Meraj Un Nabi

لبیک یارسول اللہﷺ
0

 


I) Meraj Me 50 Se  5 WAKT Namaz Hone Ka Bayan
Kuch badmazhab Aise Hattdharm hote hai unhe jab ye tamam dalil dedi jaaye uske baad bhi wo ye kehte milenge k nahi nahi Meraj me Jibril عليه السلام  Ka deedar Hua tha naaki Allah سُبْحَانَهُ وَ تَعَالَى ka ye wo hai jo Namaz sabse zyada padhne ka daawa karte hai jo kaum e wahabiya hai hadees padhte hai par inke halak se niche nahi utarti hai halanki 50 wakt se 5 wakt waali hadees me hi saara khulasa hai shayar ne kya khoob manzar kashi ki hai
           JO ISHQ E NABI CHODKE PADHTE HAI BUKHARI
      AATA HAI BUKHAR UNKO BUKHARI NAHI AATI
Hazrat Anas Bin Malik رضي الله عنه se meraj ki tavil rivayat hai
Jab ye Tohfa E NAMAZ ummat k liye jo 50 wakt thi leke Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم aarahe the to  

“Aate Huwe Jab Aap Hazrat  Moosa عليه السلام k pass Pahuche to wo arz Guzar Huwe k Aap K RAB NE AAPKI UMMAT PE KYA FARZ FARMAYA ?
RASOOLALLAH صلى الله عليه و آله وسلم ne Farmaya 50 Namazein.
Is par Moosa عليه السلام ne Arz Ki k Wapas Jaaye aur Apne RAB se Kami Ka Suwal Kare kyuki Aapki Ummat se ye na hosakega Maine Bani Israil Ko Aazma Kar Dekh Liya Hai Unka Tazurba Kar Liya Hai.
Chunache Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم RAB Taala Ki Baargah Me Hazir Huwe Aur Arz Kiya Aye Mere Rabb Meri Ummat Par TAKHFEEF farma Allah Ne 5 Namaze Kam Kardi.
AAP Wapas Hazrat Moosa k pass tahreef laaye aur farmaya 5 kam kardi hai. Hazrat Moosa ne phir wohi arz kiya k Aapki Ummat se Ye Na Hosakega Apne Rab k pass wapas jayiye aur kami Ka Suwal kijiye.
Ye Silsila Yuhi chalta Raha k Aap Rab ki Bargaah me Hazir Hote aur Rab Taala Har Baar 5 Kam Kardeta. Phir Hazrat Moosa k pass Tashrif laate wo aur kami ka arz kar wapas Rab ki Bargaah me bhej dete. Hatta ki ALLAH Ne Farmaya Aye Muhammad DIN AUR RAAT me ye 5 namaze’in  hai har Namaz ka Sawab Dus Gunah Hai Is tarah ye 50 namazein Huwi.
Pyare Aake Ne ye baat Hazrat Moosa ko batayi unhone phir wohi arz ki k jaaiye Aur Kami ka Suwal kijiye.
Is par Rasool Allah ne farmaya MAI APNE RAB K PASS ITNI BAAR GAYA HOON K AB MUJHE HAYA AATI HAI.
References :
(Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitab No 08 Kitab Us Salat, Baab : Kaifa Furuzati Salatal Isra, Hadees : 349)
(Sahi Bukhari, Vol : 03, Kitab Ut Tawheed, Hadees : 7517)  
(Sunan  Nasai, Vol : 01, Kitabus Salat, Hadees : 448)

Sahi Muslim Sharif me mazid aaya
“Aur Jo koi Neki Ka Irada kare aur na Kar Sake to Ek neki aur Koi karle to 10 Nekiya Likhi Jaygi aur Koi Burayi ka irada kare aur Usse baaj rahe to uske aamal koi burayi nahi likhi jaaygi aur karliya to Ek Burayi Likhi Jaygi” (* rest above hadees is same)
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitab Ul Imaan, Hadees : 162)

Ab Is hadees me bahot se masle clear huwe hai unme se kuch yaha hum likh rahe hai.
1)FAZAIL E UMMAT E MUSLIMA :
Muslim Sharif ki Hadees e Sahi se wajeh huwa k ye ummat, Ummat e Muslima ki afzaliat un tamam ummato me sabse afzal hai jiski wajah Sirf aur sirf Huzoor Rehmat e Aalam صلى الله عليه و آله وسلم ki jaat e Aqdas hai warna pichle ummat ibadat jitna kare bas sawab utna tha hatta k baaj ummat to gunaah naa kare bas us gunaah ka dil me irada karle to gunaah naam e aamal me aajate is ummat ki fazilat k kya kehne hai padhte bas 05 wakt hai par azr o sawab 50 wakt ka Neki ka irada karle aur neki naa kar sake to bhi sawab aur burayi ka banda irada karle aur burayi naa kare jab tak gunah nhi likha jaata.
2) ALLAH KA DEEDA AUR KALAAM KA SABOOT :
Kuch Shakhs bas hasad o bugz me ye bhi kehte dekhe jaate hai k Nabi e Rehmat صلى الله عليه و آله وسلم ne Allah سُبْحَانَهُ وَ تَعَالَى  ka nahi Balki Jibril E Ameen ka Deedar Kiya hai wo bataye  jara namaz ki kami karane Huzoor Rehmat e Aalam صلى الله عليه و آله وسلم Kiske paas gaye the  Kya Namaz Ka Tohfa Jibril E Ameen عليه السلام  ne diya tha ? Namaz ALLAH ne diya Kalam bhi ALLAH se huwa Deedar bhi RAB ka huwa hai.
Agar deedar Jibril عليه السلام  Ka huwa to phir Namaz kaha se mil gayi Moosa عليه السلام  ne Baar baar ye kyu kaha k APNE RAB Se namaz ki kami karaye ?? ye saabit hota hai K RASOOL ALLAH صلى الله عليه و آله وسلم ne RAB ka hi Deedar kiya hai jiske saboot humne hadeeso se diye hai. ALHAMDULLILAH.
03) MOOSA عليه السلام Ka Hi Intekhab Kyu ?
ye bhi ek ahem nukta Namaz to bahot se Ambiya Alaihisalam ki ummat pe farz ki gayi jo ummat se ada naa huwi phir 07 we Aasman me Hazrat MOOSA عليه السلام hi ko kyu rakha gaya koi dusre Ambiya  عليه السلام
bhi hosakte the Na ? Jabki Safar e Meraj Huwa to Jaate Wakt 07 we Aasman pe Hazrat Ibrahim Khalilullah  عليه السلام the ab aate wakt waha Hazrat MOOSA عليه السلام se mulakat huwi wajah kya thi ?
Batana samjhana ye maksad tha Ek wo wakt tha Jab MOOSA عليه السلام ne ilteza ki thi Rab k deedar ki Jawab Diya لَن تَرَانِي Aye Moosa Nahi Dekh Sakega  Surah Aaraf Ayat 143 me is wakya ka zikr hai jab Moosa عليه السلام ne Dekhne ki ilteza ki wo makam Kohetoor tha aaj wo wakt aagaya hai  par jab Habeeb عليه السلام  ko deedar karaya wo LAMAKA tha Mehboob ne Rab ka deedar kar liya ab Moosa عليه السلام ne Mehboob ki aanko se tazzaliat e Rab ko dekha.
04)HUZOOR K ILME GAIB K EK AITRAAZ KA JAWAB
Ek badmazhab wahabi maulvi ne Mujhse kaha tha k Nabi ko Gaib ka ilm nhi tha hota to ye baar baar 5 - 5 k liye kyu jaate ek saath karlete ?  
ALLAH KO ILM THA YAA NAHI k Bil aakhir namaz 5 wakt hogi ?
Wahabi Shaikh Haa ALLAH to AALAMUL GAIB hai sab jaanta hai.
Phir ALLAH ne hi direct 05 kyu naa kardi ?
WAHABI SHAYKH SHARM SE PAANI PAANI !!
Hum Kehte hai jab Bad aqeedgi dil o dimaag me aajati hai to akal maardi jaati hai ALLAH JAB DEEN LETA HAI AKAL CHEEN LETA HAI kaash akal laga li hoti apne aapko ALLAH WAALO SE BUGZ ME NAA RAKHA HOTA to samajh aajata aitraaz to Huzoor k ilme gaib pe kiya tha magar iska aitraaz kaha tak pahuchta hai sochte nhi hai ye akal k maare kuch jagah kuch raaz o hikmat hoti hai jo MEHMOOB O MUHIB jaante hai par ye akal k maare har jagah iblees k isharo pe nachte hai.  
05)BAAD AZ WISAAL AMBIYA KA TAWASSUL - ISTIANAT  KA SABOOT :
Allah jaanta tha jamana aisa bhi aayga k log Islam ka libada odhenge aur Ambiya عليه السلام  ki Baad wisal TAWASSUL aur ISTIANAT pe shirk ki tohmat lagaynge  Hazrat Moosa عليه السلام  hamari 50 wakt namaz se 5 wakt tak k darmiyan waseela bane hai ya nahi kya ALLAH bina Moosa عليه السلام  k direct kam na kar sakta ? Beshak Kam kar deta.  Yaha Moosa عليه السلام  Namazo ki kami me madadgaar huwe.
Aise kayamat tak aane waale Kharjiyo ko Jalil karna tha jo ALLAH k Nabiyo ko be ikhteyar samajhte hai aur kehte hai k ab MUHAMMAD hamare koi kaam k nahi Nauzubillah sirf mehshar me kaam aaynge agar AMBIYA عليه السلام  tere kaam naa aate ho to aaj se 50 wakt shuru kardo padhna.
Hamara IMAM To bol chuka
               AAJ LE UNKI PANAH AAJ MADAD MAANG UNSE
                PHIR MAANEGE KAYAMAT AGAR MAANGAYA
6) ALLAH K NABI عليه السلام   JISM E JAHIRI K SAATH JAHAN CHAHE JAA SAKTE HAI :
Ambiya Jahan Chahe baad az wisal bhi  Jism e Jahiri k Saath aaj jaa sakte hai  hai jab Safar e Meraj Shuru Huwa Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Ka Gujar Huwa to Dekha Moosa apni Kabr me Masroof e Salat the phir Moosa aur tamam Ambiya Alaihimusalam Masjid E Aqsa me Huzoor e Akram صلى الله عليه و آله وسلم  ki Imamat me Namaz padhi aur digar Ambiya Alaihi Salam ka Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Ko Aasmano me Milna is baat ka saboot hai k Ambiya jahan chahe jaa sakte hai.
Ab Bhi kisi ko sab padhne samajhne k baad na akal aaye ya na samajh aaye to unka ilaaz nahi hai unke dilo me phir AMBIYA k liye bugz o kina hai aur unhe apne imaan ka jaiza lena chahye hamara to challenge hai pura Safar e Meraj Aqaid e Ahle Sunnat ko describe karta hai ALHAMDULLILAH
II) MERAJ UN NABI صلى الله عليه و آله وسلم JISMANI HONE KA SABOOT
Hum Ahle Sunnat Wa Jamaat ka aqeeda ye hai k Meraj Jism o Jimsaniat k saath huwi. Kaum e Wahabiya me is masail ko leke sakht ektelaf dikhta hai inke baaj mullah Meraj Ko Jismani maante hai baaj Roohani goya har Mullah ek alag apni khud sakhta tehkeek kaa maalik hai.
Hum Is masle ko 02 hisse me rakhnge Awaal kitabo se dalail dusra Akli dalail   : Kitabo se Dalail  
Proof 01 :
Allama Hazrat Mullah Ahmad Jivan رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه (Ustad e Badshah Aurangzeb Aalamgir Alaihi Rehma) ne tehreer farmaya
“Aur Sabse Zyada Sahi Kaul ye Hai Meraj Halaat e Bedari Jism wa Rooh K Saath Hui Yehi Ahle Sunnat Wa Jamaat Hai Mazhab Hai
Me Hui. Lihaja Jo shaks kahe Meraj Fakat Khwab me hui ya Roohani hui wo Biddati, Gumraah, Gumraah Kun Wa Fasiq hai
Reference :
(Tafseer Ul Quran fi Tafseer e Ahmad, Surah Bani Israel Ayat 01 pg : 505 )

Proof 02 :
Huzoor ko Jaagte Me badan k saath meraj huwi thi isliye ki agar meraj neend ya Rooh waali hoti to Quraish k kaafir aap Saw ko hargiz na jhutlate aur na kuch Kamzor Imaan waale Musalmaan Murtad hote”
(Shara E Aqaid e Nasfi Pg : 105)

Proof 03 :
Imam Qustalani Apna Or Jamhoor Ka Aqida Likhte Huwe Farmate Hain
Haq Yeh Hai k Meraj Ek Hi Hai Or AAP ﷺ Ko Yeh Meraj Bedari k Alam Jism Or Rooh Dono k Sath Huwa
Mohaddesin, Foqha Or Motaqallemeen Me Se Jamhoor Olma Ka Yahi Mauqoof Hai Or Sahih Rewayat Se Zahir Yahi Baat Hai Or Is Se Firna Monasib Nahi Kyun k Aqli Taur Per Is Se Firne Ki Koi Dalil Nahi
Imam Razi Farmate Hain Ahle Tahqiq Ne Farmaya k Qur'an-o-Hadees Is Baat Per Dalalat Karti Hai k ALLAH TA'ALA Ne NABI-E-KARIM ﷺ Ki Rooh Or Jism Dono Ko Masjid-e-Haram Se Masjid-e-Aqsa Tak Sair Karaya
Qur'an-e-Pak Se Is Ki Dalil Yeh Ayat Hai
Tarjama:
Woh Zaat Pak Hai Jis Ne Apne Bande Ko Raat k Thode Hisse Me Sair Karayi
》Surah Bani Israil, Ayat 1
Dalil Ki Takrir Yeh Hai k Lafz " عبد " Jism Or Rooh k Majmua Ka Naam Hai Is Tarah Maloom Huwa k اسرا Jism Or Rooh Dono Ko Hasil Huwa
Is Mane Per Yeh Ayat-e-Karima Dalalat Karti Hai
Irshad-e-Bari Ta'ala Hai
Tarjama:
Kya Aap Ne Us Ko Dekha Jo Bande Ko Mana Karta Hai Jab Woh Namaz Padhta Hai?
》Surah Alaq, Ayat 9.
Is Me Shak Nahi k Is Jagah Jism Or Rooh Ka Majmua Murad Hai
Surah Jin Ayat 19 Me Irshad-e-Bari Ta'ala Hai
Tarjama:
Or Jab ALLAH Ka Banda Khada Ho Kar Use Pukarta Hai.
Yahan Bhi " عبد " Se Jism Or Rooh Ka Majmua Murad Hai
Yahan Tak k Jamhoor Ne NABI-E-KARIM ﷺ k Farman Se Bhi Istadlal Kiya Hai k AAP ﷺ Ne Farmaya
أسرى بی
Tarjama: Mujhe Sair Karayi Gayi
Or Af'al Me Asal Yeh Hai k In Ko Bedari Per Mahmool Kiya Jaye Hatta k Koi Dalil Is k Khelaf Per Dalalat Kare
Nez Agar Yeh Waqiya Khwaab Me Hota To Is Me Kamzor (Iman Wale) Logo k Liye Azmaish Na Hoti Or Na Kund Zehan Log Is Ko Aqal Se Baeed Samajhte
Is k Alwa "Janwar' "Arwah" Ko Nahi Uthate Woh To Jismon Ko Uthate Hain Or Motawatir Rewayat Se Sabit Hai k NABI-E-KARIM ﷺ Ko Buraq Per Sair Karayi Gayi
(IMAM QUSTALANI, AL MUWAHIBUL LUDUNIYAH, Vol : 3,Pg: 12-13)
Proof 04 :
Shaikh Abdul Haqq Muhadis Dahelvi Alaih Rehma
Agar meraj waqya sapna hota is Kadar fitna wa Fasad wa Shor Ka Sabab Na Hota aur Kafiro k Jhagadne aur Kuch Musalmano k Murtad Hone ka sabab Na Banta
(Ashiatul Amaat Vol : 04, Pg : 527)
NOTE:
Hissa 02 Akli Logical Answer :

Jab Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم ko Meraj huwi aur Aaka ne apni Meraj Ka tazkira kiya to kuffaro o mushrikeen akal k parasto ko ye baat samajh hi naa aayi aur apni kam ilmi se khayal banane lage k ye Mumkin hi nahi k koi  itne muktasar wakt me kaise ye safar kar sakta hai pure Arab me Shor Hamgama barpa kar diya kuffar o Mushrikeen ne natiza ye huwa kuch Kamzor imaan waale unhone ye wakya ko tasleem naa kiya aur Murtad Kaafir hogaye.

“Meraj Ki Subah Jab Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne ye wakya Logo ko sunaya To Aap Par Imaan Laane aur Aap ki Tasdeek Karne Waale Baaj Afraad Murtad Hogaye”
(Imam Hakim Al Mustadrak , Vol : 04, Pg :05, Kitab Marifatus Sahaba Baab : Zikr E Abu Baqr Siddik , Hadees : 4463)

Agar Meraj Khawab me Roohani hoti to aitraaz kyu hota  ? Log Murtad kyu hote ?
Ek Chota se example dekh le ek aam insaan bhi khawab me hota to ghar me apne bistar par hai par khwab k haal me wo dunya k kis kis kone me ghum aata hai jo batane ki jarurat nhi aur jab wo ye kahe to koi inkaar bhi nahi karta chunki khwab hai mumkin hai par unka murtad hojana Arab me Fitne fasad kuffaro ki taraf se faila dena ye saabit karta hai k Meraj jismani huwi thi naa ki roohani.

III) Abu Bakr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Siddik E Akbar Ban Gaye :
Jaha kuffaro k galat propoganda ne Kaayi Kamzor imaan waalo k jahen ko bigada unhe murtad karwa diya
“Iske Bar Aqs Kaamil Imaan Waalo K Imaan Me Izafa Hogaya ALLAH ki kufrat Par Imaan Rakhne Waalo Ka Imaan Aur Pukhta Hogaya
Nabi E Karim Ki Sadakat Ka Yakin Aur Pukhta Hogaya”
(Seerat e Nabuwat Lil Ibn Ishaq Vol :01, Pg : 281, Baab : Zikre Asr Wa Meraj)
“Jab Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ne Wakya e Meraj Ka Bayan Kiya Log Daudte Huwe Ye baat ko leke Hazrat Abu Baqr k Pass Pahuche aur Kahne Lage Kya Aap is Baat ki Tasdeek kar sakte hai k Aapke Dost Ne ye baat kahi k Raato Raat Masjid e Haram Se Masjid e Aqsa Ka Safar Kar Liya ?
Unka Gumaan Ye Tha K Shayad Ye baat se Hazrat Abu Baqr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  , Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ka Saath Chod Denge.
Ye Wo Baat Thi jisko Akal Maan ne ko tayyar na thi par Hazrat Abu Baqr Ne Bila Jhijak Tasdeek Kardi Rivayat me Aaya Hai Abu Bakr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  Ne Logo Se Ye Baat Puchi Kya Wakayi Me Unhone Aisa Kaha Hai ?  JI HAA.
Abu Baqr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ne Farmaya Agar Unhone Aisa Farmaya Hai To YAKINAN SACH FARMAYA HAI.
Logo Ne Phir Pucha Kya Aap Is baat ki Tasdeek Karte Hai ?
Farmaya YE TO KUCH NAHI MAI TO AAP SE AASMANO KI KHABRO KI BHI SUBAAH SHAM TASDEEK KARTA HU AUR YAKINAN WO TO IS BAAT SE ZYADA TAZZUB KHEZ HAIRAN KUNN HAI
(AL Mustadrak Lil Hakim, Vol : 04, Pg : 20, Kitab AL Marifatu Sahaba, Baab : Zikr Abu Baqr , Hadees : 4010) Us Din Rasool e Paak صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya
AYE ABU BAQR ALLAH NE TUMHE SIDDIK KA LAKAB DIYA HAI” Iske Baad Aap Siddik K Naam Se Mashoor Hogaye.
(Imam Jalaludin Suyuti Al Khasaisul Kubra Vol : 01, Pg :294) aur ek rivayat me hai k Hazrat Abu Baqr Siddik Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم k Pass Pahuche Waha Sahaba e Kiram Se Wakya e MERAJ bayan farma rhe the waha Hazrat Abu Baqr jaa pahuche aur baar baar bolte rahe AAPNE SACH KAHA YAA RASOOL ALLAH صلى الله عليه و آله وسلم
Jiske Baad Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne aapko SIDDIK kaha. Subhan Allah,
Hazrat Abu Baqr Siddik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  Ka Imaan jaha aam insaan kamzor imaan waala tasdeek naa kar saka murtad hogaye wahi Meraj Un Nabi صلى الله عليه و آله وسلم pe bina koi Sawal kayam kiye aankh band kar iski tasdeek Hazrat Abu Baqr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ne Ki aur Siddik Ban Gaye pata chala k jo bina sawal kiye aankh band kar maanle wo dar asal Hazrat Abu Baqr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  Aur Sahaba k tarike pe hai aur Meraj pe jo sawal aur subahat leke aaye wo kuffaro k tarike pe hai par aaj badmazhab ka aisa tola bhi hai jo Meraj pe Aitraaz bhi karta hai aur Hazrat Abu Baqr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ko SIDDIK bhi maanta hai ye dar asal munafikat hai k Meraj pe sawal bhi karo aur unhe SIDDIK E AKBAR bhi kaho. JO MERAJ PE SAWAL KARE AUR ABU BAQR رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  KO SIDDIK E AKBAR BHI KAHE TO YE MUNAFIKAT HAI..   EK ARAB K KAHNE KA MAINE KAAHA MAANA HAI
       BIN DEKHE AYE RAB MAINE TUJHE KHUDA MAANA HAI
ALLAH KA EK HONA TUMNE Maan liya k ALLAH EK HAI BATAYA KISNE ? USSI NABI صلى الله عليه و آله وسلم K BATANE PE PHIR MERAJ PE SAWAL KYU ?? ALLAH AISE AKAL PARAST LOGO KO HIDAYAT DE

Post a Comment

0Comments

Please Support Us, Share Website With your Family, For making Muslim Strength Strong.

Post a Comment (0)