Shaan E Mustafa (100 Sahih Ahadees)

لبیک یارسول اللہﷺ
0

 

https://www.facebook.com/ALIMAULA4/

Shaan E Mustafa (100 Sahih Ahadees)


AQAID E AHLE SUNNAT

AHADEES KI ROSHNI MEIN

(COMPLETE 100 HADEESON KE COLLETION KE SATH)


Chapters :-

 1    Ikhtiyare Mustafa    par 20 Hadees

2    Huzoor  Jaisa koi nahi par  15 Hadees

3          Huzoor  wisaal ke baad  bhi zindah hai  Par 15 Hadees

4    Ilme Gaib E Mustafa  Par 25 Hadees

5          Allah Ta'ala Ki Baargah Me Uske Mehboob Bando Ko Waseela Banana Par 6 Hadees

6          Shafa'ate Ambiya Wa Awliya Wa Olma Par 6 Hadees

7          Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi  Par 8 Hadees

8    Bad-Mazhab Aur Gumrah Firqon Ki Pehchaan Par 5 Hadees

 Saari Haddesein Siyah Sittah Ke Hawalo Ke Sath 
Hain Jisko Har Maqtaba E Fiqr Ke Log Maante Hain.

Chapter I

IKHTIYAR'ATE MUSTAFA 



Hadees No. 1

" Aqba Ibne Aamir se marawi hai ki Huzoor  ne irshad farmaya ki main Apne Houz ko is waqt Dekh raha hu, aur Mujh ko tamam Roo e Zameen ke Khazano ki Kunjiya Di Gai Hai "

 Sahih Bukhari ji. 1 Safa 179

Sahih Muslim JI. 2 safa 250

 Is Hadees Shareef me Huzoor  ne Houze Kouser ko Apna Houz Farmaya goya aap iske Malik hai aur saari Roo e Zameen ke khazano ki kunjiya Khuda e Ta'ala ne aap ko ata farmayi hai yaani Aap dono jahan me Malik wa Mukhtar hai .

Dono Aalam ke Khazane Kar Diye Haq Ne Ataa

Do jahan ke Maaliko Mukhtar Par Lakhon Salaam

Hadees No. 2

 " Hazrat Ameere Muaaviya رضي الله عنه Ne Logo ko khitab karte hue farmaya ki Huzoor ko maine ye farmate hue suna hai ki Allah Ta'ala Jis se bhalai ka irada farmata hai usko deen me samajh Ataa farmata bai aur Beshaq Main Bantne Wala hu aur Allah Ta'ala Dene wala"

  Sahih Bukhari jild 1 Safa 16

  Is Hadees shareef ko padh kar khub Roshan ho gaya ki jo kuch jis ko Allah Ta'ala Ataa Farmata hai wo Sab Huzoor  Taqseem farmate hai aur wo aap ki chokhat se milta hai.

👉Jo log Huzoor  ki shaan ghatate, unhone is Hadees me ye baat paida ki hai ki choonki Ye Hadees Ilm ke bayan me hai isse Maloom hota hai ki Huzoor  sirf Ilm Bantte hai aur Kuch Nahi. To Aise logo se ye Maloom kiya jaye ki kya Woh ye kahne ki Zurrat karenge ki Khuda E Ta'ala bhi Mazz'Allah Sirf Ilm Ata Farmane Par Qudrat Rakhta hai aur kisi par nahi. Kyunki is Hadees me Huzoor  Ko Bantne Wala aur Allah Ta'ala ko ataa farmane wala kaha gaya hai to agar Huzoor  ko bantne me sirf Ilm Par ikhtiyar hai to Allah Ta'ala.ko bhi Maaz'Allah Sirf Ilm dene Wala Kahna padega .

MAAZ'ALLAHI RABBUL AALAMEEN.

Hadees Shareef ke mana yahi hai ki jo kuch jis kisi ko Allah Ta'ala ataa farmata  hai is sab ke taqseem karne wale  hai aur aap Ata-E-Ilahi ka waseela hai .Bukhari shareef hi me dusri jagah isi mafhoom wali ek hadees is tarah marwi hai  Rasoolullah ne irshad farmaya , "Main bantne wala hu , Khazanchi Hu aur Allah ta'ala Ataa Farmane Wala hai "

 Bukhari Jild 1 safa 439

Laa Wa Rabbil Arsh Jisko Jo  Mila Unse Mila

Bat-ti Hai Qaunain me Ne'amat Rasoolullah  ki

 Hadees No. 3

Hazrate Abu Moosa Ash'ari رضي الله عنه se Riwayat hai ki Abu Talib Maldaar Quraish ke Humraah mulqe Shaam ki taraf chale Nabi-E-Kareem  bhi Aap ke sath the . Jab raahib ke paas Pahoche to Abu Talib Utare aur logo ne bhi Apne Kajawe Khol Diye . Rahib unki taraf Aaya aur Halanki Isse pahle wo log is Raste Se guzarte the lekin wo Inke Paas Nahi aata tha aur Na Inki taraf Mutawajjeh Hota tha .Rawi kahte hai ki log Abhi kajawe Khol hi rahe the ki Inke Darmiyan chalne Laga yahan tak ki Rasoolullah  ke kareeb aaya aur Huzoor  ka daste Mubarak Pakad kar kahne laga ki Ye Saari Kaynaat ke Sardar hai . Ye Rabbul Aalameen ke Rasool Hai Inko Khuda-E-Ta'ala ne saari Makhlooq ke liye Rahmat banaya hai. Rausaa e Quraish ne pucha Tumne ye Baate kaise jaani woh bola Jab tum Is Ghaati se Samne Aa Rahe The to Maine Dekha Ki Har Ped Aur Patthar Inko Sajdah Kar Raha tha .(Kajawe = oont ke pith pe lakdi ke aisa bana huwa hissa hota hai jis pe sawar aasani se baith jaye use kajawa kahte hain )

 Tirmizi Jild 2 Safa 202

 Mishqaat Safa 540.

Suraj Ulte Panv Palte Chand Ishare Se Ho chaak

Andhe Najdi Dekhle Qudrat Rasoolullah Ki

 Hadees No. 4

" Hazrate Ali رضي الله عنه Se Marwi hai ki Main Makke Me Huzoor  ke humraah tha to Hum aiteraf Shahar ki taraf Nikle to Maine Dekha ki jo darakht aur pahad Huzoor ke saamne aata hai wo kahta ( Assalatu Wassalamu Alaika Ya Rasoolullah  , Aye Allah Ke Rasool Aap par Salaam ho )

 Tirmizi Jild 2 Safa 203

Is Hadees Se Maloom hua ki Rasoolullah  Saari kaynat ke Sardar wa maliko mukhtar hai yahan Tak ki bejaan makhlooq Patthar aur ped wagairah Aap ko Mante pahchante aur salaam karte hai Kyun ki Sab Par Aap ki Baadshahat hai ..

Sarwar Kahu ke Maliko Moula Kahu Tujhe

Baage Khaleel ka Gule Zeba Kahu Tujhe

 Hadees No. 5

" Hazrate Abu Huraira رضي الله عنه Farmate Hai ki Maine Rasoolullah  ki khidmat me Arz kiya ki main Aap se Bahot Saari Hadeese Sunta hu lekin Bhool jata hu Aap  Ne Farmaya Apni Chadar Failao .. Maine Apni Chadar Bicha di .Aap  ne dono hatho se Lap Bana Kar Chadar me kuch Daal diya Aur Farmaya is ko lapet lo. Maine Chadar ko lapet liya aur iske baad Main kabhi Koi baat nahi bhoola "

 Bukhari Jild 1 Safa 22

Is Hadees Ko Dekhiye Kaise Roohani Ikhtiyarat hai . Aur Kaisi Khudada Qudrat(khuda ki janib se  atayi qudrat) hai. Huzoor  khali chadar me ba zahir khali lap daalte hai aur kaisi be-misaal yaad-dasht ataa kar Farmate hai Aur Huzoor  ki ataa wa bakhshish ka nateeja hai ki Hazrate Abu Huraira رضي الله عنه  se jitni Ahadees Riwayat ki Gai Hai wo aur kisi Sahabi se nahi.

Hadees No. 6

Hazrate Abu Huraira رضي الله عنه  se Marwi hai ki Rasoolullah   ne Irshad Farmaya Ki Main Qayamat ke din saare Insano ka Sardar Rahunga.

 Bukhari Safa 470

 Muslim Jild 1 Safa 111

Is Hadees Shareef Se maloom hua ki Huzoor  ki Hukumat wa Badshahat wa Sardari aur Saltanat sirf duniya me hi nahi Balki Qayamat ke din bhi Aap Hi ka sikka Chalega Isiliye Aap ko Sarkare Do Aalam Aur Sarware Kounain kaha jata hai .

Mere Raza Ne Khatme Sukhan Ispe Kar diya

Khaliq Ka Banda Khalq Ka Aaqa Kahu Tujhe

Hadees No. 7 

"Hazrat e Anas رضي الله عنه Se Marwi hai ki Rasoolullah  ne irshad farmaya Baroze Qayamat sab se pehle Main Niklunga jab Log wafd(chota ka qafla) banege to Main Aage rahunga. Jab Log Khamosh honge to Main hi khitaab karunga . Jab log roke jayenge to Main hi Shafa'at Karunga . Jab log Mayoos honge to Main unhe khushkhabari Sunaunga. Izzat dena mere Ikhtiyar me hoga aur khair ki Saari kunjiya mere hath me hongi .

Mishkat Safa 514

 Is Hadees me Huzoor  ka ye farmana ki Izzat wa karamat ki Saari kunjiya mere hath me hongi ye bata raha hai ki Baroze Qayamat Mukhtare kul honge aur Aap ko Saare Ikhtiyarat Hasil honge kyun ki Kunjiya Mukhtaar ke paas hoti hai majbur ke paas nahi .

Hadees No. 8

Hazrate Abdullah Ibne Ateeq farmate  رضي الله عنه hai ki fir maine Rasoolullah  se ( Abu Raafe Yahudi ko Qatl Karne aur pair Tutne ka kissa bayan kiya ) to Huzoor  ne irshad Farmaya apna toota hua pair bichao to Huzoor  ne is par Hath fera to wo jaisa pahle tha bilkul waisa hi ho gaya jaise usme kabhi kuch kami aayi hi na thi .

Bukhari Jild  2 Safa 577

Miskat safa 532

Jahan Baani Ataa Kar De Bhari Jannat Hiba Kar De

Nabi Mukhtare kul Hai Jisko Jo Chahe Ata Kar De

Hadees No. 9

Hazrate Jaabir رضي الله عنه Farmate hai ki mere walid fout ho gaye aur Unke upar qarz tha to main ne Nabi-e-Kareem   ki Khidmat me Hazir hokar Arz ki mere Walid ne qarza choda hai aur mere paas dene ke liye Siwa Khujuron  ke darakhton ke kuch nahi hai Aur inki paidawaar se kayi saal me qarz pura na hoga. Aap mere sath tashreef le chale take qarz khwah sakhti wa bad goi se pesh na aaye. Fir Huzoor   Khujuron ke dher ke ird gird phire aur Dua ki aur Dusre dher ke ird gird phire phir aap Ek dher par baith gaye aur farmaya qarz khwahon ko naap kar dete jao Yahan tak ki sab qarz khwahon ka sara qarz ada ho gaya aur utni hi khujure bach bhi gai .

Bukhari sharif safa 506,580,322

Hadees No. 10

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه Farmate  hain Ki Rasoolullah   ne irshad farmaya ki main Baroze Qayamat sab Insano ka Sardar Rahunga aur sabse awwal Qabre Anwar se Bahar tashreef launga aur sab se pehle Shafa'at farmane wala aur Pehla Shafa'at qubool kiya hua main hi hu

Tirmiji Jild 2 abwabul manakib safa 202

Ibne maaja Baab Zikrush-shafa'at Safa 329

Is Hadees Ki Sharah me Imame Azal Nauwi Farmate hai Huzoor   Duniya wa Aakhirat dono jahan me Saare Insano ke sardar hai Lekin Hadees me sirf Qayamat ka zikr isliye hai ki Qayamat ke din Aap ki Sardari wa Badshahat sab par zaahir farma di jayegi aur koi Inkari na rahega...

Faqat Itna Sabab Hai Bazme In''eqad  E Mehshar Ka 

Ke Unki Shaane Mahboobi Dikhayi Jaane Waali Hai

Hadees No. 11

"Hazrat e Anas رضي الله عنه Se Marvi hai ki Rasoolullah  Sayyeda Zainab se Nikah ke Nausha the to meri Walida Umme Sulaim ne Khajoor , Ghee aur Paneer ka Halwa banaya aur Ek Bartan me Kar ke Mujhse kaha ki Anas isko Huzoor  ki khidmat me le jao aur Arz karo Yaa Rasoolullah  ye meri maa ne aap ki khidmat me thoda sa Hadiya bheja hai aur Unhone Aap ko Salam arz kiya hai chunanche main gaya aur maine ye arz ki . Huzoor  ne irshad Farmaya ise Rakh do aur jao . Hamare paas fala(n) fala(n) ko Bula lao, JIska Huzoor  ne naam liya aur unhe bhi jo tumko mile yahan tak ki  jab main wapas lauta to Huzoor  ka ghar bhar chuka tha. Hazrat e Anas رضي الله عنه sa pucha gaya ki kitni taadad thi to unhone farmaya takreeban 300 log the . Fir maine Huzoor  ko dekha Aap ne Halwe par Dast E Paak Rakh kar kuch padha jo Allah Ta'ala Ne chaha , Fir Huzoor  Das-Das ko bulane lage wo isme se khane lage. Huzoor  Inse farmate the Allah Ta'ala ka naam lo aur har shaksh apne samne se khaye. Jab sab ne kha liya to Huzoor  ne mujhse farmaya Aye Anas isko uthao . Jab maine dekha to Mujhko maloom nahi ki jab Rakha tha tab Zyada tha ya jab uthaya tab zyada tha..

 Bukhari Jild 2 Kitabun Nikah

Mishkat Baab fil Mo'jezaat Safa 538

Muslim Jild 1 Safa 461

 Is Hadees Shareef me  Huzoor  ne Halwe  ko Samne Rakh kar Kuch padha aur zaahir si baat hai Allah Ta'ala ki Hamd'o Sana hi Padhi hogi. Aur Hum Ahle Sunnat Wal Jamaat Wale Bhi To Khana Samne Rakhkar ALLAH PAAK Ka kalam Padhte Hain, Fir Ye Wahabi Ahl E Khabees Bad Aqeeda Kyu Humpe Bid'at Aur Shirk Ka Fatwa Lagate Hain ???

 Aur Is Hadith Se Ye Bhi Pata Chalta Hai Ki Khane Par kalaam, Yani Fatiha Padhne Se Usme Barkat Ho Jati Hai

Khaate Hai Sunni Halwa Sarkaar Ke Karam Se

Dekho to Najdiyo(n) ko Kawwo pe Pyaar Aaye..

Hadees No. 12

Hazrate Ubai Ibne Ka'ab رضي الله عنه Farmate hai Fir Huzoor  ne jab mere dil me Paida hone wale waswase Jaan liye to mere Seene par Daste Aqdas maara jis se main paseena paseena ho gaya aur haalat ye thi goya ko Main Khuda E Ta'ala ko dekh raha hu fir wo kaifiyat jaeel ho gai .

Muslim Jild 1 Safa 273

 Kya Shaane Ikhtiyar hai Hazrate Ubai Ibne Ka'ab رضي الله عنه ke dil me Quraane Kareem ki chand qiraat ke mut'alliq waswasa paida ho gaya tha. Huzoor  ne Dil ke is waswase ko fauran jaan liya aur apni Khudadaad Qudrat se seene par Daste Aqdas maar kar Jalwa e Ilahi Dikha Diya aur Shuquq wa waswase ki daldal se nikal kar Imaan se Dil bhar Diya aur wo kaifiyat Jaeel farma di .


Hadees No. 13

 Hazrate Sayeedna Ayesha Siddiqua رضي الله عنها se marvi hai ki Rasoolullah  ne Irshad Farmaya--Aye Ayesha Agar main chahu to mere Sath sone ke pahaad chala kare.

Mishkat Safa 521

Hadees No. 14

Hazrat e Anas رضي الله عنه Se Marwi hai ki Hazrate Jibrail علیہ السلام Huzoor  ki Khidmat me Hazir hue aur Aap   gamgeen the Ahle Makkah ki izaa rasaani ki wajah se Aap ka jism lahu luhaan tha. Hazrate Jibrail علیہ السلام ne kaha Ya Rasoolullah  kya Aap chahte hai ki Aap ko ek Nishani Dikhau ? Farmaya. Haan unhone Aap  ke piche ek ped ki taraf dekha aur Arz kiya is ko bulaiye . Huzoor  ne Bulaya wo ped aaya aur Aap  ki Khidmat me khada ho gaya. Arz Kiya is Ko huqm dijiye ki laut jaye Aap ne Huqm diya wo Laut gaya . Huzoor  ne Farmaya mujhe kaafi hai.


 Mishkat Baabul Mojezaat Safa 541

 Yaani Hazrat Jibrail علیہ السلام ne Huzoor  ko tawajjoh dilayi ki aap malool khatir na ho Aap  ko Allah Ta'ala ne Qaynaate Aalam me mutasarrif wa mukhtar banaya hai. Darakht bhi Aap  ke ishare par chalte hai .

Jahan Me Unki Chalti Hai Wo Dam Me Kya Se Kya Kar De

Zamee(n) Ko Aasmaa(n) Kar De  Surayya ko Saraa Kar De

Hadees No. 15

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه  se  marvi   hai Ki Rasoolullah   ne irshad farmaya ki main so raha tha ki Zameen ke khazano ki kunjiya meri Khidmat me pesh ki gai aur mere hath me de di gai.

Muslim Kitabul Masajid. Jild 1 Safa 199

Hadees No. 16 

Hazrate Anas رضي الله عنه Farmate hai ki Huzoor  Makame Joura'a me the ki Aap ki khidmat me ek Bartan me paani laya gaya to Aap  ne Apna Hath Bartan me Daal diya to Aap  ki Ungliyo ke Darmiyan se Paani foot pada yahan tak ki puri qaum ne is se wuzu kar liye . Hazrate Anas رضي الله عنه se katada ne pucha ki Aap kitne log the To unhone farmaya 300 ya 300 ke kareeb .


Bukhari Jild 1 Safa 504

Muslim Jild 2 safa 245

Yaa Rab Sa'at Me Dhul Jaaye Siyaah kaaro Ke Jurm

Josh Par Aa Jaye Ab Rahemat Rasoolullah  Ki

Hadees No. 17

Hazrate Abdullah Ibne Umar  رضي الله عنه se marvi hai ki Hum Huzoor  ke sath ek safar me the ki ek dehaati saamne aaya..to Jab wo kareeb hua to Huzoor  ne irshad farmaya ki kya Tu gawahi deta hai ki Allah Ta'ala ke alawa koi maabud nahi wo tanha hai uska koi shareeq nahi aur Muhammed  uske bande wa Rasool hai . wo bola Aap jo keh rahe hai iski gawahi kaun deta hai ? Farmaya wo kaantedaar darakht...aur us darakht ko Huzoor  ne bulaya wo jungle ke kinare par tha. Zameen chirta hua khidmat me haazir ho gaya . Huzoor  ne is darakht se 3 baar gawahi li. isne teeno baar gawahi di aur fir apni jhaadi ki taraf laut gaya .

Mishkaat babaul moujazaat safa 541 

 Hadees No. 18 

Makke walo ne Rasoolullah  se kaha Aap koi mojeza dikhaye to Huzoor  ne inhe chand ke do tukde kar ke dikhaye yahan tak ki unhone Hira pahad ko chand ke do tukdo ke darmiyan dekha.

 Bukhari Jild 1 Safa 546

 Is Hadees se maloom hua ki Allah Ta'ala ne apne mehboob ko aasmani duniya par tasarruf farmane ka ikhtiyar diya hai . Chand ke tukde karne se zaahir hai ki Aap  ke ikhtiyarat aur Khudadaad qudrat tasarrufat ka andaza lagana mushkil hai aur waqayi Aap mukhtare  kul hai.

Chaand Ke Tukde Kiye Pedo(n) Ne Sajde Kiye

Suraj Palat Aa Gaya Ye Mojaze Aap Ke

Saari Duniya Par Aaqa  Qabza Tumhara

Hadees No. 19

Hazrate Jaabir Farmate hai ki Hudaibiya ke Roz log pyaas se dochar hue aur Rasoolullah  ke paas ek bartan tha jisse wuzu farma rahe the. Jab log Huzoor   ki khidmat me haazir hue to Aap   ne pucha kya maamla hai ? Logo ne arz ki Yaa Rasoolullah  hamare paas wuzu karne aur pine ke liye Paani nahi hai . bas yahi tha jo Huzoor  ki khidmat me pesh kar diya gaya . Raawi ka bayaan hai ki Aap   ne bartan me Apna Dast e Mubarak daal diye to Aap    ki Ungliyon se Chashme ki tarah Paani fut nikla to humne piya aur wuzu kiya. Raawi kehta hai maine Hazrate Jaabir se pucha ki tum Log kitne the to unhone farmaya agar 100 Hazaar bhi hote to wo paani kaafi ho jata lekin hum 1500 the.

Bukhari Jild 2 Safa 598

Ungliya(n) Hain Faiz Par Toote Hain Pyase Jhoom Kar

Nadiya(n) Panjab E Rehmat Ki Hain Jaari Wah Wah


Hadees No. 20

Hazrate Bara'a Farmate hai ki mere ek Mamu jinka naam Abu Darda tha unhone Eid ki Namaz se pehle Qurbani kar di to Unse Rasoolullah  ne Irshad farmaya Tumhari wo Qurbani to gosht ho gai. ( Yaani Qurbani ka sawab nahi milega ) to unhone ne Arz kiya Yaa Rasoolullah  mere paas ek palaa hua 6 Maah ka bakri ka baccha hai uski Qurbani kar du ? Huzoor  ne irshad farmaya iski Qurbani kar do . Lekin ye Ijazat sirf Tumhare liye hai . Tumhare Alawa kisi aur ke liye 6 Maah ka Bakri ka baccha kaafi nahi hai .

 Bukhari Jild 2 Safa 833

 Yani Huzoor  ne apne Khudadad Ikhtiyarat se janab Abu Darda ke liye sirf 6 maah ke bakri ke bache ki Qurbani jayaz farma di. Lehaza Manna padega ki Beshaq Allah Ta'ala ne Apne Rasool  ko Mukhtar bana kar bheja hai majboor nahi . 

 Isse Ye bhi pata chalta hai ki Rasoolullah  sirf Kanoon Janne wale nahi Balqi Kanoon Banane wale bhi hai ...

Bakhuda Khuda ka yahi hai dar nahi aur koi Mafar Maqar

Jo wahaan se ho yahin aake ho jo yahan nahi to wahan nahi.
Chapter II
Huzoor  Jaisa Koi Nahi


 Hadees No.1 


Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه Se Marvi hai ki Rasoolullah  ne baghair kuch khaye piye Roze Se Roze Milakar Rakhne se mana farmaya to ek Sahab ne Arz ki Yaa Rasoolullah  Aap to Is tarah Roze Rakhte hai to Huzoor   ne irshad farmaya Tum Me Mere Jaisa Koun Hai ??   Main to Is haal me Guzarta hu ki Mera Rab Mujhe khilata hai , Pilata hai



Bukhari Jild 1 Safa 263

Muslim Jild 1 Safa 351

Mishkaat  Safa 175



 Ye Hadees Kuch Alfaaz Ki Tabdeeli ke Sath Bukhari Aur Muslim Me Hazrate Ayesha Siddiqua , Hazrate Abdullah Ibne Umar , Hazrate Anas Bin Malik Aur Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنهم In saare Hazraat se marvi hai

Hazrate Anas رضي الله عنه Ka bayan hai ki  Huzoor   ne Farmaya ki main tum me se kisi ki tarah nahi hu.

Hazrate Ayesha رضي الله عنها  Se marvi hadees me hai Huzoor   ne Irshad Farmaya meri shaan tumhari jaisi nahi hai.

Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه  ki riwayat me hai Huzoor   ne farmaya Main Tumhare Jaisa nahi hu.

Aur Mere Peero Murshid Huzoor Tajush Shariah ne Farmaya Yaa Rasoolullah 

Aap Jaisa Koi Ho Sakta Nahi
Apni Har Khoobi Me Tanha Aap hai

 Hadees No.2

Hazrate Ali رضي الله عنه  se marvi hai ki maine Rasoolullah  ke jaisa na pahle dekha na Aap ke Baad

Tirmizi jild 2 safa 205
Mishkaat safa 517

 Hadees No. 3

Hazrate Jaabir رضي الله عنه se marvi hai ki Masjide Nabawi ki chhat jab Khuzoor ki shaakho se daali hui thi to Khutba Dete waqt Huzoor  khuzoor ke Ek Sutoon se tek lagaya karte the Jab Aap  ke liye Mimbar banaya gaya to Aap  us Par Jalwa Afroz hue to Maine suna  ke is khuzoor ke sutoon se ( Huzoor  ki judaai me) Oontni  ke bilbilane ki Jaisi Aawaz aa rahi  hai Yahan Tak ke Huzoor  ne uske kareeb Jakar us par apna Daste mubarak fera to wo khamosh ho gaya.

 Bukhari Jild 1 Safa 504

Hadees No. 4

Hazrate Ayesha رضي الله عنها  Farmati hai Maine Arz Kiya Yaa Rasoolullah  Aap witr ki Namaz Bagair padhe so jate hai to Huzoor  ne Irshad Farmaya Aye Ayesha Meri Aankh soti hai Mera Dil Nahi Sota.

 Bukhari Jild 1 Safa 504

Mustafa E Zaate Yakta Aap Hai
Yak ne Jisko Yak Banaya Aap Hai

 Hadees No. 5

Hazrate Ka'ab Jung me Shirkat se Apne rah jaane ka kissa bayaan karte huye farmate hai ki Jab Maine Huzoor  ko Salaam kiya aur Aap Ka chehra khushi se damak Raha tha Aur Rasoolullah  khush hote to Aap    ka chehra damakne lagta jaise ke wo chaand ka tukda hai aur isse Hum Aap   ki khushi ko jaaan jate.

Bukhari Jild 1 safa 502

 Hadees No. 6

Hazrate Bara Ibne Aajib se Pucha gaya kya Rasoolullah   ka chehra Talwaar ki maanind chamakta tha unhone Farmaya Nahi Balqi chand ki tarah

 Bukhari  Jild 1 Safa 502

 Aur Sahaba E Kiraam ka ye chaand se tashbeeh dena bhi  sirf isliye tha ke Insaano ki nazar me chaand sabse zyada chamakdar hai warna Rasoolullah  to chaand se kahi zyada khoobsurat aur Haseen hai is baare me bhi Hadees me Hai. Aur ye bhi kaha ja sakta chaand ki Khoobsurati Huzoor  ka hi Sadqa Hai .

Qadmo Me Jabee (n) ko Rahne Do Chehre Ka Tasawwur Mushkil Hai
Jab Chaand Se Roshan Edi Hai to Ruqsaar Ka Aalam Kya Hoga

 Hadees No.7

Hazrate Bara Ibne Aajib Farmate hai Maine Rasoolullah  se zyada khoobsurat kisi Cheez Ko naa dekha

Bukhari Jild 1 safa 502

Hadees No. 8

Hazrate Abu Hurairah farmate hai Maine Koi Cheez Rasoolullah  se zyada Khoobsurat Haseen Wa jameel na dekhi. Aisa Lagta tha jaise Aap ke chehre me suraj Gardish kar raha hai

Tirmiji Jild 1 Safa 205

Jab Husn Tha Unka Jalwa Nooma Anwaar Ka Aalam Kya hoga
Har Koi Fidaa Hai Bin Dekhe To Deedar Ka Aalam Kya Hoga

 Hadees No. 9

Hazrate Abu Hurairah  رضي الله عنه farmate hai Logo ne Pucha Yaa Rasoolullah  Aap Kab se Nabi Hai ?  Rasoolullah  Farmaya Aadam علیہ السلام ke Rooh Aur Jism Abhi Dono Alag Alag the  Yani Inke Jisme Me Rooh abhi Aayi bhi na thi .

Tirmiji Jild 2 Safa 201
Mishkaat Safa 513

Mere Peero Murshid Huzoor Tajush Shariah Farmate hai ..

Aabo Gil Mein Noor Ki Pehli Kiran
Jaane Aadam Jaane Hawwa Aap Hain

 Hadees No. 10

Hazrate Umme Sulaim رضي الله عنها Se Marvi Hai ki Nabi E Kareem  unke yahan Tashreef laate the aur Unke ghar Qailula farmate the ( Dophar me Aaram Farmate ) Huzoor  ko Paseena Bahot Aata tha to wo Huzoor  ka paseena Jamaa kar leti thi to Huzoor  ne farmaya Aye Umme Sulaim Ye kya karti ho ? to Unhone Arz Kiya Yaa Rasoolullah  Aap Ka paseena jise hum khushboo me daal dete hai aur Ye har Khushboo se umda khushboo hai aur ek Riwayat me hai ki Umme Sulaim رضي الله عنها ne Arz Kiya Yaa Rasoolullah  Hum Apne Bacho ke liye isse Barkat ki Ummeed Rakhte hai . Huzoor  ne Irshad Farmaya Tum thik karti ho .

 Mishkaat Safa 517

  Har Insaan ka Paseena Badbudaar hota hai lekin Allah Ta'ala Ke Mahboob Mustafa  ki Anokhi Shaan hai ki Aap  ka Paseena bhi Har khushboo se badhkar khushudaar hai waqai Aap  Be-misaal hai Aap ka koi jawab nahi

Wallah Jo Mil Jaaye Mere Gul Ka Paseena
Maage na Kabhi Itr Na Phir Chahe Dulhan Phool 

 Hadees No. 11

Hazrate Anas رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah  Chamakdar Rang wale the..Aap ka Paseena Motiyo(n) ki  tarah tha...chalte to Aisa lagta jaise Utar Rahe hai aur Aap ki Mubarak Hatheliya(n) mote aur Barik Resham se bhi zyada narm thi Mushq aur Amber mein bhi maine Huzoor  ki tarah mahak aur khushboo na paayi.

Muslim Jild 2 Safa 257
Mishkat Safa 516

Hadees No. 12

Hazrate Ammar Bin Yaasir ke pote Hazrate Abu Ubaida se marvi hai ki Maine Rubay'ia binte muabwah Bin Afra'a se guzarish ki ke Huzoor  ki shaan Bayan kijiye. to Unhone farmaya agar tum Rasoolullah  ko dekhte to aisa lagta hai jaise tum suraj ko nikalte huye dekh rahe ho .

Mishkat Safa 517

 Hadees No. 13

Hazrate Jaabir Bin Samurah  رضي الله عنه se Marvi Hai ki Rasoolullah  ne Irshad Farmaya ki  beshaq main Makkah Muazzama me us patthar ko khoob pahchanta hu jo ailane Nubuwwat se Qabl mujh ko salaam karta tha

Muslim Jild 2 Safa 245

Wo Kamaal E Husne Huzoor Hai ke Gumaa(n) Ne Naqs Jahan Nahin
Yahi Phool Khaar Se Door Hai Yahi Shamma Hai ke Dhuwaan Nahin

 Hadees No. 14

Hazrate Abuzar Gifaari  رضي الله عنه se marvi hai ki unhone Rasoolullah  se arz kiya ki Yaa Rasoolullah    aapne kaise jaana ke Aap Nabi hai Yahan tak ki Aap ko Yaqeen ho gaya to Huzoor   ne Farmaya ki ek baar Jab main Makkah Muazzama ke ek pathrile Ilaaqe me tha to do farishte aaye ek zameen ki taraf chala gaya aur dusra zameen wa aasmaan ke darmiyan raha to unme se ek ne dusre sathi se kaha kya ye wahi hai usne kaha Haan . inko ek aadmi se tolo main taula gaya pas main hi bhaari tha fir kaha 10 se tolo main 10 se taula gaya tab bhi main bhari tha fir kaha 100 se tolo main taula gaya ab bhi main bhari tha fir kaha 1000 se tolo to main taula gaya ab bhi main hi bhari tha aur main dekh raha hu ki Palla Halka Hone ki wajah se goya wo mere upar gire aa rahe hai to inme se ek farishte ne dusre se kaha agar tum inko inki puri Ummat se tolo tab bhi ye bhari honge.

Mishkat Safa 515

 Is Hadees se Malum Hua ki Rasoolullah   ki Zaahiri bashariyat aur hai Aur Aap ki haqeeqat kuch aur Ba-zahir dekhne me to Aap   Insano ki tarah qado kaamat aur wazan rakhte hai . aur Aap  ki Haqeeqat sari ummat par wazan ke aitebaar se bhi bhaari hai aur Aap  ki ummat kitni badi hai is baare me khud Khuda E Ta'ala ka irshad hai

 Humne Aap ko saare insano ki taraf Nabi wa Rasool bana kar bheja hai to jo dekhne me Insan wa Bashar mahsoos hota hai lekin uska wazan saare insano se kahi zyada ho iski haqeeqat ko Allah Ta'ala Ke alawa koun jaan sakta hai

Allah Ka Mahboob Ba-Zaahir To Bashar Hai
Jo Uski Haqeeqat Hai Khuda Hi ko Khabar Hai 

 Hadees No.15

Sahabi e Rasool Hazrate Abu Saeed  رضي الله عنه Farmate hai ki Main Masjid e nabawi me Namaz Padh raha tha to Rasoolullah   ne mujhe pukara maine Namaz ki wajah se jawab nahi diya jab baad me Haazire khidmat hua to Huzoor   ne Sabab arz kiya main Namaz Padh raha tha Huzoor   ne farmaya kya Allah Ta'ala ne Quran Shareef me ye nahi farmaya hai Jab Allah wa Rasool bulaye to Jawab do

Bukhari Jild 2 Safa 642 & 669

 Sahi Bukhari ki is hadees se waazeh ho gaya ki Namaz padhte waqt kisi baat ka jawab nahi diya ja Sakta aur na kisi ke bulane par Aaya jayega aur aisa karega to Namaz batil ho jayegi lekin Huzoor   ke bulane par Aana Zaruri hai aur Huzoor   ki shaan auro ke jaisi nahi hai aur Aapke misl koi Nahi.

 Aur Quraan shareef ki wo Aayat Jo Hazrat Abu Saeed رضي الله عنه ko nasihat farmate Huye Yaad dilayi jiska matlab hai Allah Wa Rasool Bulaye to Fauran Hazir ho jao .

Surah Anfaal Para 9 Ruku 17 Isme Allah Ta'ala ne Apne Naam ke sath Huzoor   ka Naam Milaya hai

Saabit  Hua Ke Jumla Faraaiz Furu'a Hai
Aslal Usool Bandagi Us Taajwar Ki Hai


Chapter III 
Huzoor  Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai

 Hadees No.1

Hazrate Abu Darda رضي الله عنه Kahte hai ki Rasoolullah  ne irshad farmaya ke Jumma ke din mere upar Durood Shareef padha karo...ye haazri ka din hai is din Farishte Haazir hote hai aur jab koi mere upar Durood padhta hai to uska Durood mere upar pesh hote rehta hai jab tak wo padhta rehta hai . Hazrate Abu Darda رضي الله عنه ne Arz kiya  Aap ke duniya se rukhsat hone ke baad bhi to Rasoolullah   ne irshad farmaya beshak Allah Ta'ala ne zameen ke liye Haraam kar diya hai ki wo Ambiya Ke Jism ko khaye...Allah Ke Nabi Zinda Rehte hai aur unhe Rizq Diya jata hai .

Ibne Majah Safa 119
Mishkat Safa 121

 Ye Hadeese Pak Is aqeede ke liye Bilkul Sahih wa saaf hai ki Rasoolullah  ki hayate zaahiri aur baad wisaal ke kisi kism ka koi farq nahi hai

Momino Padhte Raho Tum Apne Aaqa par Durood
Hai Farishto (n) Ka Wazeefa Assalato Wassalam

Hadees No.2

Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها Se marvi hai ki main is hujre jis me Rasoolullah ki Qabre Anwar hai yun hi nange sar aati jati thi ki ek qabr mere Shauhar ki hai Yani Rasoolullah   aur dusri qabr mere walid  ki hai Yaani Hazrate Abu Bakr Siddiqueرضي الله عنه  ki aur jab se isme Hazrate Umar رضي الله عنه  dafn kiye gaye  hai to main jab kabhi bhi main aati hu to sharm wa haya ki wajah se chadar khoob lapet kar aati hu.

Mishkat Safa 154

 Is Hadees Shareef se khoob wazeh ho gaya ki Hazrte Ayesha Siddiqua رضي الله عنها  ka Aqeeda yahi tha ki Khuda e Ta'ala ke Makhsus bande baad wisal apni qabro se aise dekh rahe hai jaise zindagi me mulahiza farmate the warna Rasoolullah   aur Hazrate Abu Bakr رضي الله عنها  ki Qabre  Anwar par Shohar aur walid hone ki bina par be pardah aana aur Hazrate Umar رضي الله عنه ke wahan dafn hone ke baad parde ke sath aane ka aur kya matlab hai ??

Tu Zinda Hai Wallah,Tu Zinda Hai Wallah
Meri Chashme Aalam Se Chhup Jaane Wale

 Hadees No.3

 Hazrate Abdullah Bin Umar رضی اللہ عنہ  se marvi hai ki Rasoolullah  ne irshad farmaya jisne Hajj kiya Aur Meri Qabr ki ziyarat ki to Wo aisa Hi hai jaise Usne Mujhko Duniyawi zindagi me dekha

Mishkat Safa 241

Hogi Shafa'at Uski Jisne Madeena Aa kar
Haan Ek Nazar Bhi Dekha Mere Nabi Ka Rouza

 Hadees No.4
Hazrate Abuzar Gifari  رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah  ne Meraaj ki shab aasmano me Hazrate Aadam , Hazrate Idrees , Hazrate Ibrahim , Hazrate Moosa , Hazrate Isaa علیہ السلام se Mulakat farmayi aur ye bhi Zikr kiya ke Unhone Hazrate Aadamعلیہ السلام se pahle Aasman Par aur Ibraheem علیہ السلام ko chhate(6th) Aasman par paya to Huzoor  jab Jibraeel علیہ السلام ke sath Hazrate Idrees علیہ السلام ke paas guzre to Unhone Huzoor  se farmaya ki mubarak ho safare Meraaj inko jo swaaleh Nabi hai Aur Swaaleh Bhai Hai  Fir Huzoor  Hazrate Moosa علیہ السلام ke paas se guzre to Hazrate Moosa علیہ السلام ne bhi isi tarah mubarak baad di Huzoor  ne pucha ye koun hai ? to Hazrate Jibraeel علیہ السلا  ne arz kiya Huzoor  ye Moosa علیہ السلام  Hai . Rasoolullah  ne farmaya fir main Hazrate Isaa علیہ السلام ke  paas se guzra to unhone bhi isi tarah mubarak baad di Maine kaha ye koun hai ? Bataya gaya ye Isaa علیہ السلام Hai Bete Mariyam ke , Fir main Hazrate Ibraheem علیہ السلام ke paas se guzra to unhone kaha mubarak baadi hai inke liye jo swaaleh Nabi aur Swaaleh Farzand hai maine kaha koun hai bataya gaya Ye Hazrate Ibraheem علیہ السلام hai

Muslim Jild 1 Safa 93
Mishkat Safa 529
Bukhari Jild 1 Safa 471

 Is Hadees Shareef ke ye alfaaz  Muslim Shareef se naql kiye gaye hai iske alawa is mafhoom ki Hadees yani shabe meraaj Huzoor   ka Ambiya e kiraam se mulakat dua wa salaam aur baatcheet aur mubarakbaadiya Bukhari aur Muslim Shareef Balqi takreeban sabhi ahadees ki kitabo me mukhtalif muqamaat par mukhtalif alfaz se marvi hai jisse khoob achi tarah sabit hota hai ki Ambiya e Kiraam baade wisaal bhi Apne jismo ke sath Zindah hai aur Zameeno Aasmano me jahan chahte hai rahte hai aate aur jaate hai Balqi is Hadees ke Aakhiri kalamat jo ikhtiyar ke peshe nazar Naql Nahi kiye inme Ye bhi hai ke  Hazrate Moosa علیہ السلام ke kehne par Baar Baar Huzoor   ne Rab Ta'ala se Namaz me aasani chahi aur wo 50 se 5 waqt ki hui . In Ahadees ko padhkar ye kehna ki Ambiya wa Awliya Maaz'Allah mar kar fanah ho gaye ya Bilkul Mit gaye ye Imaan walo Ki Boli Hargiz Nahi hai

Mile The Raah Me Nau Baar Kis LIye Moosa
Ye Deed e Haq Ka Bahana Huzoor Jante Hai

 Hadees No.5

Hazrate Abdullah Bin Abbas رضی اللہ عنہ se marvi hai ki Huzoor   ke sahaba me se ek sahabi ne ek jagah qabr par khaima laga liya aur unhe khabar na thi ki yahan qabr hai to unhe malum hua ki ye kisi ki qabr hai aur sahibe qabr Surah Mulq ki tilawat kar rahe hai yahan tak ki Unhone puri Surah Tilawat ki ye sahabi Huzoor  ki Khidat me haazir huye aur Arz ki Yaa Rasoolullah   maine bhool se ek qabr par khaima lagaya to Maine dekha ki qabr me jo sahab hai wo surah Mulq  tilawat kar rahe hai yahan tak unhone puri surah padhi

Tirmiji Jild 2 Safa 112
Mishkat safa 187

 Is Hadees Shareef Se malum hua ki Allah Ke Makhsus Bande apni Qabro me Hayaat hai aur wo Apni Qabro me Khuda E Ta'ala ki Ibadat aur Quraane Azeem ki tilawat bhi kar lete hai Yani Inki zindagi Duniya ki tarah hai

Zamee(n) Maili Nahi Hoti Zaman Maila Nahi Hota
Muhammed Ke Gulamo Ka Kafan Maila Nahi Hota

Hadees No.6

 Hazrate Abdullah Bin Abbas رضی اللہ عنہ  se marvi hai ki Rasoolullah   arzak ghaati se guzare Farmaya ye kounsi ghaati hai arz kiya gaya Arzak Farmaya goya ke Main Hazrate Moosa عليه السلام   ko dekh raha hu jo pahadi se niche utar rahe hai aur buland Awaaz se Izzo Inkesari ke sath Allah Ta'ala ke liye Hajj ki talbiyah padh rahe hai Fir Huzoor   Harsha pahadi par tashreef laye farmaya ye kounsa pahadi ka raasta hai arz kiya gaya iska Naam Harsha hai to Huzoor   ne farmaya ke main Mataa ke bete Hazrate Younus عليه لسلام ko ek purgosht surkh Oontni par dekh raha hu wo unka Jubbah pehne hue hai unki oontni ki muhaar khuzoor ki chhaal se bani hui hai aur wo Hajj ke liye talbiyah padh rahe hai

Muslim Jild 1 safa 94

 Yaani Jin Ambiya e kiraam ke wisaal ko kayi-kayi Hazaar Saal guzar chuke the inko Huzoor   ne Hajj ke liye Talbiyah padhte hue yani Hajj karte hue Mulahija Farmaya (Aankh Se dekha

Ambiya Ko Bhi Ajal Aani hai
Magar aisi ki Faqat Aani Hai

Phir Usi Aan Ke Baad Unki Hayaat
Misle Sabiq Wahi Jismani Hai

Ye Hai Hayye Abdi Inko Raza
Sidqe Wada Ki Qaza Mani hai

  Hadees No.7

Hazrate Jaabir رضي الله عنه se marvi hai ke jab Uhad ka maarka darpesh aaya to mere walid ne raat ko mujhe bulaya aur farmaya ki lagta hai ki subah ko jung me shaheed hone wale as'haab  me pehla main hunga aur Huzoor  ko chod kar baaqi logo me mere nazdeek sabse zyada mehboob tum ho Mere upar kuch karz hai isko adaa karna aur apni Behno ke sath nek sulooq karna Hazrate Jaabir رضی اللہ عنہ kehte hai ki jab subah jung hui to sabse pehle mere waalid shaheed hue maine unhe ek dusre ke sath qabr me dafn kar diya fir mujhko naa gawar maloom hua ki mere waalid kisi aur ke sath qabr me dafn ho to maine 6 maah ke baad qabr khod kar unhe nikala to wo aise nikle jaise aaj aur abhi-abhi dafn kiye gaye ho bas zara kaan mut'assir tha

Bukhari Jild 1 Safa 180

Is Hadees se ba-khoob  maloom hua ke Hazrate Jaabir رضی اللہ عنہ  ke waalid Abdullah 6 Maah guzarne ke baad bhi qabr me sahi wa saalim taro taza the. Lihaza ye kehna durust hai ki Khuda ke khaas bande Mout ke baad bhi zindah hai

Bukhari Jild 1 safa 178

Aashiqe Nabi Hu Main Waarise Ali Hu Main
Maila Hona Payega Hashr Tak Kafan Mera

Ke Main Gulame Khwaja hu Hind  Hai Watan Mera 🌴

 Hadees No.8

Hazrate Anas رضی اللہ عنہ riwayat karte hai ki Rasoolullah  ne irshad farmaya Insaan jab qabr me dafn kar diya jata hai aur log moodne lagte hai to wo in logo ke jooto ki aahat sunta hai

 Bukhari Jild 1 safa 178

 Hadees No. 9

Hazrate Abu Saeed Khudri رضی اللہ عنہ se marvi hai ki Rasoolullah  ne irshad farmaya ki jab janaza taiyaar ho jata hai aur log use kaandhe par uthate hai agar wo acha hai to kehta hai mujhe jald le chalo agar bura hai to ghar walo se kehta hai mujhko tum kaha liye ja rahe ho. Iski aawaz ko siwa insano ke sab sunte hai agar insaan sun le to behosh ho jaye

Bukhari Jild 1 Safa 176

Main Qabr Andheri Me Ghabraunga Jab Tanha
Imdad Meri Karne Aa Jana Mere Aaqa
Roshan Meri Turbat Ko Aye Noore Khuda Karna
Jab Waqte Naza'a Aaye Deedar Ataa Karna

Hadees No.10

Ibne Shahab ne kaha ki ye hai Rasoolullah   ke Gazwaat (ladaiyya) aur fir Gazwa e Badar ka zikr karte hue bataya ko Badar mein maare gaye kaafiro ki laasho se khitaab karte hue Rasoolullah  ne irshad farmaya kya tumne wo paa liya jiska tumhare Rab ne tumse saccha waada farmaya tha . Logo ne kaha Yaa Rasoolullah  kya Aap murdo se kalaam kar rahe hai ? Rasoolullah  ne irshad farmaya jo kuch main keh raha hu ye tumse zyada meri baat sun rahe hai

Bukhari Jild 2 safa 573

Hadees No. 11

Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها   se riwayat hai ki unhone Rasoolullah   se pucha ke jab hum Qabro ki ziyarat kare to kya padhe ? Huzoor  ne irshad farmaya padho aye Momino aur Musalamano ke ghar walo tum par salaam ho Allah Ta'ala hamare pichle aur pehle walo par Rahem farmaye hum bhi ان شاء الله  tumse aakar milne wale hai

Mishkat Jild 1 safa 314

Qabr me Lahrayenge Jis Waqt Jalwe Noor Ke
Hum Padhenge Roohe Poor Anwaar Par Lakhon Salaam

Hadees No. 12

Hazrate Bureeda se marvi hai ki jab log qabro ki ziyarat ko jaate to Rasoolullah  unhe ye alfaz sikha dete

 Aye momino aur musalamano ke ghar walo tum par salamati ho In sha Allah hum bhi tum se zaroor milne wale hai Hum Allah Ta'ala se apne aur tumhare liye Aakhirat me azaab se salamati mangte hai

 In Ahadees Ko padh kar aap ko lagega ki Huzoor   ne qabro ki ziyarat ke waqt jo dua taleem farmayi hai uska tareeqa aisa hai jaise zindo se baat chit aur dua wa salaam karte hai aur manna padega ke marne ke baad insaan ek khaas qism ki zindagi ke sath zinda hai

Kaash Mehshar Mein Jab Unki Aamad Ho Aur
Bheje Sab Unko Shaukat Pe Lakhon Salaam

 Hadees No. 13

Hazrate Saeed Bin Abdul Azeez se marvi hai ki ayyame harrah me 3 din Masjide Nabawi shareef mein na Azaan hui aur na takbeer Hazrat Saeed masjid mein hi rahe aur unhe Namaz ke waqt ka pata ek gungunahat ki aawaz se chalta tha jo Rasoolullah  ki qabre Anwar se har Namaz ke waqt aati thi

Mishkat Babul karamat safa 545

 Ye Waqiya harrah 63 hijri ka wo bhayanak haadisah hai ki jab Yazeed paleet ne Muslim Bin Aqba ko ek lashkar dekar Madeene shareef par chadhai karayi aur shahare Rasool ko barbaad kiya beshumar mard wa aurat qatl kiye gaye aabru rezi bhi ki gai masjide Nabawi Shareef mein musalsal 3 din tak Azaan wa Jamaat na hui Mash'hoor tabayi Hazrate Saeed deewano ki tarah Masjid Shareef ke ek kone me rehte the Yazeedi fouz ne unhe pagal samajh kar chhor diya tha ye Azaan wa Namaz ke Waqt Rasoolullah ki qabre Anwar se gungunahat ki aawaz sunte aur usi par Namaz ada Karte

 Hadees No.14

Hazrate Ka'ab se riwayat hai ki Har din 70 hazaar farishte utarte hai aur wo Rasoolullah ki qabre Anwar ko gher lete hai...apne par biccha dete hai aur Rasoolullah par Durood shareef padhte rehte hai yahan tak ke jab shaam ho jati hai to wo chadh jaate hai aur inki tarah itne hi farishte aur utarte hai wo bhi isi tarah karte hai yahan tak ke Huzoor  jab Qabre Anwar se bahar tashreef layenge to 70 Hazaar farishto ke Zurmooth me jalwa farmayenge aur wo Farishte Aap  ko pahochayenge

Mishkat Babul Karamat safa 546

 Is Hadees ke peshe nazar Yaqeenan Rasoolullah  Qabre Anwar me Ba-kayeda baa hayaat hai isiliye to ye sab ehtamam farmaya jata hai warna jahan mitti ka dher ho waha farishte kyun aayenge

 Hadees No.15

Jab  Aap  ke shahzade Hazrate Ibraheem Ka wisaal hua to Huzoor  ne farmaya unke liye jannat mein ek doodh pilane wali muqarrar kar di gayi hai

Mishkat Safa 568

 Bachpan me intiqal karne ki wajah se jinhe Jannat me Doodh pilaya jata hai Unhe murdah kehna musalman ka kaam nahi hai

 Tabhi to Mere Aala Hazrat Azeeemaul Barkat Ash Shah Imam Ahmed Raza Farmate hai

Tu Zindah Hai Wallah Tu Zindah Hai Wallah
Meri Chasme Aalam Se Chhup Jane Wale

Chapter IV 

Ilme Gaib e Mustafa 

Har Daur me Ahle Haq Ka ye Aqeeda raha hai ki Allah Ta'ala ne Apne Mahboob Hazrat Muhammed Mustafa   ko Gaib-da banaya aur Aap   Dhaki , Chhupi , Guzri aur aayenda qayamat tak hone wali har baat ko Jaante Hai
  Hadees No. 1
Hazrate Umar رضي الله عنه se riwayat hai ki Nabi E Kareem   ek roz hamare darmiyan khade hue to Aap   ne makhluq ki paidaish ka ibteda se zikr farmana shuru kiya yahan tak ki Jannati Apne maqaam par pahoch gaye aur dozakhi apne maqaam par ise yaad rakha jisne yaad rakha aur bhool gaya jisne bhool gaya
Bukhari Jild 1 safa 354
Muslim Jild 2 safa 390
Haashiye mein hai " Imaam taibi ne farmaya ki is hadees se zaahir hai ki saari makhluq ke saare haalat Huzoor   ne Sahaba ko bata diye
Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga Huzoor Jaante Hai
Teri Ataa Se Khudaya Huzoor Jaante Hai
 Hadees No.2
Hazrate Anas Ibne Malik رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah   suraj dhhal jaane ke baad bahar tashreef laaye fir humko zuhar ki Namaz padhayi. Jab salaam fer diya to Aap   mimber par jalwa afroz hue aur Qayamat ka zikr Farmaya aur un bade bade umoor ka jo isse pahle hai fir farmaya agar koi mujhse jo kisi cheez ke baare me puchna chahe to puch lo Khuda Ki Kasam Tum mujhse jo puchoge main bata dunga jab tak main is jagah hu. Hazrat Anas ka bayaan hai log Zaaro kataar rone lage aur Rasoolullah  Baar baar farmate rahe jo chaho mujhse puchlo Hazrate Anas ka bayan hai ek sahab ne khade hokar pucha ki Yaa Rasoolullah   mera thikana kaha hoga Farmaya Dozakh mein  fir Hazrate Abdullah Ibne Huzafa khade hue arz karne lage Yaa Rasoolullah   Mera Baap Koun hai ? Farmaya Tumhara baap huzafa hai.  Raawi ka bayan hai ki fir Aap  baar baar farmate hai ki mujhse pucho mujhse pucho chunache Hazrate Umarرضي الله عنه ghutno ke bal khade ho kar kahne lage
 Hum Allah Ke Rab Hone aur Muhammed   ke Rasool Hone par Raazi hai . Jab Hazrate Umar رضي الله عنه ne ye guzarish ki to Rasoolullah   khamosh ho gaye. Fir Rasoolullah   ne irshad farmaya kasam us zaat ki jiske kabze me meri jaan hai Abhi Abhi is deewar ke samne mujh par Jannat aur dozakh pesh ko gai jab ki main Namaz padh raha tha to Aaj ki tarah maine khair aur shar ko nahi dekha
Bukhari Jild 2 safa 1083
Muslim Jild 2 Safa 263
Khuda  Hi Jaane Ubaid Unko Hai Pata Kya Kya
Hume Pata Hain Bas Itna Huzoor Jaante Hai
 Hadees No. 3
Hazrate Sayyedna Abu Huraira رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah   ne irshad farmaya ki tum dekhte ho ke mera chehra is taraf hai jab ki Khuda Ki Kasam mujh par tumhara Khushoo ( dil ki kaifiyat) aur Ruku Hargiz poshidah Nahi. Main pith ke piche se bhi dekhta hu
Bukhari Jild 1 Safa 59
 Hadees No. 4
Hazrate Anas Ibne Malik رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah  ne hum ko Namaz Padhayi fir mimbar par Tashreef farma hue aur Namaz aur Ruku ka bayan kiya aur farmaya ki main tum ko piche se bhi aise dekhta hu jaise aage se
Bukhari Jild 1 Safa 59
 Sharah Bukhari aini mein hai ye sirf Namaz ke Sath nahu balqi Huzoor   hamesha jis tarah aage dekhte hai waisi hi piche
Munafiqon Ka Aqeeda Wo Gaib daan Nahi
Sahabiyon Ka Aqeeda Huzoor Jaante Hai
 Hadees No. 5
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah  ne Habsha ke baadshah Nujashi ki mout ki khabar usi din de di jis din Intiqaal hua
Bukhari Jild 1 Safa 167
 Habsha Madine Shareef se hazaaro meel par hai jise Aaj kal Ethopiya kahte hai waha ke baadshah Hazrat Najashi ka intiqaal hote hi Huzoor  ne Madine walo ko is ki khabar de di thi kyun ki Allah Ta'ala ne Huzoor  ko gaib ka Ilm diya hai
Khabar Bhi hai Ke Khabar Sab Ki Unhe Hai kab Se
Ke Jab Na Ab Tha Na Tab Tha Huzoor Jaante Hai
 Hadees No. 6
Jis waqt mulqe Shaam mein Maqaam Mutooh mein Musalamno aur isaaiyon ke darmiyan jung jaari thi Rasoolullah  Madeene Paak mein Apne Sahaba mein farma rahe the
 Zaid ne Alam ko uthaya to wo Shaheed ho gaye fir Jaafar ibne Abi Talib ne Alam uthaya to wo shaheed ho gaye fir jung ka jhanda Abdullah Ibne Rawaha ne utha liya to wo bhi Shaheed ho gaye Jung ka Manzar bayan karte hue Rasoolullah    ki Aankhon mein Aansuu jaari ho gaye the Fir Aap   ne irshad farmaya ki ab Baghair Sardar banaye Khalid Ibne waleed ne jhanda le liya to Ab Musalmano ko fatah naseeb ho gai
Bukhari Jild 1 safa 167
 yeh Mutooh ka maqaam Madeene Shareef se Hazaaro meel ki doori par hai Aur Rasoole Paak   wahan hone wali Jung Ko Madeena Tayyaba mein rah kar mulahiza farma rahe hai aur Apne As-haab ko jung ke haalaat bhi bata rahe hai aur jaanisaro ki shahadat par Aansuu bhi baha rahe hai
Yeh Sab Ilme Gaib Nahi To Aur Kya Hai ??
Aye Ilme Gaib Ke Munqir Khuda Ko Dekha Hai ???
Tujhe Bhi Kahna Padega Huzoor Jante Hai
 Hadees No. 7
Junge Badr ki Hadees me Hazrate Anas رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah  ne maidane jung mein jung se pehle Zameen par apna hath rakh kar farmaya ki Yeh falan kaafir ke marne ki jagah hai aur ye falan ke Raawi kahte hai ki jis ko Rasoolullah  ne jahan hath rakh kar farmaya tha wahi par wo maara gaya
Sahih Muslim Jild 2 Safa 102
Nasayi Jild 1 Safa 226
 Is Hadees Ko padh kar ye andaza lagana mushkil hai ki Allah Ta'ala ne Apne Rasool ko kis qadar ilm ata farmaya hai ki abhi jung nahi hui hai aur Aap  ne ek ek kaafir ke maare jaane ki jagah ki nidhandehi farma di goyaa Aap  ye bhi jaante the ki koun koun maara jayega aur ye bhi jaante the ki kahan maara jayega
Kahan Marega Abu Jahal o Utba o Sheiba,
Ke jung e Badr ka Naqsha Huzoor Jaante Hain
 Hadees No. 8
Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها se marvi hai ki Rasoolullah   se Aap ki ba'az biwiyo ne ek martaba sawal kiya ki Aap   ke baad Hum mein se sab se pehle Aap  ke Paas koun aayegi to Huzoor   ne irshad farmaya ki tum mein jis ka haath zyada lamba hoga . Paak biwiyon ne charri hath me le kar hath naapna shuru kar diye to Hazrate Sauda ka haath lamba nikla fir baad mein hum ko maloom hua ki haath ki lambai se muraad sadqa yaani sakhawat hai chunanche wo sab se pehle Huzoor  se mili aur inhe khairat karna bahot pasand tha
Bukhari Jild 1 Safa 191
 Is Hadees ko padhne se chand baate khul kar saamne aati hai
1⃣ Allah Ke Rasool   ke baare mein Aap   ki paak biwiyon ka aqeeda tha ki Huzoor   maloom hai ki kis ko kab mout aayegi ? Isliye to unhone Huzoor   se dariyaft farmaya ki Aap   ke baad hum mein se koun Aap se pehle milegi
2⃣ Huzoor  ka  jawab marhamat farma dena ki tum mein lambe hath wali milegi Is baat ki nishandehi hai ki Huzoor   ne unke is aqeede ki taeed kar di
3⃣ Lambe hath se Huzoor 
Ki muraad sadqa wa khairat karna tha aur paak biwiyon ne naapna shuru kar diya goyaa hadees ka mafhoom samajhne mein unse bhi chuk hui isse maloom hota hai Hadees shareef ka mafhoom samajhna mushkil kaam hai isiliye olma e kiraam se raabata aur kisi Imaam ki taqleed kar ke muqallid hona chahiye
4⃣ Sadqa Wa khairat Karne wale Huzoor   se zyada kareeb hai
 Hadees No. 9
Hazrate Sauban رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah  ne Irshad farmaya ki Allah Ta'ala ne mere liye saari roo e zameen ko ikattha farma diya to maine zameen ke saare purab aur saare paschim dekh liye aur mujhko do khazane ata farmaye gaye ek surkh aur dusra safed
Sahih Muslim Jild 2 Safa 390
 Hadees No. 10
Hazrate Abu Zar Gifari رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah  ne farmaya main wo dekhta hu jo tum nahi dekhte aur main wo sunta hu jo tum nahi sunte
Tirmizi Jild 2 Safa 55
 Hadees No. 11
Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها farmati hai ki Rasoolullah    wo dekhte the jo main nahi dekhti thi
 Sahih Bukhari Jild 2 Safa 915
Khuda Ko Dekha Nahi Aur Ek Maan Liya
Ke Jaante The Sahaba Huzoor Jaante Hai
 Hadees No. 12
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai ki ek din Rasoolullah  ne Fajar ki Namaz padhayi aur mimber par Rounaq Afroz hue aur bayan farmaya yahan tak ki Zuhar ka waqt ho gaya to Aap  ne mimber se utar kar Zuhar ki Namaz padhayi aur fir mimber par Rounaq Afroz ho gaye aur bayan farmaya yahan tak ki Asr ka waqt aa gaya fir Aap   ne mimber se utar kar Asr ki Namaz padhayi aur fir bayan farmaya yahan tak Suraj Guroob ho gaya to Aap   ne jo kuch hone wala hai Sab kuch bata diya to Hum mein jisne zyada Yaad rakha wo zyada bada Aalim Hai
Muslim Shareef Safa 390 Kitabul fitan
 Is Hadees se khoob acchi tarah ye baat roushan ho gayi ki Allah Ta'ala ne Huzoor  ko Rouze Aafrinash Se Qayamat Tak Hone Wale Tamam Umoor se aagah farma diya hai
Hai Unke Haath Mein Kya Kya Tujhe Khabar Na Mujhe,
Khuda Ne Kitna Nawaza Huzoor Jante Hain.
 Hadees No. 13
Hazrate Salma Ibne Aqwa se marvi hai ki Junge Khaibar ke mouqa par Hazrate Ali رضي الله عنه Rasoolullah  ke sath lashkar mein Aankh dukh jane ki wajah se shareeq na ho sake the to Hazrate Ali  رضي الله عنه  ne farmaya ki main Huzoor  ke sath lashkar mein shaamil hone se rah gaya fir Aap nikle Yahan tak ki Huzoor  ke sath fouj mein shaamil ho gaye. Raawi kahte hai ke idhar lashkar mein jis subah ko khaibar fatah hona tha isse pehle shaam ko Rasoolullah   ne apne As-haab mein farmaya ki kal main ye jhanda ek aise shakhs ko dunga Allah Wa Rasool jisko dost rakhte hai ya jo Allah wa Rasool ko dost rakhta hai .Allah Ta'ala uske hath par jung mein fatah naseeb farmayega, farmate hai ki achanak hamari mulaqat Hazrate Ali رضي الله عنه se hui halanqi hume inki aane ki koi ummeed na thi fir Rasoolullah  ne jhanda inhe ataa farmaya aur Allah Ta'ala ne inke haatho par fatah Naseeb farmayi
Sahih Bukhari Jild 1 safa 525
Sahih Muslim Jild 2 Safa 278
 Maloom ye chala ke
1⃣ Huzoor  ba-ataa e Ilahi jaante the ki sawere ko Qila e Khaibar fatah ho jayega
2⃣ Aap  ye bhi jaante the ki Hazrate Ali رضي الله عنه  jo lashkar mein shaamil hone se rah gaye hai wo aayenge aur ye fatah inhi ke haath par hogi.
Ye Khud Shaheed Hain Bete Nawase Pote Shaheed
Ali Ki Shaan E Yagana Huzoor Jaante Hain
 Hadees No. 14
Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنه  se marvi hai ki Rasoolullah  do qabro ke paas se guzre to Aap  ne farmaya in dono par Azaab ho raha hai lekin kisi bade gunah ki wajah se nahi balqi ek to peshab se ehtiyat nahi karta tha aur dusra chugal khor tha Fir Aap  ne hari shaakh li aur iske do tukde kar ke ek-ek qabr par rakh diye logo ne arz kiya Yaa Rasoolullah  . Aap ne Aisa kyu kiya ? Farmaya jab tak sukhegi nahi shayad azaab mein aasani ho
Bukhari Shareef Safa 35
 Is Hadees Se bakhoobi ye baate maloom ho gai
1⃣ Rasoolullah   ki nigahe aqdas ke liye qabr ke upar ki mitti waghairah aad nahi hoti aur qabr ke andar upar se hi mulahiza farma lete hai
2⃣ Qabr me Dafn hue logo ki zindagi ke haalaat bhi Aap  ke peshe nazar rahte hai ki kis ne kya kiya aur kis wajah se is par azaab ho raha hai
Chhupa Rahe Hai Lagataar  Wo Mere Aibon Ko
Main Kis Qadar Hoon Kameena Huzoor Jaante Hai
 Hadees No. 15
Hazrate Jaabir رضي الله عنه se riwayat hai ki Rasoolullah   ek safar se wapas tashreef laye Jab Aap   Madeene Shareef ke kareeb hue to ek hawa aisi chali ki lagta tha ki wo sawaro ko dafn kar degi Rasoolullah   ne farmaya ye hawa ek munafiq ki mout par bheji gayi hai . Raawi kahte hai ki jab Madeena shareef aaya to waqayi munafiqin ka sardar mar gaya tha
Mishkat Babul Mojezaat Safa 536
Yaani Rasoolullah   ne raaste mein hi apne As-haab ko bata diya Madeena mein ek munafiq mar gaya hai Ye safar Gazwa e Tubook se wapasi ka tha aur wo munafiq Rifa'a Ibne Duraid Tha
Awwal-O-Aakhir Sab Kuch Jaane Dekhe Ba'eed-O-Qareeb
Gaib Ki Khabare Dene Waala Allah Ka Wo Habeeb
 Hadees No.16
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه se marvi hai ki ek baar Hazrate Umar رضي الله عنه ne jehaad ke liye ek lashkar bheja aur uska Ameer Saariya Naam ke ek sahab ko banaya to jis waqt Hazrat Umar رضي الله عنه Masajide Nabawi Shareef mein khutba de rahe the to Zor Se farmaya Aye Saariya Pahaad ! Fir lashkar se ek kaasid aaya aur usne arz kiya Aye Ameerul Momineen hum jung kar rahe the aur dushman ne hum ko shikast dedi thi ki humne suna koi buland aawaz se keh raha tha Aye Saariya Pahaad ! Fir humne pahad ko apne piche lekar jung ki yahan tak ki dushman ko shikast dedi
Mishkat Babul Karamat Safa 546
 Yaani Hazrat Umar رضي الله عنه Madeena Tayyabah mein Masajide Nabawi Shareef ke andar khutba dete hue Hazaaro Meel par waaqe Nahawand mein maidane jung ko mulahiza farma rahe the aur Ye Hazrate Umar رضي الله عنه Huzoor  ke sahabi hai to jab Huzoor  ke gulamo ke Ilme Gaib ka ye haal hai to khud Huzoor  ke Ilme Gaib ka Aalam kya hoga ?
Chahe To Ishaaro Se Apni Kaaya Hi Palat De Duniya Ki
Ye Shaan Hain Unke Gulamo Ki To Sarkar Ka Aalam Kya Hoga
 Hadees No.17
Hazrate Abu Moosa Ash-ari رضي الله عنه farmate hai ki Nabi E Kareem  ek baag mein daakhil hue aur mujhko baag ke darwaze par dekh bhaal ka huqm diya fir Ek Aadmi ne Aa kar ijazat maangi to Huzoor  ne irshad farmaya ki inhe Andar Aane ki ijazat de do aur Jannat ki Basharat de do Maine Dekha wo Shakhs Hazrate Abu Bakr Siddiqueرضي الله عنه the fir Dusre Shakhs ne Ijazat Maangi to Huzoor  ne irshad farmaya inhe andar aane ki ijazat de do aur Jannat Ki Basharat de do maloom hua wo Hazrate Umar Farooq رضي الله عنه the fir aur ek Shakhs se Ijazat maangi to Huzoor  thodi der khamosh rahe aur farmaya inhe bhi ijazat dedo aur Jannat ki basharat dedo lekin ek musibat ke sath jo inhe pahochegi to maloom hua ki wo Hazrate Usmane Gani رضي الله عنه hai
Sahih Bukhari Jild 1 Safa 522
Muslim Jild 2 Safa 277
 Is Hadees se Maloom hua ki Rasoolullah  baag ke andar jalwa farma the aur darwaze par aane wale ko pehchan lete the aur ye bhi irshad farma dete the  ki wo Imaan wa hidayat par qayam rahenge yaani Jannat mein jayenge aur Hazrate Usmanرضي الله عنه ke baare mein Aap  ko ye bhi Ilm tha ki un par ek din musibat aayegi Yaani balwayi unka muhasra kar lenge aur fir Unko Be-rahmi ke sath ghar mein Shaheed kar diya jayega
Wo Daso Jinko Jannat Ka Mujdah Mila
Us Mubarak Jama'at Pe  Lakhon Salaam.
Hadees No.18
 Hazrate Safeena رضي الله عنه se riwayat hai ki maine Rasoolullah   ko ye farmate suna ki khilafat mere baad 30 saal rahegi fir baadshahat hogi. Raawi E Hadees Hazrate Safeena kehte hai ki Hazrate Abu Bakr رضي الله عنه ki khilafat ko 2 saal shumaar karo ,  10 saal Hazrate  Umar رضي الله عنه  Hazrate Usman e Gani رضي الله عنه  ke 12 saal aur 6 Saal Hazrate Ali رضي الله عنه ke shumaar karo
Mishkat Safa 463
Tirmizi Jild 2 Safa 45
 Yaani Hazrate Safeena رضي الله عنه ne hadees bayan farmane ke baad ye bhi shumaar kar ke dikha diya ki waqayi khilafat sirf 30 saal rahi aur baad mein baadshahat ho gai aur Huzoor   ne Apne Ilm 'Maa Kaana Wamaa Yakoon' se jo kuch farmaya wo Durust ho kar raha
Wo Zabaan Jisko Sab Kun Ki Kunji Kahe
Uski Naafiz Huqumat Pe Laakhon Salaam
 Hadees No. 19
Hazrate Ayesha رضي الله عنها se marvi hai ki Nabi E Paak  jab Aleel (bimar) hue to Hazrate Fatima رضي الله عنها haazir hui aur Aap   par jhuk gayi Aap   ka bosa liya fir sar uthaya aur Ro padi. Fir dobara jhuki aur sar uthaya to hans rahi thi . Hazrate Ayesha رضي الله عنها kahti hai ki maine dil me khayal ki main to Fatima ko Aurato mein sabse zyada Aqlmand samajhti thi magar wo to Aam aurato ki tarah hai Jab Huzoor ka wisaal ho gaya to Maine inse maloom kiya ki batao to sahi ki Jab Aap Nabi E Kareem par jhunki aur sar uthaya to ro rahi thi fir dobara jhunk kar sar uthaya to hans rahu thi iski kya wajah thi ? Hazrate Fatima رضي الله عنها ne farmaya lo main ye Raaz fash kiye deti hu . Huzoor  ne mujhko bataya ki mera isi marz se wisaal ho jayega to main ro padi fir bataya ke Ahle Bait mein Tum Sabse pehle mere paas aaogi to main Hans padi
Tirmizi Jild 2 Safa 227
Mishkat Sako ko fa 568
(Yahi Hadees 📕Bukhari aur 📙 Muslim dono mein hai )
 Yaani Huzoor  ne Hazrate Fatima رضي الله عنها  ko Apne Wisaal se bhi muttala farma diya  ki main is marz mein duniya se chala jaunga aur Hazrate Fatima رضي الله عنهاke wisaal se bhi ki Ahle Bait mein tum sabse pehle mere paas aaogi aur waqayi Hazrate Fatima رضي الله عنها Huzoor   ke baad sirf 6 Maah Duniya mein rahi
Main Unki Baat Karu Kya Ye Nahi Meri Aukaat
Ke Shaane Fatima Zahra Huzoor Jaante Hai 🌴
 Hadees No. 20
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه farmate hai ki Karkara Naam ka ek shakhs Nabi E Kareem  ke asbaab ki hifazat par mu'ayyan tha Jab uska inteqaal hua to Rasoolullah  ne irshad farmaya wo jahannami hain log is ki wajah talaash karne lage to uske saaman mein ek Ibaa paayi jo usne maale ganimat se chura ke rakh li thi
Bukhari Jild 1 Safa 432
 Yaani Aap  ne ye bhi jaan liya ki wo Jahannam mein hai aur Ye Bhi ki wo Jahannam mein Kyu hai aur Jo Kapda Usne Maale Ganimat se churaya tha gaib Janne wale Nabi se wo chhupa hua Na tha
Haamir Rab hai Khaliq Par Mustafa hai Maalik
Qismat Me Kya Likha hai Sarkar jante hai
 Hadees No.21
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai ki ek Baar Huzoor   ne Humko Zuhar ki Namaz padhayi aur sab se picchli saf mein ek aadmi khada tha jis ne thik se Namaaz nahi padhi to jab Huzoor   salaam fera to us shakhs ko Naam lekar Pukara aur farmaya aye fulañ kya tu Allah Se Nahi Darta ? Ye tu kaise Namaaz Padhta Hain ? Kya tum Log Ye khayal karte ho ki tumhare aamaal mein se mujhse kuch chhupa rehta hai ? Kasam Allah Rabbul Izzat Ki main Jaise Apne Saamne dekhta hu waise hi picche bhi dekhta hu. Is Hadees Ko Imam Ahmed Ne riwayat kiya
Mishkat Baab Siftis'salat Safa 77
 Sabse Picchli Saf mein hone ka matlab hai ki Sarkar  mein aur usme kaafi faasla tha us zamane mein har Musalman Namazi tha Masajide Nabawi shareef Namaziyon se bhar jaati thi fir Bhi Aap   ne uski Namaz ki kami ko mulahiza farma liya fir sarahat farma di ki tumhari har halat mere upar roushan hai
Kis Lab Pe Kya Dua Hain Sarkar Jaante Hain
Kiske Dilo Mein Kya Hain Sarkar Jaante Hain
 Hadees No. 22
Hazrate Huzaifa رضي الله عنه se riwayat farmate hai ki main nahi jaanta ke mere saathi bhool gaye hai ya bhole ban baithe Allah Ta'ala ki kasam Rasoolullah   ne duniya se khatm hone tak tamaam fitna garo ko jo 300 ya kuch zyaada hai nahi chhoda magar hum ko unke Naam bata diye. Uska Naam Uske Baap ka Naam aur uske khaandan aur qabeele ka Naam
Mishkat Safa 463
Abu Dawood Safa 582
 Yaani Qayamat ke tamaam fitna parwaro , gumrahgaro ka zikr inke naam aur waladiyat aur qabeele ke sath farma diya
Meri Aane Wali Nasale Tere Ishq Hi mein machle
Unhe Nek Tum Banana Madani Madine Wale
 Hadees No. 23
Hazrate Abu Saeed Khudari رضي الله عنه ne Masajide Nabawi  ki tameer ka zikr farmate hue farmaya ki Hum log ek-ek iint uthate the aur Ammar Ibne Yaasir do-do to Rasoolullah   ne inhe dekha to Huzoor   inke jism se mitti jhaadte jaate aur farmate ki Ammar par kada waqt aayega inhe ek baagi giroh Qatl karega aur ye unhe Jannat ki taraf bulate honge aur wo inhe dozakh ki taraf.  Abu Saeed ne kaha ki Ammar kaha karte the ki Main fitno se Allah ki panah mangta hu
Bukhari Shareef Jild 1 Safa 24
 Is Hadees Se Maloom hua ki Huzoor   ye bhi jaante the ki Ammar Shaheed kiye jayenge aur ye bhi ki inhe koun shaheed karega
Izaat Se Naa Mar Jaaye Q Naame Muhammed Par
Yun Hi Kisi Din Humne Duniya Se To Jaana Hai
 Hadees No. 24
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai ki Jab Khaibar Fatah hua to Huzoor  ki khidmat mein zaher mila hua bakri ka gosht pesh kiya gaya Aap  ne Irshaad farmaya yahan jo yahoodi hai unhe mere Paas laao to unhe jama kar diya gaya Huzoor unse farmaya Agar Main kuch pucchu to mujhe sach bataoge Unhone kaha Haan Aye Abul Qasim ! Huzoor   ne puccha tum kiski aulad ho ? Unhone kaha hum falan ki Aulad hai Aap   ne irshad farmaya tum Jhoot bolte ho tum falan ki Aulad ho to kehne lage Aap sach kehte hai aur accha kehte hai .Fir Huzoor    ne farmaya agar main tum se kuch puchu to tum sahi bataoge ? Bole Haan agar hum galat bolenge to Aap (Apne Ilme Gaib ) se jaan lenge Jaise hamare baap daada ke baare mein jaan liya. Farmaya Dozakh mein Tum Jaoge ya Hum ? Kehne lage Hum thode din ke liye jayenge fir hamare baad Aap isme rahoge Huzoor  Farmaya tum hi isme Zaleel hone wale ho aur Hum Isme kabhi tumhari jagah nahi jayenge Fir Aap    ne irshad farmaya Agar main tumse koi baat pucchu to to Sahi bataoge ? Bole haan. Huzoor   ne irshad farmaya kya tumne is bakri mein zaher milaya ? Kehne lage haan milaya Aap   ne farmaya aisa tumne kyu kiya ? Bole humne ye iraada kiya ki agar Aap jhoote Nabi hai to humko Aap se Najaat mil jayegi aur Agar Aap Sacche hai to Ye zehar Aap ko Nuqsan Nahi pahochayega
Bukhari Jild 2 Safa 859
Mishkat Safa 543
 Is Hadees se maloom hua ki Allah Ta'ala ne Rasoolullah  ko gaib ka ilm ataa farmaya hai isi liye Aap   bakri mein zaher ko jaan liya aur in logo ne Aap  ka imtihaan lene ke liye Apne Baap ka Naam galat bataya to wo bhi Aap   ne jaan liya Aur sahi Naam bata diya aur In Yahoodiyon ko bhi Aap   ki Sachai aur Ilme Gaib par yakeen tha isi liye un logon ne kaha ki Agar Hum Jhoot bolnege to Aap jaan jayenge.
Yahoodiyon  ko Huzoor   ke ilme Gaib par itna pakka yaqeen tha lekin Afsos Aaj ke Naam nihaad muslaman bad aqeeda log aitraz karte hai Allah aise Imaan ke lutero se hamari hifazat farmaye
 Hadees No. 25
Hazrate Abdullah Ibne Umar Se riwayat hai ki ek din Rasoolullah  hamare paas tashreef laye. Aap  ke daste mubarak mein do kitabe thi Aap  ne irshad farmaya kya tum in dono kitabo ko jaante ho Humne Arz kiya Yaa Rasoolullah  Aap ke bataye baghair nahi jaante Aap  ne dahine hath wali kitab ki taraf ishara kar ke Farmaya Allah Ta'ala ki taraf se ek kitaab hai jisme tamam jannat walo ke naam hai inke baap dada aur khandano ke bhi Naam bhi hai aur Aakhir mein in sab ki meezan hai inme se kabhi bhi kami ya zyadati nahi hogi fir Aap  Apne baaye hath wali kitab  ke baare me farmaya ki isme Jahannamiyon ke baap Dada aur khaandano ke naam hai fir aakhir in sab ka jama  (Total) kar diya  gaya hai Ab inme kabhi kami ya zyadati nahi hogi
Tirmizi Jild 2 Safa 36
Mishkat Safa 21
 Gour karne ka maqaam hai jis zaate girami ko Allah Ta'ala ne aisi kitabe ataa farma di ho ki jisme saare jannat aur jahannami logo ke Naam inki waladiyat aur qabeele ke zikr ke sath likha ho unke Ilm ki kya shaan hogi Aur Aadam عليه السلام se lekar qayamat tak paida hone wale musalamano aur kaafiro mein aisa koun reh gaya Jisko Aap  nahi jaante ??
Tabhi to Aala Hazrat Farmate Hai
Aur Koi Gaib Kya Tum Se Nihaa Ho Bhala
Jab Naa Khuda Hi Chhupa Tum Pe Karoro Durood 

Chapter V 

Allah Ta'ala Ki Baargah Me Uske Mehboob Bando Ko Waseela Banana.

 Hadees No. 1
Hazrate Abu Saeed رضي الله عنه se marvi hai ki Huzoor Nabi E Kareem  ne irshad farmaya ki ek aisa zamana aayega jab log fouj dar fouj ho kar jihaad karenge to inse puccha jayega ki tumhare darmiyaan koi aisa shakhs hai Jisne Rasoolullah  ki sohbat ka sharf haasil kiya ho jawab mein kaha jayega haan to uski barkat aur waseele se jung me fateh hogi fir ek zamana aayega aur log jihaad karenge to inse maloom kiya jayega kya tum mein koi aisa hai jisne Huzoor  ke sahaba ko dekha ho jawaab hoga haan to iske waseele se jung mein kamiyabi milegi fir ek Zamana Aayega aur log jihaad karenge to unse puccha jayega hai jisne Huzoor  ke sahaba ki sohbat haasil karne walo ki sohbat ka sharf haasil kiya ho jawaab hoga Haan to inke zariye kamiyabi haasil hogi
Bukhari Jild 1 Safa 406
➡ Ye Hadees Saaf taur par bata rahi hai ki Huzoor Nabi e Kareem  ka muqaam to Allah hi jaane Aap  ke gulamo ke gulamo ke gulamo ki shaan ye hai ki inke waseele se jungo mein islami faujo ko fatah haasil hoti hai
 Huzoor Mufti E Aazam Hind Farmate hain..
Wasl E Moula Chahte Ho To Waseela Dhoond Lo
Be Waseela Najdiyon Hargiz Khuda Milta Nahin
Hadees No. 2
Hazrate Usman Bin Hunaif رضي الله عنه se marvi hai ki ek Sahab jo Naabina the Huzoor Nabi E Kareem  ki khidmat me Haazir hue aur Arz kiya Yaa Rasoolullah  mere liye Allah Ta'ala se dua kijiye ki meri binayi wapas Aa jaye to Huzoor  ne irshad farmaya ki tum chaho to main dua karu agar chaho to sabr karo aur ye sabr karna zyada accha hai wo sahab farmane lage Huzoor Dua farma dijiye to Rasoolullah  ne unko huqm diya wo achhi tarah Wuzoo kare aur fir ye dua padhe
 Aye Allah Main Tujhse Dua Mangta hu aur tere Taraf teri Nabi Muhammed   ko waseela banakar mutawajjah hota hu jo Rehmat wale Nabi hai Aur Yaa Rasoolullah main Aap ke waseele se Apne Rab se Dua karta hu Taaqi meri ye haajat puri ho aur Aye Allah tu Huzoor  ki Shafa'at mere haq mein qubool farma
Tirmizi Jild 2 Safa 196
Mishkat Safa 219
 Is Hadees mein naabina Sahabi ka Huzoor  ki khidmat mein Apni haajat barayi ke liye jana waseela hai aur Huzoor  ne inko jo dua taalim farmayi isme bhi Apne Waseele se dua mangne ka huqm diya Is hadees mein Rasoolullah  ko waseela banane Aap ki taraf mutawajjah hone balqi Aap ko Haazir ke seege se pukarne ka bhi zikr hai Yani Yaa Rasoolullah   kehna bhi jayaz hai
Ba-Khuda  Khuda ka Yahi Hai Dar Nahi Aur Koi Mafar Maqar
Jo Wahan Se Ho Yahin Aake Ho Jo Yahan Nahin To Wahan Nahin
 Hadees No. 3
Hazrate Anas Bin Maalik رضي الله عنه se marvi hai ki jab Madeena Munawwara me sukha padta to Hazrate Umar Farooq رضي الله عنه Hazrate Abbas Ibne Abdul Muttalib ke waseele se baarish ki dua maangte aur kehte the Yaa Allah Hum tere Nabi ke Waseele se Barish maangte the hum par baarish hoti thi ab hum tere Rasool ke chacha ke waseele se baarish maangte hai to Tu Humko Sairab Kar de Hazrate Anas رضي الله عنه kehte hai Hazrate Umar رضي الله عنه ki is dua se Khoob baarish hoti
Bukhari Jild 1 Safa 137
Mishkat Safa 132
Khud Khuda Be Waasta De Ye Hamara Munh Kahan
Waasta Sarkaar Hai Be Waasta Milta Nahi
 Hadees No. 4
Hazrate Abu Jauza رضي الله عنه ne farmaya ki ek martaba Madeene  munawwara mein sakht sukha pad gaya logo ne Hazrate Aayesha Siddiqua رضي الله عنها se shikayat ki Aap ne farmaya  ki Rasoolullah  ki Qabre Anwar ko dekho aur Iske thik upar Aasman ki jaanib chhat mein surakh kar do yahan tak ke Qabre Anwar aur Aasman ke bich koi pardah na rahe... logo ne aisa hi kiya to aisi zor ki barish hui ki khoob sabza ugaa hariyali chha gayi aur oont mote ho gaye yahan tak ke inki charbi  fati jaati thi aur is saal ko khush-hali ka saal kaha jane laga
Mishkat Babul Karamat Safa 545
 Is Hadees Se zaahir hai ki baade wisaal Huzoor  ko aur Huzoor  Qabre Anwar ko in logo ne baarish maangne ke liye waseela banaya jo sab sahaba aur tabaeen the aur khud Ummul Momineen Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها ne ye tarkib batayi to Zaahir ho gaya ki sahaba kiraam baade wisaal bhi waseele ke Qaeel the.
Jo Khuda Deta Hai Milta Hai Isi Sarkar Se
Kuch Kisi Ko Haq Se Is Dar Ke Siwa Milta Nahin
 Hadees No. 5
Hazrate Abdullah Ibne Deenar رضي الله عنه se marvi hai ki Hazrate Abdullah Ibne Umarرضي الله عنه jab safar ko nikalte yaa jab safar se wapas aate to Pehle Rasoolullah   ki qabre Anwar par haazri dete Huzoor  par durood padhte aur waha dua mangte fir laut jaate
Mu'atta Imaam Malik Baab Qabarin-Nabi'e  Safa 396
Hazrate Abdullah Ibne  Umar  رضي الله عنه ka safar se aate aur jaate waqt Qabre Anwar par khade ho kar Durood Shareef Padhna aur dua Mangna yaqeenan Baade wisaal Aap Ki Qabre Anwar ko aur Baad Wisaal Aap  ko Waseela banana hai warna Dua har jagah Maangi jaa sakti hai Qabre Anwar par Dua Mangne ka Aakhir aur kya matlab Hai ??
Ustaade Zaman Farmate Hai
Hashr Mein Ek Ek Ka Munh Takte Firte Hai Adu
Aafaton Mein Phans Gaye Unka Sahara Chhor Kar

Huzoor Mufti E Aazam Hind Farmate hai

Bas Yahi Sarkaar Hai Jisse Hamesha Paayenge
Dene Wale Dete Hain Kuchh Din Sadaa Milta Nahin
 Hadees No. 6
Hazrate Sa'ad Ibne Abi Waqaas رضي الله عنه  se riwayat hai ki Rasoolullah   ne farmaya ki tumhari Madad ki jaati hai aur tumhe Rozi Milti hai ye sab tum mein ke kamzor Logo ka waseela hai
Sahih Bukhari Kitabul Jihaad Saca 405
 Yahan Bhi Baat Kaabile Gour hai ki  "Jungo mein kamzor aur neko ke waseele se madad chahna " Goyaa Hazrate  Imaam Bukhari ke aqeede mein bhi Mehboobane Khuda ko bargahe Khuda mein Waseela Banana yaqeenan pasandeeda hai
Jab Unke Gadaa Bhar Dete Hain Shaaane Zamana Ki Jholi
Mohtaj Ka Jab Ye Aalam Hain To Mukhtar Ka Aalam Kya Hoga
Chahe To Isharo Se Apne Kaaya Hi Palat De Duniya Ki
Ye Shaan Hain Unke Gulamo Ki Sardar Ka Aalam Kya Hoga
Chapter VI 
Shafa'ate Ambiya Wa Awliya Wa Ulma
Hadees No. 1
Hazrate Jaabir Ibne Abdullah Se marvi hai ki Rasoolullah  ne irshad farmaya ki Har Nabi ko ek maqbool dua mangne ka haq diya gaya jo unhone apni ummat ke liye maang li aur Maine Apni is makhsoos dua ko Baroze Qayamat Apni Ummat ki shafa'at ke liye Bacha Rakha hai
 Muslim Jild 1 Safa 112
 Hadees No. 2
Sayyedna Usmane Gani رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah  ne irshad farmaya baroze Qayamat 3 qism ke log Shafa'at farmayenge pehle Ambiya Fir Olma Fir Shohada
 Ibne Maaja Zikre Shafa'at  Safa 330
 Mishkat Safa 494
Hadees No. 3
Hazrate Imran Ibne Haseen رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah  ne irshad farmaya ki Meri Shafa'at se kuch log Jahannam se Nikaale Jayenge Aur Jannat mein dakhil honge aur Jannat mein Inka Naam Jahannam Wale Hoga ( Yani Jahannam se Aane wale )
Bukhari Jild 2 Safa 971
 Yaani Log Jahannam Mein dakhil Ho jayenge Iske Baad bhi Shafa'at Jaari Rahegi Yahan Tak ke Aap  ki Shafa'at  Se jo log Jahannam mein jaa chuke honge wo waha se Nikal kar Jannat mein Laaye Jayenge
Hisaab ka Din kathin to hoga Magar Hume Unka Aasara Hain
Wo Aa Hi Jayenge Bakshwane Shafa'at  Unko Ataa Hui Hain
Hadees No. 4
Qayamat ke din Khuda E Ta'ala farmayega aur Ambiya wa Momineen Shafa'at kar chuke sirf Ar-Rahmur Rahimeen baaqi raha fir Apne Daste Qudrat ki ek Mutthi bhar jahannam se logo ko nikalega
Muslim Jild 1 Safa 103
Mishkat Safa Babul Houze Wash-shafa'at safa  490
 Hadees No. 5
Hazrate Abdullah Ibne Umar Bin Aas Se marvi hai ki Rasoolullah  ne Apne Mubarak Hatho ko uthaya aur Arz Kiya Aye Allah Meri Ummat Meri Ummat aur Aap  rone lage to Allah Ta'ala ne Hazrate Jibraeel عليه السلام ko huqm diya mehboob ke paas jao to wo Huzoor  ki khidmat mein Haazir hue aur pucha Huzoor  ne rone ka sabab bataya aur Parwar Digaar sab kuch Jaanta hai Allah Ta'ala ne Hazrate Jibraeel عليه السلام se farmaya jao aur Mehboob se keh do Aap ki Ummat ke Mamle mein Aap ko Raazi aur Khush Kar denge aur Aap ko gamgeen Nahi Hone Denge
Muslim Jild 1 Baab Dua Un Nabi  Li Ummatihi Safa 113
Fiqre Ummat Mein Raato Ko Rote Rahe
Aasiyoñ Ke Gunaho Ko Dhote Rahe
Tum Par Qurbaan Jaañ Aye Mere Mehjabeen
Tum Par Har Dum Karodo Duroodo Salaam
Hadees No. 6
Hazrate Abdullah Bin Abijada'a رضي لله عنه se marvi hai ki Maine Rasoolullah  ko farmate hue suna ki meri Ummat ke ek shaksh ki Shafa'at se itne log Jannat mein Daakhil honge Jinki Taadad Qabeela Bani Tameem ke logo se bhi zyada hogi
Tirmizi Jild 2 safa 67
 Mishkat Safa 494
 Hadees No. 7
Huzoor  ne irshad farmaya meri ummat ke kuch log Kayi giroh ki Shafa'at karenge aur kuch kisi khandan ki aur kuch kisi ek shaks ki Shafa'at karenge yahan tak ki log inki Shafa'at se Jannat mein Dakhil Ho Jayenge
 Tirmizi Jild 2 Safa 67
 Saabit hua ki Huzoor  ki ummat ke Aap ke Aise gulam bhi honge  Jinki Shafa'at se Allah Ta'ala Bahot Saare logo ko Jannat Ataa Farmayega Aur Inme olma aur Shahidaane Islam ka khaas Muqaam hoga
Mere Taaje Shariat Jaa-Nasheene Mufti-E-Aazam
Inhi Ke Sadqe Me Aaqa Hume Jannat Ataa Kar De



Chapter VII 

Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi 




 Hadees No. 1

Hazrate Anas رضي الله عنه  se marvi hai ki ek dehaati Aadmi Rasoolullah  ki khidamte Aqdas mein Haazir hua aur pucha Yaa Rasoolullah   Qayamat Kab Aayegi ? Farmaya tere liye kharabi ho tune Qayamat ke liye kya tayyari ki hai ? Arz kiya Huzoor Maine to tayyari nahi ki lekin main Allah Aur Uske Rasool se muhabbat karta hu farmaya to tum Uske sath rahoge jisse muhabbat karte ho Fir Hum logo ne arz kiya Yaa Rasoolullah   kya ye sab ke liye hai Farmaya haan . Raawi kehte hai is baat se hum behad khush hue

Bukhari Jild 2 Kitabul Aadab Safa 911
Muslim Jild 2 Safa 331

 Is Hadees se Achhi tarah se maloom ho gaya ki Sahaba E Kiraam sab ke sab Aashiqane Rasool the isi liye jab unhone ye suna ki jo jisse mohabbat karega wo uske Sath Rahega to wo nihayat khush hue. Ye bhi maloom hua ki wo log muttaqi parhezgaar aur deendar hone ke bawajood Apni nijaat ka zariya mahaz Aamale saaliha ko nahi balqi Mohabbate Khuda wa Rasool ka khayal karte the

 Khulasa ye ki jo log deendaar bante hai aur unhe Allah Wa Rasool se muhabbat wa Ishq nahi hai wo galat raaste par hai han wo log bhi dhoke  me hai jo khaali Naam ki muhabbat karte hai aur unhe Ahkaame Shariyah ki Qat'an fiqr nahi Haraam wa Halaal mein koi farq  nahi Namaz Roza ke paband nahi gunaho me lage rehte hai

Hashr Mein Nidaa Hogi Ye Gulaam Kiska hai
Mujhko Dekh kar Keh De Yaa Shahe Zaman Mera

 Hadees No. 2

Hazrate Umar Farooque رضي الله عنه ne dua Farmayi ki Yaa Allah tu Mujhko Apni raah mein Shaheed Hone Ka Sharaf  ataa farma aur Mujhko Apne Rasool ke Shahar mein mout ataa farmaa

Bukhari Jild 2 Safa 253

 Is Hadees se zaahir hota hai ki Hazrate  Sayyadna Umar Farooque رضي الله عنه  ka Ishqe Rasool is hadd tak pahoch gaya tha ki shahare Rasool ke alawa kisi aur jagah inko mout bhi pasand na thi aur Khuda E Ta'ala ne inki dono khwahishat puri farma di aur Hazrate Umar Farooqur رضي الله عنه  ko Madeene Shareef mein hi shahadat Naseeb hui aur Huzoor  ke Rouze Mein Dafn hone ka bhi Saharaf haasil hua

Yaa Ilahi Ataa Ho Shahadat Ki Mout Mujhko Madeene Mein
Ameerul Momimeen Hazrate  Farooqe Aazam Ke Waste

 Hadees No. 3

Hazrate Anas رضي الله عنه farmate hai ki Jab Rasoolullah  ne sar ke Baal mubarak mundwaye to Aap  ke Baal Mubarak Haasil karne walon mein Sabse pehle Hazrate Abu Talha the

Bukhari Jild 2 Safa 29

 Hadees No. 4

Mash'hoor Taabayi Hazrate Ibne Aseer رضي الله عنه farmate hai ki maine Hazrate Ubaida رضي الله عنه  se Arz kiya ki mere Paas Rasoolullah   ka Ek baal mubarak hai jo Humko Hazrate Anas رضي الله عنه  ya unke ghar walo ke zariye haasil hua To Hazrate Ubaida رضي الله عنه  ne farmaya ki mere Paas Huzoor  ka ek Baal Mubarak hona mere liye Duniya Aur Uske Saare Saaz Wa Saaman se zyada mehboob hain

Bukhari Jild 1 Safa 29

 Is Hadees Ko Padh kar Andaza lagaiye ki Huzoor  se Sahaba E Kiraam ko kis darja muhabbat thi ki Aap  ke Ek Baal Mubarak ko Qayinaat ki Saari Doulato se zyada pyara samajhte

Nabi Gensoo Tarashwate Sahaba Lete Haathon Mein
Zameen Par Girne Kab dete Mere Sarkar Ke Gensoo

 Hadees No. 5

Hazrate Abu Huzaifa رضي الله عنه kehte hai ki Dophar ke Waqt Huzoor  Hamare paas tashreef laaye to Aap  ke liye wuzoo ka paani laaya gaya Aap  ne Wuzoo farmaya to log Aap  ke wuzoo ke paani ko lekar apne Jismo par malne lage Fir Aap  ne Zuhar Ki 2 Raka'at Namaz Padhi aur Asr ki Bhi 2 Raka'at Namaz Padhi aur Aap  ke Saamne Neza tha Hazrate Abu Moosa Ash'ari farmate hai ki Rasoolullah ne ek pyaala maanga Jisme paani tha pehle Aap  ne Apna Munh aur Apne Haatho ko usme Dhoya aur Isme Kulli farmayi aur fir Hum Dono ( Hazrate Abu Moosa Ash'ari aur Hazrate Bilal رضي الله عنهم  ) se Farmaya is paani ko piyo aur isko Apne chehro aur seeno par daal do

Bukhari Jild 1 Safa 31

  Ye Ek Safar Ka Kissa tha Jisme Huzoor  Ne Zuhar Aur Asr ki 2 Raka'at bataur Kasar Adaa farmayi thi aur maqaame Ji'arrana mein Aap  ka qayaam tha aur Bukhari Shareef mein Dusri jagah hain ki jab Wuzoo Ka Dhowan aur kulli kiya hua paani Huzoor  ne ataa farmaya aur ye dono Hazraat jab is paani ko bataure tabarruk pi rahe the aur apne chehre aur seene par daal rahe the to Ummul Momineen Sayaddena Umme Salma رضي الله عنها jo kheme ke andar se ye mulahija farma rahi thi Unhone farmaya Thoda Apni Maa Yani mere liye bhi bachaye rakho

 Hadees ke Alfaz ye hai ki Hazrate Umme Salma رضي الله عنها ne parde ke pichhe se Aawaz lagayi ki thoda mere liye bhi bachalo to unhone thoda paani unke liye bachaya

Bukhari Jild 2 Safa 620

Jinke Talwo ka Dhowan Hai Aabe Hayaat
Hai Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi

 Hadees No. 6

Ek aurat ne ek kinare wali chadar Huzoor  ki khidmate aqdas mein pesh ki aur arz kiya ki ye maine Aap ke liye Apne hath se buni hai to Huzoor  ne isko qubool farma liya aur Aap  ko isko zarurat bhi thi Aap  iska tahband baandh kar hum logo mein tashreef laaye to ek sahab ko wo Nihayat achi maloom hui aur unhone isko Huzoor. se maang liya sahaba e kiraam ne usse kaha ki tumne achaa nai kiya Huzoor  ko aaj kal iski zarurat thi aur tumko maloom hai Huzoor  maangne walo ko mana nai farmate to wo sahab kehne lage ki maine wo chadar khuda ki qasam pehenne ke liye nahi li hai balqi isliye maangi hai taaqi wo mera kafan ho jaye Hazrate Suhail رضي الله عنه raawi e  hadees farmate hai ki wo chadar waqayi un sahab ke kafan mein kaam aayi

Bukhari Jild 1 Safa 170

Tum Khaaqe Madeena Mere Laashe Pe Chidakna
Fir Malna Kafan Par Jo Mile Unka Paseena
Har Dum Ho Mera Wird Madeena Hi Madeena

 Hadees No. 7

Hazrate Usman Ibne Abdullah رضي الله عنه  se riwayat hai ki mere ghar walo ne mujhko Ummul Momineen Hazrate Umme Salma رضي الله عنها ki khidmat mein ek bartan mein paani lekar bheja aur jab kisi shaksh ko nazar lag jaati ya use koi pareshani ya beemari hoti to Hazrate Umme Salma رضي الله عنها Huzoor  ka Moo E Mubarak Nikaal kar laati aur wo unke paas ek chaandi ki shishi mein rehta tha fir use paani daalkar hilaya jaata aur wo shaksh us paani ko peeta Hazrate Usman رضي الله عنه kehte hai ke maine us bartan mein jhanka to mujhe chand surkh rang ke baal dikhayi diye

Sahih Bukhari Jild 2 Safa 875
Mishkat Babul Faal safa 391

 Hazrate  Umme Salma رضي الله عنها  Huzoor  ki zouja e mohtarma (Paak Biwi)  Hain jo Huzoor  Baal ko dhowan Mareezo ko pilati thi aur Mareez sheefa paate the  aur ye sahaba ka zamana tha lekin kisi ne ye nahi kaha ki ye Shirq o Bid'at aur Naa jayaz hai

Ghumati Umme Salma Paani Mein Moo E Mubarak ko
Mareezo Ko Sheefa Dete Mere Sarkar Ke Gensuu

 Hadees No. 8

Hazrate Abu Ayyub Ansari رضي الله عنه  ka bayan hai Rasoolullah  mere ghar mehman hue aur main balai (upari)  manzil  mein rehta hu aur Huzoor  niche wali manzil mein Ek Baar Raat Mein Bedaar hua to ehsas hua ki Main upar chalta hu aur Huzoor  Niche tashreef farma hai is khayal se ek kone mein baith kar jaagte hue Raat guzari subah ko Huzoor  khidmat mein Haazir ho kar Arz ki to Huzoor  ne irshad farmaya ki nichli manzil mein hume zyada aaram hai Arz kiya Yaa Rasoolullah   lekin main is chat par kaise reh sakta hu jiske niche Aap ho iske baad Huzoor Upar ki manzin mein tashreef le gaye aur Abu Ayyub Nichli manzil mein rehne lage Huzoor  ke liye khana tayyar karte Jab Huzoor  khana tanawul farma lete baad mein khud khate bache hue khane ke baare mein puchte ki Huzoor  ne kidhar se khaya hai fir khaas isi jagah se khate

Sahih Muslim Jild 2 Safa 183

 Ye us waqt ka qissa hai Jab Huzoor  Hijrat farma kar Madeena Shareef tahsreef laye aur Shuru mein Aap ka muqaam Hazrate Abu Ayyub Ansari ke makaan mein hua tha

Isse sabaq lena chahiye un logo(Bad Aqeeda ) ko jo sirf Namaz Roza wa ibadat karte hai aur jinko kitabe zindagi me koi Adab wa Tazeeme Nabi  Nahi hai

Aur Tum Par Mere Aaqa Ki Inayat Naa Sahi
Najdiyo ! Kalma Padhane Ka Bhi Ehsaan Gaya 

Chapter VIII 

Bad-Aqeedah Aur Gumrah Firqo Ki Pehchaan




 Hadees No.1



Rasoolullah  ne irshad farmaya Meri Ummat 73 giroh mein bath jayegi Jinme 72 Jahannami Honge aur sirf Ek Jannati Arz Kiya Ki Yaa Rasoolullah  Jannati Firqe Ki Kya Pehchan hai ? Aap  ne farmaya jo meri aur mere sahaba ki Seerat Ikhtiyaar karega wo Jannati Hai



Mishkat Safa 30

 Isiliye To Aala Hazrat Kya Khoob Farmate Hai

Ahle Sunnat Ka Hai Beda Paar As'haabe Huzoor
Najm Hain Aur Naav Hain Itrat Rasoolullah  Ki

 Najm = Taare  Itrat = Aal Aulad Yaani Ahle Bait

 Hadees No. 2

Hazrat Ali رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah  ne irshad farmaya Akhir Zamane mein kuch Aise log paidah Honge jo Ba-aitebar umr kam honge Aql se paidal honge Inki Baate Sabse behtar hogi Imaan Inke halaq se niche nahi utrega Deen Se Aise Nikle hue Honge jaise teer Kamaan  se nikal jaata hai to Tum unhe jahan paoge Qatl karo inke Qatl Karne mein har qatl karne wale ko Qayamat ke Roz Sawaab Milega

Bukhari Jild 2 Safa 1024

 Aage ye bhi hai Tum log apni Namazo Rozo ko unke muqabile nihayat Kamtar khayal karoge

 Aaj Kal waqayi baatil firqo mein ye nishaniya paayi jaati hai Ba-zaahir bade bhole maloom hote hai aam taur par log kehte hai unhone bahot achhi baate batayi , bahot pabandi se Ibadat karte hai aur ye Saari nishaniya wahabiya devbandiya aur deegar bad-aqeedah Jamaat walo mein poore tareeqe se paayi jati hai

Gulame Raza Inse Dhokha Naa Khana
Aur Raza Ka Ye Paigaam Naa Bhool Jana
Raza Nafs Dushman Hain Dum Mein Naa Aana
Kaha Tumne Dekhe Hain Chandrane Wale

 Hadees No.3

Bad-Aqeedah Aur Gumrah logon ki nishaniya batate Hue Huzoor  Ne ye bhi farmaya Ke Aankhen dhasi Hui Gaalon Ki Haddi uthi hui Peshani ubhari hui Bhaari Dadhi Sar Mundaye hue aur Tehband Upar Ko chadhaye hue Hadees ke Akhir mein Hai Rasoolullah  ne irshad farmaya is Nasl Ke Log Quraane Kareem ki tilawat to Ro-Ro karenge magar inke galo se nahi utarega Deen se aise nikle hue honge jaise Kamaan se teer Huzoor   irshad farmaya Agar Main Inka Zamaana Paau to Inhe Qoum Samood Ki tarah Halaaq wa qatl karu Yani unhe Bilkul mita du

Bukhari Jild 2 Safa 633

 Unhe Tahbandi paajame aur munde Saro se bhi Bad-Mazhabo ki pehchan ki ja sakti hai halanqi Sar Mundana unche pahanna koi gunah ya Khilafe Shara'a nahi hai balqi Sunnat hai lekin yahan matlab ye hai ki ye log in baato par zyada Zor Denge aur bilkul Farz khayal karenge Yahan Tak ki Shaikh Mohammed Ibne Abdul Wahab Najdi ke baare mein Mash'hoor hai ki agar koi sar na mundaye to wo uska galaa katwa deta tha

Najadi Ke Ganje Sar Par Ek Zor-Daar Thappad
Jaldi Laga Laga Har Ek Yaar Aaye

 Hadees No.4

Hazrate Abdullah  Ibne Umar  رضي الله عنه se riwayat hai ki wo Kharijiyon ko makhlooq mein sabse bura jaante the ki in logon ne Quraane Kareem ki Jo aayate Kaafiron  ke Baare Mein hai unhe Musalmano par chaspa kar diya

 Bukhari Jild 2 Safa 1024

 Kharaji wo log hai Jinhone Hazrate Ali رضي الله عنه par shirq ka fatawa lagaya tha ( Maaz'Allah) Aur Jo Qurane Kareem ki Jo Aayate Kaafiro ke haq mein Naazil hui Hai unko Momineeno ke upar thopte hai

 Hadees No.5

Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah   ne dua ki aur arz kiya Aye Allah Hamare Mulqe Shaam mein barkat de Hamare Yaman mein barkat logo ne Kaha Yaa Rasoolullah  aur hamare Najd Mein ? Huzoor  ne arz kiya Aye Allah Hamare Mulqe Shaam mein barkat de Hamare Yaman mein barkat logo ne Kaha Yaa Rasoolullah  aur hamare Najd Mein ? Raawi kehte hai ki mera khayal hai ki Teesri baar Mein Aap  ne farmaya ki Najd Mein Zalzale Aur Fitne Honge aur Shaitan Ka Sing Wahi se niklega

 Bukhari Jild 2 Safa 1051

 Ye Najd Jiske Baare Mein Huzoor  ne bajaye Khairo barkat ki dua ke is ilaaqe ko fitne ki Zameen Farmaya ki waha Zalzale aur fitne honge aur shaitan ka sing wahi niklega Isi Zameen se 1115 Hijri Mein Shaikh Mohammed Abdul Wahab Najadi paidah hua jisne wahabiyyat aur Allah ke Rasool  aur Buzurgane deen ki shaan mein gustakhiyon ki buniyad Daali Aur ye Najadi Bad-Aqeedah Gumrah log Aaj bhi Isi Mishan Par Hain.

Aap Tamam Se Guzarish hai In Ahadees Ko Khoob Aam Karein Apne Pass B Mehfooz Rakhe awr Apne Dost Ahbaab Rishtedaar Jaan Pehchan awr unko B Pohanchane ki Koshish karein Jinhe nahi jante ho Hamara Maqsad yehi hai ke Hamara Koi Bhai Ya Behan Kam Ilmi Wajah se In Badmazhabo Ka Shikar na hojaye.

ALLAH Ta'ala Sabko Kehne Sunne se Ziada Amal Ki Taufeeq Ata Farmae

آمین یا رب العالمين والصلاة والسلام على أشرف الأنبياء والمرسلين صلى الله عليه وسلم 

Post a Comment

0Comments

Please Support Us, Share Website With your Family, For making Muslim Strength Strong.

Post a Comment (0)