Yazeed Paleed Lanati

لبیک یارسول اللہﷺ
0

 

Aaj kal Market me Ek se Ek new – new Namune Aa rahe hain unhi Namuno me se Ek Namune Wahabhi Hain Jo Yazeed Paleed Lanati ko Achha kehte hain or uske Sath رحمتہ اللہ علیہ lagate hain Maazallah Yazeed Paleed Lanati ke Khud ke uske bete ne Apne baap ki wasiyat ko Qubool nahi kiya Badhshah banne ko mana kar diya Yazeed ke khud ke sagge bete ko maloom tha Uska Baap Fasiq o Fajir hain Imam Hussain رضي الله عنه ka Qatil hain . Lekin Aaj kal ke Naam Nihaad Victorian Ahle Hadees Yazeed ke Najayaz bachhe use Achha kehte hain Is Topic par Ham yazeed Paleed Lanati ki Haqiqat Janenge

Alahazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمتہ اللہ علیہ Farmate Hain :

Beshak Yazid ‘Paleed’ tha, Use Paleed kehna aur likhna jayaz hai, Use Nasibi aur Ahle Bait ke dushman ke siwa koi ‘Rahmatullah alaih’ nahi kahega

Ref: Fatawa Razwiyyah 14/64

Hazrat Imam “Haris Bin Abi Usama” Al Mutawaffah “282” Hijri

&

² Student of Ibn e “Tayymia” Hafiz Ibn e “Kaseer” Wagera Hadith Likhte Hain

Hazrat Abu Ubaidah Bin Al Jar’rah رضي الله عنه Riwayat Hai Ke “Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Meri Ummat Ka Muam’la Adal-o-Insaaf Par Qayam Rahega Al-Bat’ta Banu Ummaiyyah Ka Ek Shakhs Is Ummat Me Bighad Fitna Paida Karega Aur Us Shakhs Ka Naam “Yazeed” Hoga_

Is Hadees Ki “Sanad” Ke “Rijaal” (Raawi) “Siqah” Aur “Sahih” Hai

Discussion”

Yani Kaun Ummat Me Sabse Pehle Fitne Paida Karega Aur Wo Kaun Hoga Aur Kis Qabile Se Hoga Uska Naam Kiya Hoga Sab Huzoor ﷺ Ne 1400 Saal Before Bata Diya_ 61 Hijri Me Yazeed Ne Ahle’bayth Aor Ahle’Madina Ko Qatl Karke Ummat Me Fitne Fasad Paida Kiya Aur Aaj Yazeed Ki Ruhani Najais Aulade Wahabi Ahle’hagees Deobandi Saudi Ke Muqallid Najdi Apni Kitabo Aur Apne Bhashan Me Fitna Fayla Rahe Hai

References Books (Jame al-Masanid wal-Sunan /Vol 8/ Page 4242)

HAZRAT E SYEDNA ABU HURAIRA رضي الله عنه NE YAZEEDI HUKUMAT SE PANAH MANGI*

Hazrat Imam Ibne Hujar Asqalani رحمتہ اللہ علیہ Bukhari Sharif Ki Sharah Mein Likhte Hain Jiska Mukhtasar Tarjama Pesh Hai, Farmate Hain:

Hazret Abu Huraira Bazar Mein Tashrif Leja rahe Thy Aur Dua Mang Rahe Thy: “Aye Mere Allah Mujhe 60 Hijri Aur Ladkon Ki Hukumat Tak zinda Na Rakhna”

Is Mein isharatan Bayan Kiya Gaya Hai Ky Pehla Haakim Ladka 60hijri Mein Takht Nashin Hoga, Chunanchae Aisa Aisa Hi Howa Yazeed isi San (year) Mein Haakim Bana un Mohallak Haakim Ladkon Mein Se pehla Yazeed Hai Jaisa ky Hazrat Abu Huraira→→→ Ky Qaul Mein 60 Hijri Aur Ladkon Ki Hukumat Kay Alfaz isper Dalalat Karte Hain Aur Yazeed Bade bade Shahron Se Tajarbekaar Buzurg Haakimon Ko Mazool Karke Unki Jaga Apne Rishtedaro Ladkon Ko Haakim Bana deta Tha……

{Fatah ul Bari Sharah Sahih ul Bukhari Page 10)*

Sahabi e Rasool Ibne Zubair ne Farmaya ke Yazeed Sharabi, Zaani, Namaz Chodhne Wala Fasiq o Fajir hai.

References: Al bidayah Wan Nihayah Page279 Ibne kaseer

Yazeed ke Hukum Par Ibne Uqba Ne Makkah Par Humla kiya or Kaaba Shareef Par Aag ke Gole Barsaye or phir Patthar barsaye Or Kaabe Ko Jaladiya.

References: Ibne kaseer in Al bidayah Wan Nihayah Vol-8 Page286

Yazeediyo ne Madinah Shareef Ko 3 din ke Liye Mubah kardiya Is 3 Din me Khoon Bahaya Qatl kiya Gaya or Hazarou Aurtoun ki Izzat Se khela

References: Ibne Kaseer in Al bidayaha wan Nihayah Vol-8 Page281

Imam Tabri Likhte hain ‘Logon Ne Madeena Shareef Mein Aakar Ahle Madeena Ke Samne Yazeed Ko Sabba Wa tam Karna Shroo Kiya Kaha Hum Aise Shaks Ke Paas Hokaer Aaye Hain Jo Koi Deen Nahi Rakhta Sharab Peeta Tanbora Bajaa Hai Uski Sohbat Mein Gaane Waliyan Gaana Gaaya Bajaya Karti Hain Kuttun Se Khelta Hai Luch Laundion Se Sohbat Rakhta Hai Tum Log Sab Gawah Raho Hum Ne Use Khilafat SE Maazol Kiya

Tareekh E Tabri vol 4 Page 252

Yazeed Paleed Lanati

Imam ibne Khaldun yazeed Palid Ke Taluk Se Likhte Hain Ke Yazeed Palid Ka Fisq Wa fujoor Jab Zahir Hogya Tu Sahaba Kiram Mein Yazeed Ke Taluk Se ikhtelaf Hogaya iske Baad Kai Sahaba Yazeed Palid Se Uski Bai Tod Kar Alag Hogaye

Muqaddima Ibne Kholdoon Vol 1 Page 393

Yazeed Palid Hazart ibne Zuber رضي الله عنه ki Nazar Mein:

Hazrat imam Jalaluddin Siyuti رحمتہ اللہ علیہ Likhte Hain 64Hijri Mahe Safar Mein Unahune (Yazeedion] Makka Ka Nuhasira Kar Liya Aur ibne Zube Jang Shuru Hogai Aur Minjneek Se Pathar Marne Lage Aur Un ki Aag Ke Sholon Se Kaaba Ke Parde Chath Aur Dunba Ke Singh Jalgaye Jo Hazrat Ibrahim Ka Fidiya Banakar Bheja Gaya Tha Aur Jo Us Zamane Se Kaaba Ki Chath Per Latke Chale Aate Thy isi Saal Nis Maah Rabiul Awal Mein Khuda E Ta,ala Ne Yazeed Ko Halak Farmadiya Aur Ye Khabar Makka Mein Ayen Jang Ki Halat Mein Pahunchi Hazrat ibne Zuber Ne Pukara Ke Aye Ahle Sham Tumhe Gumrah Karne Wala Margaya…

TAREEKH UL KHULFA PAGE 302

Yazeed Paleed Lanati

Yazeed Palid Sharab Ko Halal Samjhta Tha

Hazrat Mulla Ali Qari رحمتہ اللہ علیہ Farmate Hain “Yazeed Ke Kufr Mein ikhtelaf Hai Jo Khuch Usse Sarz Howa Hai Wo Uske Kufr Per Dalil Hai Maslan Khimar Ko Halal Qarar Dena Aur Syedna imam Hussain Ke Qatal Ke Baad Usska Ye Kehna Ke Main Ne Ahle Bait Ko uska Badla De Diya Hai Khuch Mere Badaun Ke Sath Maidan E Badar Mein Kiya Gaya Tha

Sharah Fiqah Akber Mulla Ali Qari page 218

Yazeed Paleed Lanati

Imam Hussain رضي الله عنه Ki Shahadat Par YAZEED Paleed Lanati khush Hua MaazAllah.

Reference: Ibne Kaseer In Albidayah Wan Nihayah, Vol-8 Page294.

Yazeed Paleed Lanati

Post a Comment

0Comments

Please Support Us, Share Website With your Family, For making Muslim Strength Strong.

Post a Comment (0)