum HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe
Wasallam ki Taraf Rukh Karlo kyunki Yahi Hamare
Zariya he Aakhirat me Shafa'at ka, HUZOOR
Sallallaho Alayhe Wasallam ka Waseela bhi Talab
karo Taaki Aakhirat me bhi Hume inka Waseela
Mile.

📙(Qaazi Ayaz Rahmatullah Alay ne Sahi Sanad ke Sath
'Ash Shifa, Jild-2, Safa-596', par Nakal kiya)

📘(Imaam Taqiuddin Subki Rahmatullah Alay ne 'Shifa us Siqam Fi Ziyarate Kheirul Anaam' me Nakal kiya)

📗(Imaam Samhudi Rahmatullah Alay ne 'Khulasat ul Wafa' me Nakal kiya)

📓(imaam Qastalani Rahmatullah Alay ne 'Al Mawahibul Laduniya' me Nakal kiya)

📔(ibne Jamaah Rahmtullah Alay ne 'Hidayat us Salik' me nakal kiya)

📕(Ibne Hajr Haythami Rahmatullah Alay ne 'Al Jawarul Munazzam' me Nakal kiya)
.
.
SubhanAllah,

. Aaj se 1300 Saal Pehle ka Aqeeda Aap ke Samne
Mojud he,
1300 Saal pehle Taabai ke Jamane ke Musalman
HUZOOR SARWARE QAAYENAAT Sallallaho Alayhe
Wasallam ke Roza e Anwar ki Taraf Rukh kar ke
Dua mangte the, Aur Sath me unka ye Aqeeda bhi tha ki Aakhirat me HUZOOR NABI E KAREEM
Sallallaho Alayhe Wasallam hi Safha'at ka Zariya
he Aur Yahi Waseela he Aakhirat ka Hamare liye,
.
Alhamdolillah
Aaj bhi Wo Aqeeda Hamare Sino me Moujud he. .
Aaj jab koi Sunni HUZOOR Sallallaho Alayhe
Wasallam ke Roza e Mubarak ki Taraf Rukh karke
Dua Mangta he to Aqal ke Dusman Ibne Teimiya
ke Peirokaar Chilla ne lagte he Shirk Shirk, Haram
Haram...!! .

👊 ye 200 Saal ki Peidawar kya Jaane ki Ye Aqeeda to
1300 Saal purana he,
koi Jahil Wahabi Geir Mukallid laga Sakta he Fatwa
Imaam Malik RadiAllaho Ta'ala Anho par..?

. Gumrahiyo se Gujaris he ki Post Padhe, Samje, Aur Apni Islaah kare...!

JOIN SUNNI WHATSAPP GROUP :-9096751100

*********************************

*🌹Naat Sharif Padhne Wale Naat Khawa Ko Toufa Dena🌹*

ورد في بعض الروايات أن رسول الله صلى الله عليه وسلم أعطاه بردته حين أنشده [ ص: 137 ] القصيدة . وقد نظم ذلك الصرصري في بعض مدائحه . وهكذا ذكر ذلك الحافظ أبو الحسن بن الأثير في " الغابة " قال : وهي البردة التي عند الخلفاء .

TRANSLATION

Baaz Riwayatoun Main Aya Ki HUZOOR صلى الله عليه وسلم  Nay كعب بن زهير بن ابي اسلمى KO BURDAH/CHAADAR ATA KIYA QASEEDAH NASHEED PER.
Aagay Likhty Ki YIE BURDAH MUNTAQAL HOWA KHALIFA SAY KHALIFA TAK

📒AL BIDAYAH WAL NIHAYAH
7/135;136
📒AL ISABAH IBNI HAJAR ASQALANI
5/594

‼Note‼
Ab Wahabiyoun Ko Aqal Honi Chayie Ager Qasidah Per Gift Hadiyah Diana Galat Hia Phir Huzoor صلى الله عليه وسلم Nay Kyn Diya AB AAJ KA MODERN DOUR CHANGES HOTY REHTY AUR AB AGER LOGOUN NAY RUPAYA DIYA IS MAIN KYA HARAJ HIA WOH PIASY BI MADRASA KO HI ISTIAMAAL HOTA

Ager Ab Wahabiyoun Ka Pass Manah Key Daliil Hia Tou Pesh Karie Hum Rujoo Karian Gia WARNA DALIIL HUMARIE PASS MAJOOD HIA

_*💎Naat Khwa Pr pais Udana Mana hai*_


************************************

*🌹Aqeeda E Tawassul Aur Imam Malik رحمة الله عليه*

Jab Bhi Koi Sunni Roza E Aqdas عليه سلم Kay saamne haath uthake Dua karta hai fauran Aajka khwarij usko Mushrik Biddati boldeta hai aur ek Jungli Wahabi Muttawa khada rahta hai HAAJA SHIRK HAAJA SHIRK ka fatwa dete huwe
Wahabi Muftio ki tamam Kitab jo bhi Ziyarat E Masjid E Nabvi(ﷺ)Sharif Kay talluk se likhi gayi hai bin Baaj Se leke Uthaymeen tak sabne ek special guideline jarur di hoti hai 
Roza E Aqdas Ki jaanib haath uthake dua karna Shirk hai 
Biddat hai Par yaad rahe ye WAHABI Ka Apna Khud sakhta aqeeda hai ISLAM ka nahi Salf Salaheen ka Aqeeda hargiz ye nahi hai
Imam Qazi Iyaaz Al Maliki رحمة الله عليه Ne Sahi Sanad Se Apni Aala Tasneef Ash Shifa me 
Imam Malik bin Anas رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ka Khalifa Jafar Mansoor kay saath huwa Ilmi Mubahisa naql kiya hai 
Jo Imam Malik Ka Imam Qazi Iyaaz Ka Salf Salaheen rizwanullahi azmayeen Ka Aqeeda bhi wajeh kar deta hai
“Khalifa Zafar Mansoor Imam Malik رحمة الله عليه Se Ek masle me guftgu kar raha tha Imam Malik Ne Usse Farmaya 
Aye Musalmano Kay Ameer Is Masjid Me Awaaz Buland Naa Kar kyuki Allah Taala ne Ek Jamaat Ko Adab Sikhaya Aur Farmaya
APNI AWAAZEIN BULAND NAA KARO IS GAIB BATANE WAALE NABI KI AWAAZ SE - 

➡📓Surah Huzrat
📖Ayat 02

➡Aur Ek Jamaat Ki Tarif Karte Huwe Farmaya 
BESHAK WO JO APNI AWAAZIN PASTT KARTE HAI RASOOL ALLAH (ﷺ) KAY PASS WO HAI JINKE DIL ALLAH NE PARHEZGARI PARAKH LIYA HAI AUR UNKE LIYE BAKSHISH AUR BADA SAWAB HAI

➡📓Surah Huzrat
📖Ayat 03

➡Aur Ek Jamaat ki Mazammat Karte Huwe Farmaya 

💠BESHAK WO JO TUMHE HUZRE KAY BAHAR SE PUKARTE HAI UNME AKSAR BE AQL HAI - 

➡📓Surah Huzraat
📖Ayat 04

💠Beshaq baad az wisaal Huzoor Ki Izzat aisi hai jaise Hayat E Jahiri Me thi (Ye Sunkar Abu Jafar ne) Farotni Ka Izhaar Kiya aur kaha
Aye Abu Abdullah (Imam Malik Ki kunniyat)
Kibla Rooh Hoke Dua Karu Yaa Rasool ALLAHﷺ  ki taraf Rukh Karoo’n

💠Imam Malik Ne Farmaya Tu Rasool ﷺ Se Kyun Rukh Pherta Hai Halanki Huzoor ﷺ Kayamat Kay Roz Tere Aur Tere Jadde Amzad Hazrat Aadam Alaihsalam Kay Waseela Hai Tu Huzoor ﷺ Ki Taraf Rukh kar Aur Shafaat ki Darkhwast kar Aur ALLAH TAALA Tere Liye Shafat Ko Kabool Farmayga
Allah Taala Farmata Hai 
Aur Humne Koi Rasul Na Bheja Magar isliye Kay ALLAH Kay Hukum Se Uski Itaat Ki Jaaye Aur Agar Jab Who Apni Jaano Per Zulm Kare Toh A Mehbub Tumhare Huzur Haazir Ho Aur Phir ALLAH Se Maafi Chahe Aur Rasul Unki Shafa’at Farmaye Toh Zarur ALLAH Ko Bahut Tauba Qabul Karne Wala Maherbaan Paye 

➡📓Surah Nisa
📖Ayat 64”

References : 
📒(Imam Qazi Iyaaz Al Maliki Ash Shifa Sharif Pg :520/521)
📒(Tartib al-Madarik Vol : 01 Pg : 113-14) Sahi Sanad Kay Saath
📒(Imam Subki Shifa’ as-Siqam Ch. 4, 7),

*➡Ab Ye Musalmano pe hai wo Imam Malik ko follow karte hai yaa aajke Khwarij ko*

Scan page of Shifa Sharif
👇🏻👇🏻👇🏻
************************************
*ROZA E RASOOL(sallallahu alyhi wasallam)🕋KABA SHARIF SE AFZAL Q HAI❓*

*Mashoor Mufassir Allama Aalusi Rahmtullah Alyh Al Mutawaffa 1270 Hiari* 
Farmaate hai ke

 البقعة التي ضمته صلّى الله عليه وسلّم فإنها أفضل البقاع الأرضية والسماوية حتى قيل وبه أقول إنها أفضل من العرش.

Zameen ka wo Tukda jo Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam ke saat Laga hai, wo Zameen wa Aasmaan ki Tamaam Jagaaho se Afzal hai, Hatta ke yeh bhi Kaha gaya hai aur Mai bhi yahi Kehta hu ke *Yeh Arsh se bhi Afzal hai.*

📚(Tafseer e Ruhul Ma’ani : Jild 13 : Safa 111)

Is liye Toh Hamare Sunnio K imaam 
🌹Aala Hazarat Farmate Hai...
*🌹Hajio Aao Shahensa Ka ROZA Dekho....*
*🌹🕋Kaabe Ka Kaaba Dekho...*

Scan  Page👇🏻👇🏻👇🏻
************************************
*🌹Hajiyo Aao Shensha Ka Roza Deko Kabba Ko Dek Chuke Kabbe Ka Kabba Deko 😍*

➡Wahabiyo Ke Imam Ibn ul qayyim Al Mutawaffa 751 Hij. ne Apni 📚 Kitaab “Badaai ul Fawaaid” me ‘Faide’ [Wazaahat] ke Tahet, Ibn Aqeel Rahmtullah alyh. ka yeh qaul Zikr kiya hai,

Jisse Maloom hota ke wo Isi baat ke qaayil hai ke

Huzur ﷺ ka Roze ka wo Hisse, jo Aapke Jism e Mubarak se Laga huwa hai, wo Kaabe aur Arsh waghairah se Afzal hai.

📒(Kitaab ul Funoon Li Ibn e Aqeel, Bahawala Al Fu’ru Li Ibn e Mufleh : Jild 6 : Safa 28, Al Insaaf Lil Imam Abul Hasan As-Saalehi : Jild 3 : Safa 562)

📒(Badaai ul Fawaaid : Jild 3 : Safa 135-136)

📑Scan Page : Al Fu’ru Li Ibn e Mufleh
📑Scan Page : Badaai ul Fawaaid
👇🏻👇🏻👇🏻


************************************

*💢Rauza-e-Rasool صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم ki taraf Rukh karke Dua mangna Kaabe ke rukh se bhi Afzal hai.💢*

🌹Imam Shafaie رحمة الله عليه​
aur Imam Abu Hanifa رحمة الله عليه​ ke Nazdeek:

Allama Khafaji رحمة الله عليه​ ne sharah me likha hai:

Huzur صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم ki Qabr-e-Anwar ki taraf rukh karna aur qible ki janib pusht karna ye Imam Shafaie رحمة الله عليه​ aur Jamhoor Aimma ka mazhab hai.
Ek riwayat me Abu Haneefa رحمة الله عليه​ se bhi yehi manqool hai. Ibn Hamam رحمة الله عليه​ ne farmaya ki Imam Abu Haneefa رحمة الله عليه​ se jo qible ki taraf rukh  karna manqool hai wo us riwayat se radd ho gaya jo Abdullah Ibn Umar رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه se marwi hai ki Nabi Kareem صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم ki Qabr-e-Anwar ki janib rukh aur qible ki janib pusht karna sunnat hai aur yehi Imam Aazam Abu Haneefa رحمة الله عليه​ ka Saheeh mazhab hai. 

Imam Kirmani رحمة الله عليه​ ka qaul ki “Imam Aazam رحمة الله عليه​ ka mazhab iske  barkhilaf hai” is qaul ki koi haqeeqat nahi kyunki Aap صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم apni qabr me ba-hayat hain. Aap apne zaer ko jante hain aur jiske paas zindagi me koi aaye wo yaqeenan aane wale ki janib mutawajja hoga.

Aur Ziyarat ke liye khade hona Mustahab hai. jaisa ki isme Musannif ka qaul hai ki Jamhoor ke nazdik Qabr Sharif ke paas Khade hona baithne se zyada afzal hai.

📔(Naseemur Riyaz, jild 5 pg.105-106)
سبحان الله
Isse pata chalta hai ki Aslaaf ka bhi yehi Aqeeda hai ki hamare Nabi صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم duniya ke misl hayat hain wo hume Pehchante aur Mutawajja hote hain.
Aur apki Tazeem ke liye khade hona Mustahab hai, koi shirk nahi.

📑Look Scan👇🏽

************************************

Post a Comment

0Comments

Please Support Us, Share Website With your Family, For making Muslim Strength Strong.

Post a Comment (0)