Shahadat e Imam Hussain(Mukhtasar Alfaaz Me)

لبیک یارسول اللہﷺ
0

 

Hadees-E-Paak


Quraish ke hathoon halaqat

Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ko farmatay suna ke mera beta yanni Hazrat Hussain arz e karbala mein qatal hoga aur tum mein jo shakhs us moqa per mojood ho wo us ki madad kray.
(Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8, Page255)

Hazrat abu hurayra radi Allah anho se rawayat hai ke Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke "meri ummat ki halakat Quraish ke larkon ke hathoon hai.
(Mishkaat musabeh, vol 3, page 8, 5153,)
ba'hawala sahih bukhari

Quraish aur bani ummiya
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya: "Ye amer hamesha insaaf o ehtadaal ke sath qaiym rahega, Hatta ke banu ummayya ka aik shakhs issay torr de ga.

SUNNAT BADALNE WALA


Hadees 
Aur baihaqi ne awful ahrabi ke tareeq se an abi khalda, an abil aalia, an abi zar rawayat ki hai, woh bayan kerte hain ke mein ne Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ko farmaty suna ke bila'shuba meri sunnat ko badalne wala pehla shakhs bani umya se hoga.

Ye hadees abul aaliya aur abu zar ke darmiyan munqatah hai. Aur baihaqi ne abu ubaida ki mutaqadim  hadees se issay tarjeeh di hai, woh  bayan kerte hain ke shak parta hai ke ye shakhs Yazeed bin Muawiya bin abi sufiyan hai. Wallahu Aalamu
(Al.bidayah wan'nahaya Vol 6, Page 310)

 Hadees
Ro'yai ne apni musnad mein abu darda se rawayat kiya hai ke mein ne Nabi Pak Sallallahu Alaihe Wasallam se suna ke sab se pehle bani umayya ka aik shakhs yazeed naami meri sunnat ko badlay ga.
(Tareekh-ul-Khulafa Page 300)

HADEES
Ubaid Bin Jarrah Farmate Hain:
"Rasool Allah Ne Farmaiya:"Meri Ummat Ka Mamla Adal O Insaf Per Qaim Hoga.Yahan Tk Ke Rakhna Andazi Karne Wala Shaks Bani Ummaiyah Se Hoga Aur Naam Us Ka Yazeed Hoga"
{Majma Alzawaid:5/241,Tareekh Ul Khulafa Arabi Syouti:142}

 RAB E KA'ABA KI QASAM

Hazrat Umer Radi Allah anho ko farmatay suna ke: Rab e Ka'aba ki qasam! Mujhe maloom hai ke arab kab halaak hoon gay. Jab unka muntazim(administrator) wo shakhs hoga jis ne jahiliyat ka zamana paya hoga na ussay islam mein tuqaddam hasil hoga.
(Al.bidaya Wan.nahaya Vol 8 Page 294)

 Hazrat muawiya ki zindagi mein yazeed ki bait se inkar


Jab hazrat muawiya radi Allah anho ki zindagi mein yazeed k liye bait li gai to hazrat hussain, hazrat Abdullah bin zubair, hazrat abdur rahman bin abu bakr, hazrat ibn umer aur hazrat ibn abbas radi Allah anhum un logoon mein shamil the jinhoon ne uski bait se inkar ker diya tha.
(Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 196.)


Yazeed ki taraf se ameer e Madina waleed bin utba bin abi sufiyan ki taraf khat
Yazeed ne Waleed bin utba ko likha: "amma ba'd! Hazrat Hussain, Hazrat Abdullah bin Umer aur Hazrat Abdullah bin zubair radi Allah anhuk ko sakhti se bait ke liye pakarr lo aur is mein kisi qisam ki narmi nhe hatta k woh bait ker lain
      Wassalam     
(Al.bidaya wan.nahay, vol 8. page 191.)

 Hazrat Hussain radi Allah Anho ko Madina MeinYazeed ka khat mila


Waleed bin utba ne aap ko khat (letter) diya aur hazrat muawiya radi Allah anho ki maut ki khabar di. Aap ne Inna Lillahe Wa Inna Ilaihe Raji'oon parha aur farmaya Allah ta'ala ameer muawiya per reham farmaey aur tujhe barra ajer de.
Pas ameer ne apko bait ki dawat di to Hazrat Hussain radi Allah anho ne ussay kaha mere jaisa shakhs posheeda bait nhe krta. Aur aap mujh se is ka taqaza na karain. Lakin jab log ikathay hongy to un ke sath hamain bhi bula lijiyega aur aik he baat hogi. Walid ne aap se kaha aur wo h aafiyat pasand tha Allah ka naam le ker  wapis chalay jaeye aur jamat ke sath wapis aaeye.
Marwan ne walid se kaha, Khuda ki qasam ager ye tujh se juda ho gaey aur is waqt bait na ki to tumaray darmiyan aur unke darmiyan qatlaam hoga. Unhain rokiye aur bait kiye baghair jane na dijiye. Basoorat e digar unhain qatal ker dijiye.
Hazrat hussain radi Allah anho ne kaha aey ibn zarqa tu mujhe qatal krayga? Khuda ki qasam tu ne jhoot bola hai aur gunah kia hai phir aap apne ghar wapis aa gaey. To marwan ne walid se kaha Khuda ki qasam is ke ba'd tu unhain kabhi nhe dekhay ga.
Walid ne kaha aey marwan qasam bakhuda mein nhe chahta ke duniya mafiha mere liye ho aur mein Hazrat hussain radi Allah anho ko qatal kron. SubhaanAllah, mein hazrat hussain ko is qol per ke mein bait nhe krta qatal ker doon. Aur qasam bakhuda mera yakeen hai ke jo shakhs hazrat hussain radi Allah Anho ko qatal krayga qayyamat ke roz uska tarazoo halka hoga.

(SubhaanAllah aik walid ka ye imaan ke Hazrat imam ko qatal krne wale ka qayamat ke roz imaan ka tarazoo halka hoga aur aik yazeed jis ne unko qatal kradiya)
Yazeed bin muawiya ne walid bin utba ko is kotahi ki wajah se madina ki amarat se mazool ker diya.
البدایہ والنہایہ، ج 8، ص 192
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 192.

 Ibn ziyad ka hukam kazab bin kazzab ko galiyan do

Qais bin musaer sidawi hazrat hussain radi Allah anho ka khat le kr koofa aaya jab woh qaadsiya poncha to hasain bin numair saqfi ne ussay pakar ker ibn ziyad ke pass bhejwa diya, ibn ziyad ne ussay kaha, mahal ki choti per charr ker kazzab bin kazzab bin ali bin abi talib aur usk betay hussain ko galiyaan do.
Al.bidaya wan.nahaya vol 8 page 218.

 Shahadat e Imam Hussain Mukhtasar alfaaz mein

 Yazeed 60 hijri mein hukamran bana

HADEES
"60 Hijri Se Allah Ki Panah Mango Aur Bacho Ke Hukmrani Ke"
{Albadaiyah O Alnahiyah:8/31}
HADEES
Hazrat abou Saeed Khudri Farmate Hain:
"Woh Larke 60 Hijri Ke Bd Hun Ge,Jo Namazain Zaiya Karain Ge,Aur Shewat Ke Pariwi Karain Ge,Tu Woh Ankareeb Gayi (Jahanum Ke Sakt Wadi) Mein Dalain Jain Ge"
{Al Bidaya Wann Nihaya:8/230}
"Is Hadees Mein Ishara Hai Ke Un Larkoun Mein Sub Se Phele Larka 60 Hijri Mein Hoga.Woh Hi Howa,Kyoun Ke Yazeed Bin Maawiya 60 Mein Khalifa Bana Aur 64 Tak Baqi Raha Phir Mar Gaya"
{Fatha Ul Bari:13/8}

Allama Badruddin Aaini Apni Shara Mein Likhte Hain:
"Aur In Larkoun Mein Se Sub Se Pahele Yazeed Hai,
Woh Aksar Aahwal Mein Buzurgoun Ko Bare Bare Shahroun Mein Se Hatha Kar Unki Jaga Apne Aziz O Akarib Mein Nav umar Larkoun Ko Muqarar Karta Tha"
{Umdat Ul Qari Sharah Sahe Bukhari:pg180 Hassiya Bukhari}

HADEES
Hazrat Imran Bin Hassain Farmate Hain; "Aqa Ne Is Haal Mein Wafat Paai Ke App Teen Qabiloun Ko Na Pasand Farmate The:
1: QabilaSaqeef
2: bani Hanifa
3: Bani Ummaiya
"Shah Muhadis Hadees Ke Sharah Mein Likhte Hain;
"Qabila Saqeef Mein Zalim Baadshah Hajaj Bin Yousuf Howa Jisne Ne Kam o besh 124000 Muslamoun Ko Qatal KIya,
Aur Bani Hanifa Mein Kazab Howa Jis Ne Nabowat Ka Jhota Dawwa Kiya,
Aur Bani Ummaiyah Se YAZEED Aur Ibne Ziyad Jaise Paida Howe Jis Ne ALE RASOOL Ko Qatal Kiya

60 saal ke baad
HADEES
Hazrat saeed khadri radi Allah anho bayan kerte hain ke : Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke 60 saal ke ba'd bekhaber admi hongay, jo namaz ko zaiya krain gay aur khawaishaat ki parivi krain gay aur anqareeb halakat se do'chaar hongay. Jo Quran parhain gay aur wo un ke galoon se agay nhe jaey ga aur 3 admi  Qur'an parhain gay mo'min, fasiq aur  faajir. Mein ne waleed se pocha ye teen admi kaun hoon gay?  Us ne kaha munafiq is ka inkari hoga aur faajir is ke zariye khanna harrap kray ga aur mo'min is per imaan laey ga.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 292

YAZEED NE IMAM HUSSAIN radi Allah anho SE JUNG KA HUKAM DIYA UBAIDULLAH BIN ZIYAD KO

Imam Hussain radi Allah anho Ahle Iraq ke likhne per 10 dhul hajj ko apne ahle ka aik groh sath le ker jis mein chand mard, auratain  aur bachay thy, koofa ko rawana hoey. Idher Yazeed ne Iraq ke hakim Ubaidullah bin ziyad ko aap se jung kerne ka hukam diya to us ne Umer bin Sa'ad bin abi waqas ke zair kamaan 4000 hazar lashkar rawana kiya…… … Khuda aap ke qaatil ibn ziyad aur yazeed per lannat kray.
(Tareekh-Ul-Khulafa Page 298)

 Hazrat imam hussain radi Allah anho ki qasam

Aap ne kaha (apne betay Ali bin hussain ko) qasam hai ussi Khuda ki jis k pass sab ko jana hai. Ham haq per hain. Ali bin Hussain radi Allah anhuma ne kaha phir hamain kuch parwa nhe. Marain gay to haq per marain gay.
(Tareekh tabri jild 4.page 194)

 Ibn ziad ke qaasad ki amad

 Har ko ibn ziad ka khat dia. Us mein likha tha "mera qaasad aur khat jab tumain pohanchay to Hussain radi Allah anho ko bahut tang krna. Unko aisi jagah uterne dena jahan chatail maidan ho koi panah ki jagah na ho. Jahan pani na ho. Dekho  mein ne qaasad ko hukam de diya hai who tum per nigran rhe tumara sath na  chhorray jab tak ye mere pass khabar le kr na aey ke tum ne mera hukam poora kr diya hai.
Wassalam
Har ne khat parh kr ansar hussain radi Allah anho se kaha ke ye khat ameer obaidullah bin ziyad ka hai us ne mujhe hukam diya hai ke jis muqam per mujhe  ye khat pohanchay wohi tum logon ko bahut tang kroon aur dekho ye shakhs uska qaasad hai, isko hukam hua hai k mere pass se na hattay jab tak ye na dekh le ke mein ne ameer ki roy per amal kiya aur us k hukam ko jari kia.
(Tareekh Tabri jild 4 page 195.)

IBN ZIYAD KA PAIGHAM JAWAIRIYA BIN BADR TAMIMI KE ZARIYAY

 Hasain bin numair ne bayan kiya hai ke saeed bin ubaid ne mujh se bayan  kiya hai ke ham umer bin sa'ad ke sath pani mein naha rahay thy ke achanak is ke pass aik admi aya aur usne us se sargoshi ki aur us ne us se kaha ke ibn ziyad ne jaweriya bin badar tamimi ko bheja hai aur ussay hukam diya hai ke ager tu ne un (hussain) logoon ke sath jung na ki to wo tujhe qatal ker de.
( Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 222).

 (yaad rhe k ibn ziyad ne ibn sa'ad ko qatal krne ka hukam diya aur aik khaas baat ke yahan bhi hukam lane wali bani tamim ki aurat thi…Hazrat imam hussain radi Allah anho ko aik shakhs jis ko hassain bin tamim kaha jata tha aap ke taloo mein teer maar ker chheed ker diya)

 SHAHADAT IMAM HUSSAIN radi Allah anho AUR US SE PEHLE HER BIN YAZEED HANZLA KA IMAM HUSSAIN radi Allah anho KE LASHKAR MEIN SHAMIL HONA

Aap yazeed ki taraf chal parray to karbla muqam per sawar aap se mile aur aap un ko Allah aur islam ka wasta dete  hoey utter parray. Rawi bayan krta hai ke ibn ziyad ne umer bin sa'ad, shimmer bin zil joshan aur hasain bin numair ko aap ke pass bheja. Aur aap ne unko Allah aur islam ka wasta diya ke woh aap ko yazeed ke pass le jaeen wo apna hath yazeed ke hath mein rakh dain gy unhoon ne aap se kaha ke aisa nhe ho sakta siwaey is ke aap ibn ziyad ke faislay ko tasleem ker lain aur jo log un ke sath the un mein her bin yazeed hanzali bhi sawaroon ka sardar tha. Jab us ne imam hussain ki baat suni to us ne un (yazeedion ) se kaha ke kiya tum Allah se nhe darte? Kiya tum in logon ki in baton ko qabool nhe krogy jo tumaray samne ye paish ker rahe hain.
                 Khuda ki qasam! Ager turk aur delam tum se ye mutalba kerte to un ko wapis krna tumaray liye jaiz na hota magar unhoon ne ibn ziyad ke faislay ke siwa kisi aur faislay ko manne se inkar ker diya. Pas us (her) ne apne gorray ko chabak mari aur hazrat hussain k pass aa gia. Aur unhoon ne khayal kiya ke wo in ke sath jung krne aya hai.aur jab wo un ke nazdeek aya to us ne apni dhal ko palat diya aur unhain salam kaha phir us ne ibn ziyad ke as'haab per hamla ker diya aur un mein se 2 aadmion ko qatal kiya phir khud qatal hogia.
(Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 221.)

 SHAHADAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAH ANHO

 Rawi bayan kerte hai k wo uthh ker apne gorray k pass gia aur us per sawar hogia phir us ne apne hathiyar mangwa ker pehnay aur wo apne gorray per sawar tha aur wo logoon ke sath unki taraf gia aur inhooon ne(yazeedion) ne un ke sath jung ki aur Hazrat Hussain Radi Allah Anho ka sar ibn ziyad ke pass la ker us ke samne paish rakha gia wo apni chharri ko apki naak per rakhh ker kehne laga bila'shuba abu Abdullah siyah safaid balloon waly hain.
(Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 222.)

 QATLEEN HUSSAIN KE NAAM

Jab hazrat Imam Hussain radi Allah anho peene ke qabil pani ki tarf gaey to aik shakhs ne jissay hassain bin tamim kaha jata tha, us ne aap ke taloo per teer maar ker chheed ker diya
(Al.bidaya wan'nahaya, Vol 8. Page 240)

Pass jawanoon ne her taraf se Hazrat Hussain radi Allah anho per hamla ker diya. Aur zarhat bin shareek tamimi ne aap ke baeen (left shoulder) kandhay per talwar maari  aur daeen kandhay(right shoulder) per bhi talwar maari phir wo apko chhorr ker wapis chale gay.
(Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 241)

Bani tamim ke aik shakhs jissay umroo al'tehri kaha jata tha us ne Hazrat imam ke donon kandhoon ke darmiyaan  teer mara aur mein us teer ko aap ke kandhon ke darmiyan aap ke jubbay ke sath latka hoey dekh raha hoon
(Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 223)

Hazrat Hussain radi Allah anho ke qaatil kaun?
1: sanan bin abi Umroo bin anas nakha'i
2: Shimmer bin zil joshan
3:Umer bin sa'ad bin abi waqas
Ye mukhtalif rawiyoun ke qol hai qatleen Hussain ke bary mein
(Al.bidaya Wan'nahay, Vol 8, Page 241)

NOTE 
ضروری نوٹ
( kuch log kehte hain ke yazeed ki fauj ne hazrat imam alaihessalam ko shaheed nhe kiya. Lakin yahan ye baat clear ho jati hai ke ye as'haab yazeed ki army ke the aur in ko ibn ziyad ne  Yazeed ke hukam ko poora kerne k liye he bheja tha. Aur yazeedi army ke he her hanzla ne tauba ker ke imam hussain alaihessalam ki taraf se yazeedi army per hamla kiya tha.)

 Yazeed Ke Darbar mein Imam Hussain radi Allah anho Ka sar e Mubarak Paish hona aur Us ki Gustakhi Kerna


 Yazeed ne logoon ko darbar mein aane ka hukam diya. Log dakhil hoey kia dekha ke aap ka sar yazeed ke saamne rakha hua hai, yazeed k hath mein chharri hai woh aap k dantoon ko chharri se chair rha hai aur ye keh rha hai ke in ki aur meri wo h misaal hai jo hasain bin hamam mari ne kahi hai
Hamari talwarain apne he peyaroon ke sar urra deti hain. Who b to barray nafarman aur barray zaalim the.
As'haab e Rasool sallallahu alaihe wasallam mein se abu barza aslami radi Allah anho ne ye dekh kr kaha    ….. aey yazeed teri chharri  aur hussain radi Allah anho ke dant!  Array teri chharri kis muqam per hai. Mein ne isi jagah ko dekha ke Rasoolallah sallallahu alaihe wasallam choomte the. Sun rakh qayyamat ke din tera hasher ibn ziyad k sath hoga aur hussain radi Allah ta'ala anho Muhammad sallallahu alaihe wasallam ke sath hoongay. Ye keh kr wo h darbar se uthh kr chale gaey.
(Tareekh tabri volume 4, page 240,)

Pas yazeed ne hazrat imam radi Allah anho ke sar ko apnea gay rakha aur us k pass hazrat abu barza aslami bhi the aur yazeed chharri se aap ke chehray per thhokain dene laga aur kehne laga:
" wo talwarain in murdoon ki khhoprion ko phharr deti hain jo ham per garaan hote hain aur wo barray na'farman aur zaalim thy. Abu barza ne ussay kaha apni  chharri uttha lo' qasam Khuda ki mein ne basa'oqat Rasoolallah sallallahu alaihe wasallam ko apne mu ko in ke mu per rakh ker choomte dekha hai.
(Al.bidaya wan'nahaya vol 8 page 253)

Qoul E Abou Barzha:

"Jub Imam Ka Sar Mubarak Yazeed Ke Samne Rakha Tu Us Ne Apni Chharri se imam Ke Laboun Per Marta Hai,Teri Churi Imam Ke Us Maqam Per Maar Raha Hai Jis Jaga Aqa Un Ko Chooma Karte The,Aaye Yazeed Baroz e Qayamet Jub Tu bargahe Khuda Wandi Mein Hazir Hoga Tera Haami Sirf Ibne Ziyad He Hoga,Aur Jub Imam Ayeein Ge Un Ke Haami Aqa Hun Ge"
{Seerat Halbiya:1/3}

Jub Ibne Ziyad Ne Imam Ko Aur Un Ke Rufuka Ko Qatal Kardiya Aur Un Ke Saar Mubarak Ko Yazeed Ke Pass Bheja To Yazeed Imam Ke Qatal Se Awwalan Khush Howa,Uske Wajah Se Ibne Ziyad Ke Qadar O Manzeelat Us Ke Nazdeek Ziyada Hoge,Mager Woh Us Khushi Per Ziyada Deer Tk Qaim Na Raha tha Ke Phir Nadim Howa"
{Albadaya Wann Nihaya:8/232}: 

Allama Ibne Kaseer Farmate Hain:

"Beshak Yazeed Ne Ibne Ziyad Per Is Ke Fail Ke Wajah Se Laanat Tu Ke Aur Us Ko Bura Bhalla Bhe Kaha,Us Wajah Se Ainda Jub Haqeeqat Zahir Ho gai,Baat Khule Ge Tu Phir Kiya Hoga.Lekin Na Tu Usne Ibne Ziyad Ko Mazool Aur Na Bad Mein Us Ko Kuch Kaha,Aur Na He Us Ke Is Sharam Nak Aib Ke Alamat Ke"
{Albadaiyah Wann Nahaiyaha:8/203}
yazeed ne hussain bin hamam al'marari al'shahr ka ye shair parha
Wo talwarain in jawanoon ke saroon ko phorr deti hain jo ham per garaan hote hain aur wo barray na'farman aur zaalim thy
(Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8, Page 246)

Jab hazrat hussain radi Allah anho ka sar laya gia to yazeed chharri se thhoker dene laga, sufiyan ne bayan kia hai ke mujhe bataya gia hai ke hassain is k ba'd ye shair parhta tha:
Samiya ki nasal ki ta'adad sangraizoon ki manind ho gai hai aur Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ki beti ki koi nasal nhe hai.
(Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 247)

 Yazeed ka Ali bin Hussain ko saanp ka beta kehna

 Saanp saanp ko he jannam deta hai
Aik din yazeed ne Umer Bin Hussain (imam) se kaha wo bahut chhotay thy. Kiya tu is ke sath jung kray ga. Yanni is ke betay Khalid bin yazeed ke sath, us ka maqsad aap se mazah aur tafreeh kerna tha. Umer bin Hussain ne kaha mujhe aur ussay aik aik chharri de do ta ke ba'ham jung krain to yazeed ne aapko pakor ker apne sath laga liya aur kehne laga, mein saanp ki tabiyat ko janta hon, saanp saanp ko he jannam deta hai.
(kiya yazeed ka ye kehna jaiz tha ke Nawasa e Rasool ko saanp ko kehna? Allah uski akhirat kharab kray aameen)
(Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 250)

 Ibn ziyad ka shaam ki taraf jate hoey qatl e hussain per shrminda hona

Yazeed Ke Mout Ke Bd Ibne Ziyad Shaam Ko Rawana Howa,Sawari Per Kisi Ghari Soch Per Tha,Rafiq E Saffar Ne Kaha:"App Ko Nind Nahe Arahe Hai?
Ibne Ziyad Ne Kaha:"Kuch Soch Raha Hun?"
Rafiq:"Yea Ke Ager Meine Imam Ko Qatal Na Kiya Hota?
Ziyad:"Jahan Tk Imam Hussain Ko Qatal Karne Ka Taluq Hai,Yazeed Ne Mujhe Hukum Diya Tha Warna Woh Mujhe Qatal Kardeta,               

{Ibne Aseer:4/55}

 Umme luqman binte aqeel radi Allah anha ka nooha

Jab ahle madina ko qatle hussain radi Allah anho ki  khabar pohanchi to binte aqeel radi Allah anho ibn abi talib apne khandan ki auratoon ko sath liye hoey niklein. Sar unka khhulla hua tha chadar ko sanbalti jati thi. Aur ye keh rahe thi

"logo ! kiya jawab do gay paighamber ko. Jab woh tum se pochhain gay ke tum ne paighamber akhiruz zaman ki ummat ho ke  meri izat aur mere ahle bait ke sath  mere ba'd kiya salook kiya, un mein se kuch aseer (qaid) hain aur kuch aloooda khaak  o khoon.
(Tareekh tabri, volume 4, page, 241.)

Jinoon Ka Nooha Kerna.

Abu Na'eem dalail mein hazrat Ummay Salma radi Allah anha se rawayat kerte hain. Wo kehti hain mein ne jinnoon ko Hazrat Imam Hussain radi Allah anho ki shahadat per rotay aur nooha kerte suna hai.
Tha'lub apne amali mein abu janab kalbi se rawayat kerte hain. Mein karbala mein ayaa to ashraaf e arab se aik shakhs se mein ne poochha, mein ne suna hai ke jinnaat ka nooha sunte rahe ho? Us ne kaha ye baat to yahan tumain her shakhs jo milay ga, bata dega. Mein ne kaha tum ne jo suna hai wo mujhe bata do. Us ne kaha mein ne to ye shair sunay hain.
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne un ke chehra e Mubarak per hath phaira.
Isi waja se un ke rukhsaar chamak rahay hain.
Un ke waldain Quraish ke aala khandan se hain aur un ke Nana behtareen khalqat hain.
(Tareekh-ul-Khulfa, Page 300)

Bani matlab ki aik aurat apne baal kholay aur apni aasteen apne sir per rakhy bahir a ker un se mili aur wo ro ro keh rahe thi
"Ager Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam tum se kahain ke akhri ummat hoty hoey tum ne mere fout hone ke ba'd mere ahle aur meri olad se kiya salook kiya to tum kiya jawab do gay. Un mein kuch to qaidi hain aur kuch khoon se lathhray parry hain. Jab mein ne tumari khair khawahi ki hai to ye mera badla nhe ho sakta ke tum mere rishta'daroon mein burai se jan'nasheeni kro.
(Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 253)

 AIK GHAIBI PUKAR JIS NE QAATLEEN HUSSAIN K JAHANMI HONE KI KHABAR MADINA MEIN DI


Madaini bayan kerte hain ke jab ahle harah qatal hoey to Makkah mein Is shab ki shaam ko abu qabees per aik haataf ne awaz di aur Hazrat ibn zubair radi Allah anhuma baithay sun rahe the.
            "Rozadar, farmanbardar,ebadat guzar, naik hidayat'yafta, husn e salook kerne wale aur kamiyaabi ki taraf sabqat kerne wale, waqam aur  baqeeh(jannat baqeeh 2 graveyard) mein kaise kaise azeem aur khubsurat sardar aur yasrab(madina) ke ilaqay mein kaisi kaisi rone aur chillane waliyan hain' us ne naik ashkhaas aur naikoon ke bettoon ko qatal ker diya hai jo ba'ruhb aur sakhi thy.
(Al.bidaya wan'nayaha vol 8 page 283.)

Jis roz hussain radi Allah anho qatal hoey  ussi din subah ko madina mein ye awaz ei ke hussain radi Allah anho k qatlo! Tum ko azab o ruswai Mubarak ho.
Tamam ahle aasman, malaik aur ambiya tum per duaey bad kr rhe hain. Aur tum per dawood,Moosa wa Issa alaihessalam ne lannat bheji hai. Umro bin akrama kehta hai mein ne ye awaz sunni aur umroo bin khair dam kalbi kehta hai ke mere baap ne bhi ye awaz sunni thi.
(Tareekh tabri volume 4 page 242)

Aur hishaam bin kalbi ne bayan kiya hai ke hamaray baz as'haab ne ba'hawala umroo bin al'muqaddam mujh se bayan kiya wo bayan kerta hai umroo bin akrama ne mujh se bayan kiya hai kiya ke:
Jis roz hazrat imam hussain radi Allah anho qatal hoey ham ne madinah mein uski subah ki to kiya dekhte hain ke hamari aik londi ham se bayan ker rahi hai ke mein ne guzishta raat se pehli raat ko aik pukarne wale ko pukarte suna, wo keh raha tha:
" aey hazrat hussain radi Allah anho ko az'rahe zulm qatal krne walo! Tumain azab o saza ki basharat ho, tamam ahle aasman, Nabi, Maalik aur log tumaray khilaaf bad'dua ker rahe hain, tum per hazrat dawood, hazrat Moosa aur sahib e anjeel hazrat issa alaihemussalam ki taraf se lannat ki gai hai"
(Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 254.)

Hazrat ummay Salma radi Allah anha farmati hain ke mein ne jinnaat ko  Hazrat Hussain Radi Allah anho per Nooha kerte suna wo keh rahe the:
"aey hussain ko jahalat se qatal kerne walo!
Tumain azaab o saza ki basharat ho, tamam ahle aasman , Nabi, Musil aur log tumaray khilaaf bad'dua ker rahe hain, tum hazrat daood, hazrat Moosa aur sahib e anjeel alaihemussalam ki zuban se lannat ki gai hai.
(Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 257.)


QATLEEN E HUSSAIN DUNIYA MEIN BHI MUSIBAT MEIN PHHANSAY




Aur aap ke qatal ke baray mein jo ahadees aur fittan bayan kiye gaey un mein se aksar sahih hain aur jin logoon ne aap ko qatal kiya hai un mein se koi kam he duniya mein aafat aur musibat se bacha hai. Aur wo us waqt tak is duniya se nhe gia yahan tak ke ussay marz la'haq hua aur un ki aksariyat ko junoon hogia.

(Al.bidaya wan.nahaya vol 8, page 258.)

Note:
ن
            Yahan un logoon ke daway ki takzeeb ho jati hai jo kehte hain ke yazeed qatal e hussain mein mulawis nhe tha kion ke yazeed bhi dard e qolanj ki wajah se tarrap tarrap ker mara, jaise is ke aur sathi marray koi payas ki waja se mara to koi kis waja se. yazeed ke man'ne waloon ko jo bidaya wan.nahaya kehte kehte nhe thakte hain kabhi is book per ghaur to ker lete. Kiya yazeed dard e qolanj mein mubtala ho ker nhe mara? Yes offcourse wo isi dar e qolanj ki wajah se he mara.

Post a Comment

0Comments

Please Support Us, Share Website With your Family, For making Muslim Strength Strong.

Post a Comment (0)